Ek Kissa Tumhein Bataein Hum....

by Alam Qazi on June 10, 2009, 05:28:05 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 956 times)
Alam Qazi
Guest

Ek kissa tumhein bataein hum
jab they 18  20  baras ke hum

Ankhon mein kuch sapne sajaye
Dil mein kuch umangey jagaaye
Khushiya'n har taraf, Na tha koi gham
kya bataein kaise jeete they hum
jab they 18  20  baras ke hum

Aaj wo umr ka daur nahi
wo wakt, wo pal, wo yaar nahi
wo umangey nahi, Ab tanha hai hum
Aaj sochte hain, kitne sacche they hum
jab they 18  20 baras ke hum

Ek kissa tumhein bataein hum
jab they 18  20 baras ke hum.....


 tearyeyed tearyeyed
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kissa gum tumein sunae hum anso kaha se laye hum by Dewana_Badal in Ghazals
APKA KISSA by Aanand in Shayari -e- Husn
kissa barson ka by amritamohini in Shayeri for Dard -e- Bewafai
ulfat ka kissa. by guhar in Shayri for Dard -e- Judai
®® khatm kar ye kissa ®® by sarfira in Share: Poetry of Pain
anithamurugan
Guest
«Reply #1 on: June 10, 2009, 05:34:20 AM »
Bhahut Khoob Alamji!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #2 on: June 10, 2009, 06:58:30 AM »
Wah Kya baat Hai Alam Qazi Saheb.. Bahut Bahut Khoooob.. 18-20 Saal Ki Umar Waqai Zindgi ka Subse Khubsoorat Padaaw hota Hai.. Naye Naye Umang Hoti Hai.. Naye Naye Jazzbaat hote Hain.. Isi Umar Me Insaan Sapne dekhna Shuru karta hai.. Usual Smile Usual Smile

Bahut Khoooooob Alam Bhai.. aapki yeh Rachna padh Kar Mujhe Bhi apni Yeh Umar yaad aa gai.. Har Lafz Such likha hai aapne.. Superb Work.. Applause Applause


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


**~** Mann **~**


Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: June 10, 2009, 07:01:31 AM »
Bahut accha likha hai Alam ji..
18-20 ka umer mein sab kuch naya naya aur sab bahut accha hi lagta hai.
Good work  Thumbs UP
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #4 on: June 10, 2009, 07:10:12 AM »
bahut khoob Alam ji.bahut acha likhte ho aap. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Alam Qazi
Guest
«Reply #5 on: June 10, 2009, 07:13:29 AM »
shukriya dosto....

har insaan iss machalti huwee umr se guzarta hai, aur bahot kuch sochta hai bunta hai.... apne future ke liye..
meri yahi duwa hai.... un logo'n ke liye jo is wakt is umr ke padav par hai.. aur apne aane wale future ke liye sapne sajo rahen hain....
unki har tamannn, har khwahish, har aarzu puri ho... unke sapno ki ladiyo mein se ek bhi daana na tute...

ameeen....
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #6 on: June 10, 2009, 10:17:15 AM »
wah bohut khoob Alam ji ,,, Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: June 10, 2009, 09:20:37 PM »

Ek kissa tumhein bataein hum
jab they 18  20  baras ke hum

Ankhon mein kuch sapne sajaye
Dil mein kuch umangey jagaaye
Khushiya'n har taraf, Na tha koi gham
kya bataein kaise jeete they hum
jab they 18  20  baras ke hum

Aaj wo umr ka daur nahi
wo wakt, wo pal, wo yaar nahi
wo umangey nahi, Ab tanha hai hum
Aaj sochte hain, kitne sacche they hum
jab they 18  20 baras ke hum

Ek kissa tumhein bataein hum
jab they 18  20 baras ke hum.....


 tearyeyed tearyeyed

Ek alag peshkash, kuch alag khyalaat....Bohot Khoob Alam Ji
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: June 10, 2009, 10:26:58 PM »
Bahaut khoob Alam jee...Ek alag hi peshkash ki hai...Applause
Logged
syednaami
Guest
«Reply #9 on: June 10, 2009, 10:34:48 PM »
Alam saahib,
 kya dard bhari nazam paish ki aap ne... wah...
Logged
mistufer
Guest
«Reply #10 on: June 10, 2009, 11:02:05 PM »
alam ji
bahut sahi likha hai vo umar ki matwali hoti hai
bahut se sapne sanjoti hai. par aage badhte huye
raah main kahin sab kuch kho dete hain
aor achanak hum tanha rah jate hain

bahut sare jazbaat aapne piroye hain
daad kabool kijiye
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 09:39:51 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.159 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer