Dosti aure mohabbat kii ek kahaani~~~ Saahil

by salil2002 on June 03, 2009, 05:34:20 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 6364 times)
salil2002
Guest
doston aaj jo poem mein aapse share kar raha hoon woh teen parts mein hai....yeh poem nahin ek tarah se kahaani hai jisse sab ittefaaq rakehnge aisa mera maanna hai kyunki sabhi kii life mein aisa waqt jaroor aaya hoga jab dosti kii khatir oosne pyaar ko thukraaya hoga

do jism ek jaan hua karte thay
jab hum dost saath raha kartey thay
gham kii aahat bhi na hoti thi hamaare dar par
khushiyon se tallukaat hua kartey thay

phir ek roz mein oos pari se takraaya tha
jisne pehli nazar mein hi mere dil ko churaaya tha
aankhon mein bas gayi thi woh is kadar
kii har waqt rehta palkon mein uska saaya tha
bahut chanchal bahut massom woh pari thi
jisne mujhe apna banaya tha

pahuncha jab dost ko dil kii baat kehne,
oose mera intzaar karta paaya tha
maine jab kehna chaha ,oosse pahle
oosne mjhe ek tasveer ka chehra dikhaya tha

dekhta raha main oos chehre ko, meri pari ko
haan mere dost ka dil bhi isi nazneen par aaya tha
oosne kaha kii kaisi lagi meri pasand tujhko
toh maine ikraar mein sar ko hilaya tha
phir hansa tha mein khul k ek pal ko
lekin oos roz mera dost khokli hansi ko samajh na paaya tha
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Meri mohabbat Itni si kahaani hai........... by amit_agg2522305 in Shayri-E-Dard
dosti-- betuke afsaane pe ~~~~ Saahil by salil2002 in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
AJAB kahaani~~~~~ Saahil by salil2002 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
nafrat aur mohabbat ~~ saahil by salil2002 in Shayri-E-Dard
haan meri bhi prem kahaani thi ~~~ Saahil by salil2002 in Shayri-E-Dard
salil2002
Guest
«Reply #1 on: June 03, 2009, 06:39:44 AM »
doston usse aage kii kahaani likh raha hun shayad aap logonb ko pasand aaye...iska agla aur last part bhi jald hi pesh karoonga bataiyeha kaisa laga

phir kari koshishein mere dost ne uska dil lubhane kii
oos haseen ko apne dil kii duniya mein basane kii
sachchi thi uski mohabbat woh oose haasil huyi
par mohabbat k rang mein meri dosti na shamil huyi

kii badti rahi mohabbat aur dosti khoti rahi
mahino mein saalon mein ab mulaqaat hoti rahi
phir ek roz oose meine apna qalaam padta paaya tha
jisme maine apni ektarfa mohabbat ka kissa gumgunaya tha

pad kar mere qalaam woh kucch na bola mujhe
bas ek nigaah dal kar mere ghar se rukhsat hua
maine koshish kii bahut oose sach batane kii
magar woh mere sach se na muzafat hua

ooske dil mein khalish thi kii maine sach ko chhupaya tha
magar main sach kehne ka hausla juta na paaya tha
yakeen hai mujhe woh bhi yahi karta meri jagah
chunta wahi raasta jis par maine kadam badaya tha

chal diya main chhod kar phir apne sehar ko
chal diya mein tod kar rishton kii dor ko
bahut parshaan tha mein, kucch sukun chahta tha
apne liye bas thodi mohabbat chahta tha


Logged
k.shael
Guest
«Reply #2 on: June 03, 2009, 07:15:21 AM »
Wah Wah Wah Wah Wah Wah aaj to dil kar raha hai ki bass u hi wah wah karte rahe, kya hi khoobsurat alfaaz aur khoobsurat dil-e-khayal nazar kiye hai aapne Salil Ji..!!!!
 notworthy  notworthy  notworthy

Umda Work Aur Lajawaab Lines..Usual Smile Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley

Shally.
Logged
salil2002
Guest
«Reply #3 on: June 03, 2009, 09:29:46 AM »
thanks a lot shally.........abhi kahaani ka ek aur part baaki hai ......koshish karoonga usko aur bhi behtar banane kii
Logged
k.shael
Guest
«Reply #4 on: June 03, 2009, 09:32:24 AM »
thanks a lot shally.........abhi kahaani ka ek aur part baaki hai ......koshish karoonga usko aur bhi behtar banane kii

U R Welcome Salil Ji, Intzaar Rahega next Post ka..

Shally.
Logged
salil2002
Guest
«Reply #5 on: June 03, 2009, 10:47:13 AM »
doston yeh last part hai.....aap logon ne pasand nahinkiya iski wajah kucch na kucch jaroor hogi....doston yeh ek sach hai meri life ka jise share kara hai maine aapse

aa gaya tha door sabse par oonhe bhula na paaya tha
jinke saath maine ummra ka ek lamba daur bitaya tha
bahut kii koshish meine unhe bhulaane kii
ek arse k baad main kucch kaam yaab ho paaya tha

phir lauta mein oon galiyon aur chaubaron mein
magar ab kucch khalipan sa laga wahan
jahan mehfilein sajti thi wahan viraana tha
koi apna na dikha mujhko wahan

phir main mila apne dost se ,woh bahut dil se mila tha
laga hi nahin kii ek ummra gujri ho,ya usko ho mujhe gila tha
phir beithe oos shaam hum, chala khoob jaamon ka daur
phir oosne kaha mujhse, jo woh kissii se na keh saka tha

khat.m ho chuki ooski premkahaani
uski chahat ne usko chhala tha
woh nahin ja sakti thi apne babaul k khilaaf
isliye oosne dil todne ka faisla kiya tha

kaha mere dost ne, tu kyun mujhe tha chhod gaya
tere bin tera dost dekh kitna akela hai reh gaya
baahon mein bhara maine oose, aur gale se laga liya
jo bhi tha mel dil mein ashqon mein tha beh gaya

woh aaj bhi magar oos ladki se pyaar karta hai
har pal uski baatein mujhse hazaar karta hai
main sunta hoon uski saari , baatein aur usko hansata hoon
is tarah mein bhula kar khud ko uske gham mein muskuraata hoon
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 36 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #6 on: June 03, 2009, 12:00:59 PM »
Saahil Bhai, main kya hee kahun yaar! mindblowing, amazing, mastermind work, brilliant piece, wonderful, original, truthful... sub sub sub! yaar bahot bahot bahot bahot ahchche! dil k sub rang dihk rahe hain! behud khobsurat hai, MA....


ye sachi kahaani hai, tho a salute to you yaar! bahot kum logon me itnee taqat hoti hai, k dil me aansu aur honto pe hassi... Salute you brother!
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #7 on: June 03, 2009, 12:08:47 PM »
bahut umda likha h aapne salil ji.....jis tarah se aapne ek kahani ko poem ka rup diya h.....vastav me hi kabil-e-taarif h.

do parts jab maine padhe to mai soch rhi thi ...na jane teesre part me kya hoga.
lkn aapne 3rd part behad acha likha h....pyar na mil ska to kya hua..pyar se b pyari dosti to mil gyi....aaj ki duniya me to pyar ki vjah se doston k beech hi drar aa jati h....

bahut khoob.
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #8 on: June 03, 2009, 12:11:01 PM »
Salil Bhai.. Dil Ko Chhoo Jane wali Rachna hai dost.. Yeh Kahani apne aap me kitna dard Samete hai...!!

Taareef Ke Liye mere paas Lafz Kam Padh gaye hain.. Bas itna hi kahunga ki... Superb Work... Applause Applause


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

**~** Mann **~**


Logged
salil2002
Guest
«Reply #9 on: June 03, 2009, 12:38:38 PM »
Saahil Bhai, main kya hee kahun yaar! mindblowing, amazing, mastermind work, brilliant piece, wonderful, original, truthful... sub sub sub! yaar bahot bahot bahot bahot ahchche! dil k sub rang dihk rahe hain! behud khobsurat hai, MA....


ye sachi kahaani hai, tho a salute to you yaar! bahot kum logon me itnee taqat hoti hai, k dil me aansu aur honto pe hassi... Salute you brother!
thanks gudiyaa....... ya this is a true story of ma life.......thnks for liking it........
Logged
salil2002
Guest
«Reply #10 on: June 03, 2009, 12:39:54 PM »
bahut umda likha h aapne salil ji.....jis tarah se aapne ek kahani ko poem ka rup diya h.....vastav me hi kabil-e-taarif h.

do parts jab maine padhe to mai soch rhi thi ...na jane teesre part me kya hoga.
lkn aapne 3rd part behad acha likha h....pyar na mil ska to kya hua..pyar se b pyari dosti to mil gyi....aaj ki duniya me to pyar ki vjah se doston k beech hi drar aa jati h....

bahut khoob.

thanks pooja dear........haan aapka kehna sahi hai pyaar nahinmila toh kya hua dost toh mila ......aur dosti se keemti cheez kucch bhi nahin hai mei nazar mein.........
Logged
salil2002
Guest
«Reply #11 on: June 03, 2009, 12:41:15 PM »
Salil Bhai.. Dil Ko Chhoo Jane wali Rachna hai dost.. Yeh Kahani apne aap me kitna dard Samete hai...!!

Taareef Ke Liye mere paas Lafz Kam Padh gaye hain.. Bas itna hi kahunga ki... Superb Work... Applause Applause


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

**~** Mann **~**



shukrya vicky bhai.....aap hamesha is tarah daad dete hai hausla dugna ho jaata hai.thanks bhai .is shayari kii gehraai aur dard ko samajhne k liye
Logged
salil2002
Guest
«Reply #12 on: June 03, 2009, 12:42:51 PM »
doston mere khayal se is kahaani k pahle dono part dhang se likh nahin paaya main,,,,,jisse se aap logon ko padne mein achcha nahin laga .........maafi chahoonga uske liye aage se koshish karoonga kii aapki ummeedon par khara ootaro
Logged
Talat
Guest
«Reply #13 on: June 03, 2009, 12:43:21 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohot bohot Khoob Saahil Dil main utar gayi aapki ye zindagi ki kahani.....bas lafz nahin hain taareef ke liye ....Excellent creation !
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 36 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #14 on: June 03, 2009, 01:20:21 PM »
doston mere khayal se is kahaani k pahle dono part dhang se likh nahin paaya main,,,,,jisse se aap logon ko padne mein achcha nahin laga .........maafi chahoonga uske liye aage se koshish karoonga kii aapki ummeedon par khara ootaro

thats not rtue yaar, i thot it was lovely
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 27, 2024, 03:58:38 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.136 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer