Dosto.... Bahut Dino Baad ... Kalam Haath Aayi Hai

by paro_ka_deva_devdas on December 03, 2004, 01:49:50 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2467 times)
paro_ka_deva_devdas
Guest
doston .... !
aaj bohat din bad phir kalam hath main aa gayi.. mashroofiyat ke karan yahan aana hi nahi ho paya... kayi logon ne shikayat bhi ki... to hazir hona hi pada... aur aapke gusse ko sant bhi karna tha pichle post ke"aaj main marne ja raha hun" wale ki... to aaj ki theam ek dum khushnuma hai... kosish kar raha hun ... izhar e mohbbat.. aur uske armano ki... aur aashique ki beqrari bhi.. janta hun technically thoda door hai bandishon se... par ehsaas wakai jawan hai... aap sabke nazar kar raha hun.. ek aur nacheez koshish.. jo aap jaise azeem shayron ke beech rakh raha hun.. umeed hai pasand aayegi ....

------------------------------------------------------------------------------------------

sard raat garam sanseN kuch yun takrayi....
katla hue nazroN se jab nazreN tumne milayi....
bahon ke gheron main mujhe yun chupa lo...
jindgi main ab main marna hi nahi chahta...
tumse ab main bicharna hi nahi chahta...

parwah nahi kisi bandish-e-jawani ki...
lute hue musafir sehra-e-jindgani ki....
jalte diye ki kanpti lau* hun, tufaN se bacha lo...
ki ab main yadoN main mitna hi nahi chahta....
tumse ab main bicharna hi nahi chahta ...

*diye ki aag

mere yaar tumse umeedeN laga baitha huN...
tumhare aasma se apni jameene laga baitha huN...
kshitiz hun is wafa-e-mohbbat ka, gale laga lo...
ki ab main manzil pe aake lautna hi nahi chahta...
tumse ab main bicharna hi nahi chahta....

kismat hai meri, aaj tum mil gaye ho...
janta huN ye phool se tum khil gaye ho...
aaftaab* hun sisakta sa, dil main thodi jagah do..
ki ab main judai ki aag main hi jalna nahi chahta...
tumse ab main bicharna hi nahi chahta...

*sooraj,sun

pehli mulaqat pe mere armano pe hairan ho...
kuch nahi gar, kyun mere ashqoN se pareshan ho...
hanste laboN pe nahi, thokron main phir jagah do...
maiN khud ki nazroN maiN hi girna nahi chahta..
sach hai ki tumse ab bicharna hi nahi chahta...

pichli gali maiN tera raat bhar intzaar hai...
tera aana hi to pyaar ka cheekhta izhar hai..
num kyun aankhen, "saccha_pyar" inme basa lo...
tere seene se lag ke main rona hi nahi chahta ...
han main tumse ab bicharna hi nahi chahta...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
beetey dino ke baad !!! by HumTum in Shayri-E-Dard
Bahut Dino K Baad by TAMANNA-e-mohabbat in Shairi - E - Zindagi
bahut dino se hai dil me tera dard by ehsaas chahat ka in Share:Love Poetry
Bahut dino ke baad aaj by sanchit in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kitane Dino Ke Baad Aayi Tu Aakeli Hai...!!..Miru by Miru;;;; in Share: Poetry of Pain
myheart_ursonly
Guest
«Reply #1 on: December 03, 2004, 10:15:27 PM »
nice wrk deva!!!!


poora ho jo sapna,
woh mera kyon nahi,

dhoonda jise hai apna,
woh mera kyon nahi,

har woh khwaahish dil jise chaahe,
woh puri kyon nahi,

har woh pal jo main maangun,
woh milta kyon nahi,

hai aaena jab mera,
saaya kyon nahi,

bulaaya jis naseeb ko,
woh aaya kyon nahi,

dil dhadka mera aahat hui magar,
meri aansuon mein bhi koi
muskuraaya kyon nahi,

teri raahon mein khade hai,
haath thaam le mera,

maut ki neend sula de,
phir na hum yeh shikaayat karenge,
humein jagaya kyon nahin....


 Puzzled !
Logged
paro_ka_deva_devdas
Guest
«Reply #2 on: December 06, 2004, 10:50:31 AM »
Thanks Ji
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 07:40:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer