Ek nishani rah jayegi............

by Pooja on February 20, 2006, 09:49:10 AM
Pages: 1 ... 22 23 24 25 [26] 27 28 29
Print
Author  (Read 24083 times)
Pooja
Guest
«Reply #375 on: January 10, 2008, 03:54:42 PM »
WAH GOOD ONE!!

Hosh mai ab yah dil rahta nahi
besudhi mai dil mai tera naam rahta nahi
pukar hi jaata hai tujhe waqat-bewaqat
dil per tere kyun mera nishan ab rahta nahi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
amar ho jayegi by qayda in Shayri-E-Dard
dosti bikhar jayegi by myloveosho in Shayri for Dard -e- Judai
ZINDAGI PHIR SAWAR JAYEGI by kyon dil aaj dukha hai in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tu Chali Jayegi To Ye Dhadkan Rook Jayegi...........Touhid by Mohammad Touhid in Shayri for Dard -e- Judai
niraj_191
Guest
«Reply #376 on: January 10, 2008, 04:27:57 PM »
ishq-0-junnoon me ab apne jajbat khota nahi
tanha raton me kisike liye ab me rota nahi
ek zalak na ban paye tasavur me mere teri
yahi soch kar main sari rat sota nahi
Logged
Pooja
Guest
«Reply #377 on: January 10, 2008, 04:32:13 PM »
wah kaya baat hai bahoot khoob Niraj ji..

sote main jagate main, bas ek ussi ka najara hai
hum ab rahe kaha, uski yaadon ka ab sahara hai
na main uski, na wo mera, per dil ko kaha gawara hai
door talak najar utha kar dekha, bas ek wo hi dil ko payara hai....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #378 on: January 10, 2008, 05:55:00 PM »
BAHUT KHOOB..SAB NE KHOOB LIKHA HAI..

USS SHAKS SE BICHAD KAR,
KUCH IS TARAH SE DIN GUZRE KE
HUM KABHI RO BHI NA SAKE
ASHQ JAME RAHE IN AANKHON MEIN
KUCH IS TARAH....
KE ANKHON SE ASHKO KO KHO BHI NA SAKE

SOCHTA HOON KABHI TO
UNKI YAADON KE SAATH IN AANSUO KO BAHA DOON
PAR WOH KHWAAB KI TARAH AANKHON MEIN THE
HAQEEQAT MEIN SACH HO BHI NA SAKE..

BASERA HO JAATA HAI HAR INSAAN KA KAHIN NA KAHIN
PAR USS SHAKS SE JO BICHADE THE "KHWAISH"
KISI AUR KE HO BHI NA SAKE...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #379 on: January 10, 2008, 06:13:13 PM »
wah kaya baat hai... bahoot khoob khwaish ji!!
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #380 on: January 11, 2008, 02:14:59 PM »
wah kaya baat hai bahoot khoob Niraj ji..

sote main jagate main, bas ek ussi ka najara hai
hum ab rahe kaha, uski yaadon ka ab sahara hai
na main uski, na wo mera, per dil ko kaha gawara hai
door talak najar utha kar dekha, bas ek wo hi dil ko payara hai....

had se jyada jise chaha vo aaj kyun paraya hai
uske dard ne aaj mujhe hasaya hai
yakeen nahi hota ki unke jahen me mera saya hai
izhar mohabat ka to unhone aaj jataya hai

Logged
Pooja
Guest
«Reply #381 on: January 11, 2008, 02:25:43 PM »
izhaar dil ka wo samjh na sake
ikraar dil ka wo samjh na sake
duniya ke liye chadaya jo nakab wo hi dekhte rahe
dil per hue jakshm wo dekh na sake
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #382 on: January 11, 2008, 02:30:04 PM »
ab agar unke dard ko dekh kar kuch likhu
to unka likha galat ho jayega
zehan se mita diya hai unko,agar ye kehdu
to sayad unka zakham bhar jayega
Logged
Pooja
Guest
«Reply #383 on: January 11, 2008, 02:32:42 PM »
wah kaya baat hai.. bahoot khoob niraj ji!!!

koi kuch kahe zakhamo ko fark nahi padta
dard hai kahin ander, kisi ko nahi dikhta
na jaane kon si baat per ro deta hai be-waqat
hai dard ka saroor itna ki koi marhum nahi dikhta
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #384 on: January 11, 2008, 02:57:37 PM »
aaj bhi tere saher me meri bewafai ki kahaniya hai
zakhmo ko apne bharna mat yahi to meri aakhri nishaniya hai
bemaut mara gaya tera deewana tere hi saher me
aaj bhi tere saher me meri pareshaniyan hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #385 on: January 11, 2008, 03:03:51 PM »
Log bhool jaate hai kuch dino ke baad
kon rakhta hai yaad waqat nikal jaane ke baad
rahte hai sif zakham pyar karne walo ke pass
rah jaati hai bas nishania waqat nikal jaane ke baad
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #386 on: January 11, 2008, 03:14:48 PM »
BAHUT KHOOB POOJAJI & NIRAJJI...

DIL KI AAG LAFZO SE BUJHAI NAHI JAATI
DIL KI AARZO MEHFIL MEIN BATAYI NAHI JAATI
JO BAATE HAI MEHAZ TANHAI KI
BHARI MEHFIL MEIN WOH BAAT SAMJHAI NAHI JAATI

Logged
Pooja
Guest
«Reply #387 on: January 11, 2008, 03:22:36 PM »
good one khwaish ji...

dard had se bad jaaye to saroor aa jaata hai
lakh chupye dard, lafzo mai nikal jaata hai
dekhtein hai jab mehfil mai dilo main dard
na chahte hue bhi dard-e-bayan nikal jaata hai!!!
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #388 on: January 11, 2008, 03:30:43 PM »
Pooja, Niraj, Khwaish

Kya baat hai !

Sab ek se badh kar ek !

Pooja ke wapis aate he shayari ki mehfil jam gayi !

Keep going Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #389 on: January 11, 2008, 03:37:54 PM »
TOO GOOD POOJAJI!!

CHUPAI HAI HUMNE APNI
DARD BHARI ZINDAGI IN AANKHON MEIN
WOH FIR BHI HUM SE
MUSKURANE KI FARIYAAD KARTE HAI...

HUMEIN  TO MOHABBAT SI HAI  ANDHERO SE
UNKI YAADON KA DIYA JALA KAR
ROSHNI KAR LIYA KARTE HAI...
Logged
Pages: 1 ... 22 23 24 25 [26] 27 28 29
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 27, 2024, 07:51:14 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer