Ek gulaab ki kahani

by klaskar on April 17, 2010, 11:44:22 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 6296 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
Gulaab .... wo bhi laal rang ka... pyaar ki nishaani hoti hai... humein bhi kabhi kisi ne diya tha.... par aaj wo gulaab bas mere kisi kitaab k panno k bich sukhi murjhaayi si apne pyaar ko yaad kar rahi hai... aaj aas paas pyaar ka naamo nishaan nahi hai.. bas wo gulaab hai , main hoon aur meri tanhaayi hai...

kal tak jo gulaab tere pyaar ko mehkaya karta tha,
aaj wo kisi kitab me dabkar ek adhuri kahani sunata hai,
hum to uski laali se tere hothon ko rangna chahte the,
usi ke laal rang se tera maang bharna chahte the,
kal tak jiski khushboo se mehekta tha aangan mera,
hum uski khushboo se saara jahaan mehkana chahte the,

wo gulaab jo suraj ki paawan dhup se dhul k aaya tha,
aaj murjhaake beete lamho ki katha sunaya karta hai,
duniya k saare rishte todke tujhko apnana chahte the,
hum teri mohabbat se saara jahaan rangna chahte the,
kal tak jiske khilne se chehra khil jaata tha tera,
hum tere har pal ko waisa khilta dekhna chahte the,

wo gulaab jo tune ek roz haath me mere thamaya tha,
bhule bhatke ab to bas wo teri yaad dilata hai,
hum to uski pankhudiyon se ehsaas jagana chahte the,
uski hi narmi se tere gaalon ko sehlaana chahte the,
kal tak jiske laal rang se holi rangta tha mera,
hum to usi rang se har tyohaar ko rangna chahte the,

kal tak jo gulaab hamare khushion ki gaatha sunata tha,
aaj wo kisi kitaab me dabke ghum k ghazal sunata hai,
hum to uske laal rang se pyaar ko rangna chahte the,
jeewan k har pal me tere saath chalna chahte the,
kal tak tere hone se na dard se rishta tha mera,
aaj tere na hone se bas wo hai jo na chahte the...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ek Gulaab Ki Kahaani,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
GULAAB by α.в... in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kahaani Gulaab Ki,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Unkey gulaab sach hai, ki, gairoun sey alag hain! by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ek gulaab ki kahani by ~Hriday~ in Shayri-E-Dard
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: April 18, 2010, 01:29:06 AM »
 :hatsoff:Wah Kapil ji too good heart touching creation.bahut khoob likhte ho aap.keep it up. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #2 on: April 18, 2010, 04:20:29 AM »
Bahut umda lekhni hai aap ki Kapil
Bus yun hi likhte rahiye
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #3 on: April 18, 2010, 11:18:41 AM »
Bahut khoob kapil ji bahut hi dard bhara kalaam likha hai apne...
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: April 18, 2010, 05:38:46 PM »
Bahut bahut sukriya Madhu ji hamari kavita pasand karne k liye aur hamare dard ko samajhne k liye. aapki taarifen hi hain jo humein likhne k liye majboor karti hain.. Thanx a lot Madhu ji...!!!

:hatsoff:Wah Kapil ji too good heart touching creation.bahut khoob likhte ho aap.keep it up. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #5 on: April 18, 2010, 05:50:30 PM »
Wah wah Kapil ji bahot khoobsurat Dard-e-judaai ki kavita likhi hai aapne.  bahot khoob.
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #6 on: April 18, 2010, 06:30:17 PM »
Bahut bahut shukriya Rajesh ji... yunhi aap jaise paathak milenge aur hausla afzaai karte rahenge to hamare likhne ka silsila yunhi chalta rahega... bahut bahut shukriya Rajesh ji...!!!

Bahut umda lekhni hai aap ki Kapil
Bus yun hi likhte rahiye
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #7 on: April 18, 2010, 07:30:44 PM »
Bahut bahut shukriya Geet ji... aap hamare dard ko samajh paaye ise jyada aur kya chahiye humein...!!!

Bahut khoob kapil ji bahut hi dard bhara kalaam likha hai apne...
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: April 18, 2010, 08:03:59 PM »
bahut bahut shukriya Riyaz ji...!!!

Wah wah Kapil ji bahot khoobsurat Dard-e-judaai ki kavita likhi hai aapne.  bahot khoob.
Logged
dead heart
Guest
«Reply #9 on: April 18, 2010, 08:35:47 PM »
Wakei dost, bahaut acha likha hai..Aisa laga ke mere dil ko ke koi uski zuban ban yeh saab suna raha ho...bahaut khoob! Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #10 on: April 19, 2010, 02:25:30 PM »
bahut bahut shukriya Rahim bhai...!!!

Wakei dost, bahaut acha likha hai..Aisa laga ke mere dil ko ke koi uski zuban ban yeh saab suna raha ho...bahaut khoob! Applause Applause
Logged
neelgold
Guest
«Reply #11 on: April 19, 2010, 11:45:28 PM »
OMG.......
Its so beautiful, so romantic & so painful also...

I hv no wrods to comnt on dis really.....

I m nowhr in front of u all guyz...
Its jst supreb Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Thumbs UP Thumbs UP hello2 hello2

woh ek Gualb jo Hum saar pe lagya karte the
ussi pe voh apna dilo jaan lutya karte the.......
Gulaab .... wo bhi laal rang ka... pyaar ki nishaani hoti hai... humein bhi kabhi kisi ne diya tha.... par aaj wo gulaab bas mere kisi kitaab k panno k bich sukhi murjhaayi si apne pyaar ko yaad kar rahi hai... aaj aas paas pyaar ka naamo nishaan nahi hai.. bas wo gulaab hai , main hoon aur meri tanhaayi hai...

kal tak jo gulaab tere pyaar ko mehkaya karta tha,
aaj wo kisi kitab me dabkar ek adhuri kahani sunata hai,
hum to uski laali se tere hothon ko rangna chahte the,
usi ke laal rang se tera maang bharna chahte the,
kal tak jiski khushboo se mehekta tha aangan mera,
hum uski khushboo se saara jahaan mehkana chahte the,

wo gulaab jo suraj ki paawan dhup se dhul k aaya tha,
aaj murjhaake beete lamho ki katha sunaya karta hai,
duniya k saare rishte todke tujhko apnana chahte the,
hum teri mohabbat se saara jahaan rangna chahte the,
kal tak jiske khilne se chehra khil jaata tha tera,
hum tere har pal ko waisa khilta dekhna chahte the,

wo gulaab jo tune ek roz haath me mere thamaya tha,
bhule bhatke ab to bas wo teri yaad dilata hai,
hum to uski pankhudiyon se ehsaas jagana chahte the,
uski hi narmi se tere gaalon ko sehlaana chahte the,
kal tak jiske laal rang se holi rangta tha mera,
hum to usi rang se har tyohaar ko rangna chahte the,

kal tak jo gulaab hamare khushion ki gaatha sunata tha,
aaj wo kisi kitaab me dabke ghum k ghazal sunata hai,
hum to uske laal rang se pyaar ko rangna chahte the,
jeewan k har pal me tere saath chalna chahte the,
kal tak tere hone se na dard se rishta tha mera,
aaj tere na hone se bas wo hai jo na chahte the...

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #12 on: April 20, 2010, 02:38:56 PM »
Bahut bahut shukriya Neel ji... aap mere feelings ko samajh paaye aur use mehsoos kar paaye isse jyada aur kya chahiye mujhe... bahut bahut shukriya...aapne jitna likh diya bahut hai... aur aisa q kehte hain ki "i am nowhr in front of u all guyz"... aap bahut achcha likhte hain... sach...

aapne jo do lines likhe hain laal gulaab k rang me bahut khoobsurat hain... really ... beautiful...

kaash tum is gulaab ko apne aankhon k saamne rakhti,
kamse kam use dekh ke mujhe tum kabhi kabhi yaad to karti,
par is gulaab to tumne apne baalon me lagaya hua hai,
jahaan bhoole se bhi tumhaari nazar nahi padti...


OMG.......
Its so beautiful, so romantic & so painful also...

I hv no wrods to comnt on dis really.....

I m nowhr in front of u all guyz...
Its jst supreb Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Thumbs UP Thumbs UP hello2 hello2

woh ek Gualb jo Hum saar pe lagya karte the
ussi pe voh apna dilo jaan lutya karte the.......
Logged
Saman Firdaus
Guest
«Reply #13 on: November 10, 2013, 10:29:37 PM »
Hriday jii... Just awesome... no words to say...
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 10:53:52 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer