Ek HIRAN ke bachche ki KAHAANI...! / एक हिरन के बच्चे की कहानी.......!

by DhavalRami on September 27, 2009, 12:14:34 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 5570 times)
DhavalRami
Guest
Mere Pyaare dostoN:

Namaskaar aur Aadaab!

yeh ehsaas maine bahot pehle liKhe the.. ik roz maiN Discovery chanel par wild life ke Ooper aa rahaa progg. deKh rahaa thaa .. maine uss meiN deKhaa kii aik hiran ka bachchhaa ess duniya meiN janam letaa hai.. wo bachchaa bahot hi pyaara thaa. ..yahaaN sab kuch uske liye nayaa thaa .. wo ess duniyaa ko samajHne kii kosiSh kar rahaa thaa.. par wo ess duniyaa ko poori taraH samjHe ussey pehle hi wo aik Sher kaa Shikaar ho jaataa hai.. maiN deKh rahaa thaa uss maasoom sey hiran ke bachche kii maaN kii wo laachaar aaNKheN aur uss meiN Chhupe huye uss dard ko..Shaayad yahi ziNdagee hai.. maut jaane kab ziNdagee ke darwaaze par dastak de jaaYeN.. mujhe nahiiN pataa maine ess kosiSh ke saath kitanaa iNsaaf kiyaa hai.. bas dil sey jo lafz nikle the wo aap sab ke saath aaj baaNT rahaa huuN.. aap sab kii raa'ye aur sujHaav kaa iNtezaar raheNgaa..!

************************************

मैं हुँ एक हिरन का बच्चा
और यह मेरी कहानी है
एक पल में मिले ज़िन्दगी
तो दूजे में मौत भी आनी है

ज़मीं पर मेरा, वोह पेहला क़दम
फिर दौड्ते हुए वो माँ के पास जाना
लड़खड़ाते क़दम को आगे बढ़ा के
जा के माँ के आँचल में मेरा छीप जाना

हरी हरी घास और वह हरी पत्तियाँ
नयी उमंगे जगाएँ उड़ती हुई तितलियाँ
हर और देखूँ मैं ईस अजनबी दुनिया को
अपनी सी लगे मेरी माँ की प्यारी सी अखियाँ

खेलूँ, कुदु, दौडू, भागू
हर पल मैं अपनी माँ को सताउ
फिर यहाँ वहाँ भाग दौड के
जा के अपनी माँ के पास बैठ जाउ

ईस ख़ुशी भरे लम्हों में
एक दिन गम का माहॉल छा गया
जब शेर मुझे उसके मुह मे लेके
अपना शिकार बना कर चला गया

भागने की कोशिश की थी बहोत
पर मैं शेर के पंजे से बच ना सका
ज़िन्दगी के उस आख़िरी पल में
अपनी माँ को भी मैं देख ना सका

कुछ पल के लिये ही सही मुझे
ईस अजनबी दुनिया ने अपना बनाया था
मेहसुस कर रहा था माँ की रोती हुई उन आँखो को
जब शेर ने मुझे अपना निवाला बनाया था

मैं हुँ एक हिरन का बच्चा
बस यह मेरी कहानी है

बस यह मेरी कहानी है. .......!

************************************

maiN huuN aik hiran kaa bachchaa
aur yeH merii kahaani hai
aik pal meiN mile ziNdagee
to duje meiN maut bhi aani hai

zameeN par mera woH pehalaa kadam
fir dauDte huye wo maaN ke paas jaanaa
laD.Kadaate kadam ko aage baDhaake
jaa ke maaN ke aaNchal meiN meraa Chhiip jaana

hari hari GhaaNs aur woh hari pattiYaaN
naYii umaNge jagaaYeN uDtii hu'ii titliYaaN
har aor deKhuN maiN ess ajnabee duniyaa ko
apni sii lage meri maaN ki pyaari si aKhiYaaN

KheluN, kuduuN. dauDu , bhaaguN
har pal maiN apni maaN ko sataauN
fir yahaaN wahaaN bhaag dauD ke
jaa ke apni maaN ke paas baiTh jaau

ess KhuShi bhare laMhoN meiN
ek din Gham ka maahol chhaa gaYaa
jab Sher mujHe uss ke muh meiN leke
apnaa Shikaar banaa kar chalaa gaYaa

bhaagane kii kosiSh kii thi bahot
par maiN Sher ke paNje sey bach naa sakaa
ziNdagee ke uss aaKhiri pal meiN
apani maaN ko bhee maiN deKh naa sakaa

kuchh pal ke liye hi sahi mujHe
ees ajnabee duniyaa ne apnaa banaaYa thaa
meHsoos kar rahaa tha maaN ki rotii huii uN aaNkhoN ko
jab Sher ne mujHe apnaa nivaalaa banaayaa thaa

maiN huuN aik hiran kaa bachchaa
aur yeH merii kahaani hai

bas yeH merii kahaani hai....!
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #1 on: September 27, 2009, 01:06:46 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause

beautiful written Dhaval hi.. Bahooth i Behtreen kalam pesh kiya hai.. Ek hiran ke feelings ko bakoobi bayaan kiya hai.. bahoot Khoob!
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #2 on: September 27, 2009, 01:55:05 PM »
bahoot bahut khub dhaval ji good execllent  Applause Applause Applause Applause
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3 on: September 27, 2009, 02:16:08 PM »
Bahut khoobsurti se likha hia, aur samjha jaaye to kaafi kuch baatein kehti hia aapki ye kavita.

Really very very beautifuly craved Clapping Smiley
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #4 on: September 27, 2009, 06:49:10 PM »
Dhaval Bhaiiiiiiiiiiiii...... Yaar Waqai mere Dost.. Aap Qalam se Likha Har Lafz Apne aap Me ek Gazal ek Nazm Hota hai.. Aapki Rachna Ki taareef Ke liye Mere paas lafz Kam padh gaye Hain.. Bahut Hi Umda Soch ke sath.. ek Behtreen Rachna Pesh ki hai aapne..!! Ek Succhaai se aur Dard se Ru-b-Ru Karwaaya Hai aapne..!! Bahut Khooooooob.. Applause Applause


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


**~** Mann **~**
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #5 on: September 28, 2009, 09:26:20 PM »
Bahut dard bhari kahani likha aapne Dhaval ji really touched,mindblowing creation,excellent. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause sad7
Logged
DhavalRami
Guest
«Reply #6 on: October 03, 2009, 03:39:00 AM »
Applause Applause Applause Applause Applause

beautiful written Dhaval hi.. Bahooth i Behtreen kalam pesh kiya hai.. Ek hiran ke feelings ko bakoobi bayaan kiya hai.. bahoot Khoob!

Divyaa jee:

aapkaa saath milaa bahot hi KhuShii hu'ii.. ShuKriyaa'h!

paRhte rahe.n  yuuNhi.. KhuSh raheN.. apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval

Logged
DhavalRami
Guest
«Reply #7 on: October 12, 2009, 04:53:20 PM »
bahoot bahut khub dhaval ji good execllent  Applause Applause Applause Applause

SHuKriyaah rishi jee

yuuNhi saath dete raheN aage bhee!

duaaoN ke saath ijazat

aapka

~ Dhaval
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 11:36:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer