Dunia se pyar chupa rakha hai

by Pooja on January 17, 2008, 09:00:52 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 3247 times)
Pooja
Guest
«Reply #15 on: January 22, 2008, 09:05:59 PM »
Teri tasveer ko dil mai saja rakha hai
Humare payar ko dunia se chupa rakha hai

Atte ho bahoot yaad her pal is dil ko
Ansuo ko apne ander hi daba rakha hai

Mangi thi judai khud hi, Magar
Tumko kaha khud se juda rakha hai

Msuhkil hai bahoot tere dil se wapis anna
Iss liye yah zalim nakab laga rakha hai

Teri tasveer ko dil mai saja rakha hai
Humare payar ko dunia se chupa rakha hai!!



Wah wah Pooja............bahut hi accha likha hai.....

Kehte hain sacche pyar ki keemat nahi rahi,
Har roz bhare bazar hai ye be-aabroo bika..

Nazar na lage mere masoom dil ko jamane ki,
Iss liye apne pyar ko dunia se chupa rakha..

Dar hai itna iss dil mein dard-e-muhabbat se,
ki jaam-e-wafa bhi humne dar dar ke hi chakha..

hua jab payar to sab bhool gaye
keemat kaya hogi yah bhool gaye

dil laga kar jab dunia ki thokar khai
kaise sambhale yah sab bhool gaye

chupa liya khud mai uski yaadon ko
aor is saare jahan ko hum bhool gaye!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #16 on: January 22, 2008, 09:08:04 PM »
Bohat koobh pooja ..

Dunia seh chupa hai mera pyaar..
dard-de-dil ka afsaanah..
Ban gaya hai yeh pyaar..
Tujhe iss dil peh basa kar...
Karthi hoon tumara intezaar..
Dhadkane meri dil ki kehe thi hai.
Bas saath janmon ka wada..
Yeh letey hai mera pyaar


sab kuch khatam phir bhi intzaar hai
shayad yahi hota pyar hai

tadap is dil mai aor yah bekraar hai
her pal ajj bhi rahta tera intzaar hai

maloom hai kuchh nahi hoga mere kahne se
phir bhi umeed-e-gulshan, Gulzar hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #17 on: January 22, 2008, 09:11:40 PM »
bahut khoob,sab ne khoob likha...

jis dagar pe hum chale the
woh raasta hi dushvaar tha

jab yaad karta hoon usse beete hue waqt ko
to sochta hoon,do kadam chal kar rukh jaana,
kya yehi pyaar tha???

kaash woh samaj jaate chahat hamari
"khwaish" ki har inkaar mein bhi ikraar tha

wah kaya baat hai.. yah lines bahoot achi lagi..

kaash woh samaj jaate chahat hamari
"khwaish" ki har inkaar mein bhi ikraar tha

----------------------

deemag ko kaha hosh, samjhna kuch bhi dushwar tha
apni hi preshani mai, her taraf najar atta inkaar tha

qat na jaane kyun, teri pukar ka intzaar tha
magar teri khamoshi se til til marta, mera intzar tha

teri khamoshi ko aord liya maine apni khamoshi main
ajj bhi is dil mai jo chupa hai wo tera hi pyar tha!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: January 31, 2008, 03:37:08 PM »
teri rooh ajj bhi meri rooh mai samai hai
chala ja kahin bhi, sath mere teri parchai hai

Ahsaas hai tujhko yah mera dil bhi janta hai
shayad likhi humari takdeer mai aor tanhaai hai

milan to ho chuka kab se tumahara -humara
kaya hua jo samaj ki rasam na koi nibhai hai

chupa kar rakha hai is dil mai tere her ek zazbaat ko
bin soche, ajj dil ki yah baat tujhe batlaai hai

teri rooh ajj bhi meri rooh mai samai hai
chala ja kahin bhi, sath mere teri parchai hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #19 on: July 03, 2008, 04:25:50 PM »
teri rooh ajj bhi meri rooh mai samai hai
chala ja kahin bhi, mere sath teri parchai hai

her din, bit.ta hai ajj bhi teri yaadon main
her raat, chand ko teri kahi baat sunaai hai

waqat to waqat hai, guzarta he chala jayega
gujarte waqat main, her pal teri kami paai hai

teri rooh ajj bhi meri rooh mai samai hai
chala ja kahin bhi, mere sath teri parchai hai
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 04:29:46 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.149 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer