Duniya mein chahne waale kam hi mila karte hain……

by Aman_rahi on June 04, 2005, 04:40:05 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1626 times)
Aman_rahi
Guest
Doston.....

ek tazza gazal ehal-e-bazm ki nazar....

Duniya mein chahne waale kam hi mila karte hain……
Paraya dard apnaane waale kam hi mila karte hain….

Girte ko sambhalene waale milenge bahut, magar….
Haath bada, thaamne waale kam hi mila karte hain…..

Kis-kis se juoojhoge, ye ilzaam sang hi le jaana hai…..
Khaalis faisla sunane waale kam hi mila karte hain…..

Gila-o-shikwa se kutch na hoga tumhe bhi haasil……
roothe ko manane waale kam hi mila karte hain…..

Maayoos ho, mefil se dost, yun na utha kijiye…..
Sada de, bulaane waale kam hi mila karte hain……

Khuda ka shukra hai jo fooka apne armaanon ko…..
Varna, laash jalaane waale kam hi mila karte hain….

Kya ranj, jo hanste.N hai teri daastaan pe ^AMAN^
Mohabaat ke aise afsaane kam hi mila karte hain….
Logged
Aarzuu
Guest
«Reply #1 on: June 04, 2005, 04:49:07 AM »
hmmmmmmm..................

tum dard apna humko sunaate to
sahi............
hum sab kuch apna lete, tum bataate to sahi..............

Jawaab dene lagi thi, lekin jaane do...............
Logged
Aman_rahi
Guest
«Reply #2 on: June 04, 2005, 05:09:35 AM »
Quote from: "Aarzuu"
hmmmmmmm..................

tum dard apna humko sunaate to
sahi............
hum sab kuch apna lete, tum bataate to sahi..............

Jawaab dene lagi thi, lekin jaane do...............


Dil mein khayal aaye to use keh dena hi aacha hota hai......

aapke jawab ka muntazir......
Logged
Aarzuu
Guest
«Reply #3 on: June 04, 2005, 05:21:29 AM »
aapne to humein mushkil mein daal diya janaab,
hum kahaan aapke muqaable ka likh sakte hain, bas kuch shabd hain to tod ker yahaan daal diye hain..........aapke kalaam se chun ker.........

Tum dard apna humko sunaate to sahi........
hum sab kuch baant lete, tum bataate to sahi.......

tumhe girne se pehle hi hum dete sahara........
haathon mein apna haath thamaate to sahi..............

hum saare ilzaam aapke rakh lete aankhon per,
tum apna faisla kabhi sunaate to sahi................

tum humse gila karo ya shikwa karo kabhi
per roothne pe humko manaate to sahi.............

teri mehfil se uth jaane ki jurrat hum nahi karte,
tum ek baar ishaare se bulaate to sahi............

meri kabr per aaye ho ab tum itni der baad,
kaash meri laash ko haathon se jaalaate to sahi.........

meri daastaan per aaj hans raha hai zamaana,
tum mere fasaane duniya ko sunaate to sahi.................


Aapki.................Aarzuu..................... .
Logged
thycreator
Guest
«Reply #4 on: June 04, 2005, 05:25:21 AM »
wah wah...............very nice both of you.....

Yu hi sath mile tumhara toh ye safar mukkammal ho,
Sadiyon se bahut tanha hu mai iss bedard jahan mein....
Logged
Devdas_online
Guest
«Reply #5 on: June 04, 2005, 06:44:13 AM »
Quote from: "Aman_rahi"
Doston.....

ek tazza gazal ehal-e-bazm ki nazar....

Duniya mein chahne waale kam hi mila karte hain……
Paraya dard apnaane waale kam hi mila karte hain….

Girte ko sambhalene waale milenge bahut, magar….
Haath bada, thaamne waale kam hi mila karte hain…..

Kis-kis se juoojhoge, ye ilzaam sang hi le jaana hai…..
Khaalis faisla sunane waale kam hi mila karte hain…..

Gila-o-shikwa se kutch na hoga tumhe bhi haasil……
roothe ko manane waale kam hi mila karte hain…..

Maayoos ho, mefil se dost, yun na utha kijiye…..
Sada de, bulaane waale kam hi mila karte hain……

Khuda ka shukra hai jo fooka apne armaanon ko…..
Varna, laash jalaane waale kam hi mila karte hain….

Kya ranj, jo hanste.N hai teri daastaan pe ^AMAN^
Mohabaat ke aise afsaane kam hi mila karte hain….


bure logon ko bulane ki jarurat nahin padti, apne aap hi mil jaate hain,
acche logon ki kami hai, isliye unki raah dekhni padti hai
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #6 on: June 04, 2005, 06:46:48 AM »
hey really nice Aarzuu n' Aman...GOOD & not bad "Thy".......good work!!!
Logged
Meena
Guest
«Reply #7 on: June 04, 2005, 04:54:53 PM »
wonderful by everyone!!! aman ji bohot achi shuruwat ki apne!!!!!

