Gham

by Nino on October 06, 2004, 08:50:25 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 12
Print
Author  (Read 10055 times)
Nino
Guest
Na gham hai na hai ehsaas khushi ka
na deed hai na hai intezaar kisi ka
main to aklela chal raha hoon andheron mein
ab to ye bhi yaad nahi kab hua tha samna rosheni ka
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
gham by zindagi_kal_ho_na_ho in Shayri-E-Dard
GEHRA GHAM by harshmeet in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Gham Ko paseena Aa Gaya,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
Gham ko gham ki tarah guzaro tum.....( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Ghazals
Gham Aanye Pe Itnaa Gham Na Kar. by surindarn in Miscellaneous Shayri
Pooja
Guest
«Reply #1 on: October 06, 2004, 07:38:49 PM »
NiceNino...
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #2 on: October 07, 2004, 06:02:13 AM »
nice one nino...............khoob......


in dil ki dhadkanon ka maine kyon aetabaar kia
sehra ki dhool hoke aik samandar se piyaar kia
yaqeen to hai ke bichar kar tujh se na milenge kabhi
jab tak dharakta raha yeh dil hamne tera intezaar kiya…..
Logged
Nino
Guest
«Reply #3 on: October 07, 2004, 06:10:23 AM »
bahut bahut shukria aap dono ka waheed ji aur pooja ji thank u
Logged
Nino
Guest
«Reply #4 on: October 07, 2004, 06:11:34 AM »
aur waheed ji aap ka to jawab nahi aaisa sher likha hai ki mai sooch mein pard gaya hoon ki kya likhon
Logged
Nino
Guest
«Reply #5 on: October 07, 2004, 06:24:27 AM »
Ek Koshish

aye hai toofan kayi meri zindagi mein
bikhre hai arman kayi meri zindagi ke
ab to na hai toofan ke aane ka daar
na hai muhje is zamane se koi aas per

Jiye ja raha hoon tere intezaar mager
kabhi to hogi is shyam ki saher
kayi diye jal kar bhuj gaye hai
andheron ka bad raha hai asaar

Zindagi kis mood per aa ke ruk gayi hai
ab to ye bhi yaad nahi kis cheez ka naam khushi hai
ehsaas e gham to maar chuka hai
ab to sirf sans ka tanau ruka hai

Qaber pe aa ker meri mujh pe ye ehsan na karna
is pyaar ki khatir koi aaisa kaam na karna
main to jilonga gumnaam andheroon mein
khud ko meri khatir badnaam na karna
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #6 on: October 07, 2004, 03:19:51 PM »
Wah!!!!!!!!!1   Nice  Nino.......................Bahot Khoob..........accha jawaab aap ka.......
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #7 on: October 07, 2004, 03:35:54 PM »
andehree raat main rehtay tou kitna accha thaa
hum apni zaat main rehtay tou kitna accha thaa
dukhoun nai bant liya hai tumharay baad humain
tumharay haath main rehtay tou kitna accha thaa.............
Logged
Nino
Guest
«Reply #8 on: October 07, 2004, 05:43:04 PM »
wah waheed ji
Logged
Nino
Guest
«Reply #9 on: October 07, 2004, 05:44:52 PM »
koi humdum na raha
koi sahara na raha
hum kisi ke na rahe
koi humara na raha (NM)
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #10 on: October 08, 2004, 10:05:19 AM »
Wah!!!!!!!!  Nino................

mutmaen ho dil to sehraon ke sunate bhi geet
dil ujar jae to shehron mein bhi tanhaiyan bohat..................
Logged
Nino
Guest
«Reply #11 on: October 09, 2004, 10:36:01 AM »
wah weheed ji nice
Logged
Nino
Guest
«Reply #12 on: October 09, 2004, 10:45:24 AM »
Umer bhar nibhaungi saath tera ye khehti hai bad kismati meri
ab to ye bhi yaad na raha ki kab dekhi thi maine surat teri
un jalwo se nikal kar dekho to zara ki kaisi hai zindagi meri
tum aajao mere paas aaisi nahi kismat meri

umer bhar nibhaungi saath tere ye khehti hai bad kismati meri

main to laot jaata us rah se hi jis per padi thi nigah teri
kismat ko tha manzoor ki hui mulakat  teri aur meri
ab to laot jaoun to jaoun kahan har taraf aati hai nazer surat teri
tum khush rahon har dum bas yahi hai khuda se ek duwa meri
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #13 on: October 09, 2004, 02:55:55 PM »
Waah.............Nino..........Nice Words.....

main to laot jaata us rah se hi jis per padi thi nigah teri
kismat ko tha manzoor ki hui mulakat teri aur meri
ab to laot jaoun to jaoun kahan har taraf aati hai nazer surat teri
tum khush rahon har dum bas yahi hai khuda se ek duwa meri.
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #14 on: October 09, 2004, 03:02:05 PM »
Tum kya jaano main khuda se kya maangta hoon
Tumhari salamati ki hamesha dua mangta hoon

agar anjaane mein ho jaaye koi tumse khata
tow do mujhe uski saza yeh maangta hoon

agar lag jaaye koi chot tumko ya ho jaao tum pareshaan
tow mere haq mein woh saari takleefein maangta hoon

ya khuda mere mehboob ko ghum se door rakhna
din raat tumhaare saare ghum maangta hoon

tum ho hameshaa kaamyaab tumhaari har khwaahish puri ho
bus yeh chaahti hoon aur tumhari khushi maangta hoon

Main jaanti hoon ke tum mere nahin ho lekin
main hameshaa khuda se tumhaara saath maangta hoon ........
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 12
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 06:34:39 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer