raajaindra
Guest
|
yun hi keh daala us shokh ne, hum se mohabbat na kar bahot mar.te hain hum pe, tu to apni zindgi jaaya na kar
tujh ko mil jaayenge aur bhi wafa karne waale hum jawan hain abhi, ham se ye iltiza na kar
koi rakhaasa, koi tawaif nahi hum, ke tujhe baandh kar rakhen tujh se hum nibah naa paayenge, hum par apni ummeeden barbaad na kar
chhor de meri raah, mujh pe yun apni wafa ke pehre naa laga kai dil hain bichhe meri raah me, hum kis kis se nibahenge
jab doobne ko hoga umr ka taara, kisi ek ke ho jaayenge chhahe to kasam le le, use na hum ne chhaha hai, na kabhi chhahenge
us anjaan, ajnabi se mere dil ka naa koi naata hoga, bas padhega koi kaazi nikaah aur mehar ke chand sikkon me mera sauda hoga
tu masoom hai, anzaan hai hasino ke rasm-o-riwaz se yaara mujh se jo tu karta hai, usi paak mohabbat ki kasam chala jaa is aalam se, yahan na tera gujara hoga duniya bnati hai chand sikkon, chand zeene ke zaruraton me 'raaj'
mere armaan hain behisaab, aur tujhe to apni do waqt ki roti ka bhi na hisaab hoga ai naakam washinde is be-gairat duniya ke, teri sacchi mohabbat ka yahan na koi khareed.dar hoga
tujh se, sirf tujh se hai kiya saccha ishq, ai be-daulat aashiq mere magar, mere armaano ko parwaz dene ko teri mohabbat kaafi nahi, aur teri paak mohabbat ko koi wazib sila de paun, mere daaman me itni wafa baaki nahi
|