 :D
Logged
Aman_rahi
Guest
«Reply #8 on: June 08, 2005, 01:40:33 PM »
Quote from: "Aarzuu"
aapne to humein mushkil mein daal diya janaab,
hum kahaan aapke muqaable ka likh sakte hain, bas kuch shabd hain to tod ker yahaan daal diye hain..........aapke kalaam se chun ker.........

Tum dard apna humko sunaate to sahi........
hum sab kuch baant lete, tum bataate to sahi.......

tumhe girne se pehle hi hum dete sahara........
haathon mein apna haath thamaate to sahi..............

hum saare ilzaam aapke rakh lete aankhon per,
tum apna faisla kabhi sunaate to sahi................

tum humse gila karo ya shikwa karo kabhi
per roothne pe humko manaate to sahi.............

teri mehfil se uth jaane ki jurrat hum nahi karte,
tum ek baar ishaare se bulaate to sahi............

meri kabr per aaye ho ab tum itni der baad,
kaash meri laash ko haathon se jaalaate to sahi.........

meri daastaan per aaj hans raha hai zamaana,
tum mere fasaane duniya ko sunaate to sahi.................


Aapki.................Aarzuu..................... .


Aarzuu.....

Tere hoton se nikla har lafz dil mein utre….
Apna dard-d-dil hum batate kaise….

Teri ek chuan se lehra uth.te the armaan…..
Tere haathon mein zakm khilaate kaise…..

Peete hain paimaane tere nashili aankon se…..
Is jam-e-ishq ko hum rulaate kaise…..

Isi kashmakash mein tha ki tum laut aaogi…..
Varna doorion ko hum paas bulate kaise….

Badnaami ka darr tha teri mere sanam….
Hum duniya ko ye fasana sunaate kaise…..


tumhara apna....
Logged
Aman_rahi
Guest
«Reply #9 on: June 08, 2005, 01:42:00 PM »
Quote from: "thycreator"
wah wah...............very nice both of you.....

Yu hi sath mile tumhara toh ye safar mukkammal ho,
Sadiyon se bahut tanha hu mai iss bedard jahan mein....


Shukriya creator ji....

aapka apna....
Logged
Aman_rahi
Guest
«Reply #10 on: June 08, 2005, 01:43:31 PM »
Quote from: "Devdas_online"

bure logon ko bulane ki jarurat nahin padti, apne aap hi mil jaate hain,
acche logon ki kami hai, isliye unki raah dekhni padti hai


Devdaas ji.....

bahut khoob......

shukriya aapka.....

aapka apna.....
Logged
Aman_rahi
Guest
«Reply #11 on: June 08, 2005, 01:44:13 PM »
Quote from: "isha_verma7"
hey really nice Aarzuu n' Aman...GOOD & not bad "Thy".......good work!!!


Thanks Isha ji.....

tc.....
Logged
Aman_rahi
Guest
«Reply #12 on: June 08, 2005, 01:45:02 PM »
Quote from: "Meena"
wonderful by everyone!!! aman ji bohot achi shuruwat ki apne!!!!!

 :D


Shukria meena ji....

yunhi saath dete rahiyega.....
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #13 on: June 08, 2005, 05:06:05 PM »
Quote from: "Aman_rahi"
Doston.....

ek tazza gazal ehal-e-bazm ki nazar....

Duniya mein chahne waale kam hi mila karte hain……
Paraya dard apnaane waale kam hi mila karte hain….

Girte ko sambhalene waale milenge bahut, magar….
Haath bada, thaamne waale kam hi mila karte hain…..

Kis-kis se juoojhoge, ye ilzaam sang hi le jaana hai…..
Khaalis faisla sunane waale kam hi mila karte hain…..

Gila-o-shikwa se kutch na hoga tumhe bhi haasil……
roothe ko manane waale kam hi mila karte hain…..

Maayoos ho, mefil se dost, yun na utha kijiye…..
Sada de, bulaane waale kam hi mila karte hain……

Khuda ka shukra hai jo fooka apne armaanon ko…..
Varna, laash jalaane waale kam hi mila karte hain….

Kya ranj, jo hanste.N hai teri daastaan pe ^AMAN^
Mohabaat ke aise afsaane kam hi mila karte hain….


bohat khoobsurat nazm likhi hai amn ji,excellent work.
Logged
Aman_rahi
Guest
«Reply #14 on: June 09, 2005, 06:40:50 AM »
Quote from: "nidhi_yadein"


bohat khoobsurat nazm likhi hai amn ji,excellent work.


Shukriya Nidhi ji.....

khush rahiye....
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 01:32:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.159 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer