Ek Shaira Ko Shabdon Kee Kamee Padrgaee…
1) Muhabbat K khael mein maine khudko awwal sahmjha thah, aaj mein khudko zaamaanay k peehchaeh kargaee,
Ishq k ehtraaf k muamlay mein, ek shaira ko shabdon kee kamee padrgaee…
2) Khamoshee nazron ko dubo deygee, palkon mein ushqon kee nambee bhargaee…
Ishq k ehtraaf k muamlay mein, ek shaira ko shabdon kee kamee padrgaee…
3) Ub mustaqbil mein bhi uss ko paanay ka sawaal nahee utt tha, wo umeed bhi dil mein margaee,
Ishq k ehtraaf k muamlay mein, ek shaira ko shabdon kee kamee padrgaee…
4) Raathon ko chandni mein bihkray saye khauf dila thay hain, aur undhayron mein main khudse dar gaee,
Ishq k ehtraaf k muamlay mein, ek shaira ko shabdon kee kamee padrgaee…
5) Yoon tho hum umangon se wabasta hain, par na jaanay kyon seenay mein AARZU kee layhaer ubhar gaee…
Ishq k ehtraaf k muamlay mein, ek shaira ko shabdon kee kamee padrgaee…
6) Dunya se dhukay chuhpe hum chalthay thaeh, aaj ye baat har sonch mein utar gaee…
K Ishq k ehtraaf k muamlay mein, ek shaira ko shabdon kee kamee padrgaee…
7) Anjaam kya banayga mera? …Jo Ishq k ehtraaf ke muamlay mein, muhje, ek shaira ko shabdon kee kamee padrgaee...
~Sidra Aarzu Ahmed~
Nov/18/08
The reason this poem's stanzas are numbered, is because initially, this poem was supposed to be a couplet, ek shair, with one rhyme pattern, par jaise jaise mein lihkthee gaee, aur khayalt shabdon mein badal gaye... if u have continuations... please agay lihkeeyay...
Thank You...
