Ghazal: kaaSh dunyaa meiN ye "kaaSh" na hotaa..!

by DhavalRami on August 15, 2009, 05:33:08 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3332 times)
DhavalRami
Guest
Mere pyaare dostoN:

Aadaab aur namaskaaR..!

aaj aik baar fir sey apnii Ghazal ko liYe bazm meiN haaZir huaa huuN..ummid kartaa huuN ees baar bhee aap sab kaa saath mujHe mileNgaa aur merii yeH chhoTii sii kosiSh aap sab ko pasaNd aaYeNgii..apnii raa'eY aur sujHaav Z^aroor deejiYegaa..mulA'iizaa farmaaYeN"



*********************************
beHr:2122/2221/122
*********************************

kaaSh dunyaa meN ye"kaaSh"na hotaa
ziNda ho kar bhii maiN laaSh na hotaa

Gar nibhaate mujHse riShta wafaa kaa
be_wafaa_ii kaa ehsaas na hotaa

tujH sitamgar seY Shikwaa nahiN dil ko
kaaSh dil ke koYii paas na hotaa

dil meN apneY tujH ko ham na basaate
Pyaar pe ti're jo viShwaas na hotaa

teri ruKhsat pe Ghum itna na hotaa!
tuu "Dhaval" kaa jo yuuN khaaS na hotaa

**********************************
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #1 on: August 15, 2009, 05:44:54 AM »
Wah Dhaval bhai.. Dard Har Lafz Me Nazar aa raha hai.. Bahut hi Touching Gazal Yahan Pesh Ki Hai aapne... Lajawab Likha hai.. Applause Applause


**~** Mann **~**
Logged
cara
Guest
«Reply #2 on: August 15, 2009, 01:24:12 PM »
Mere pyaare dostoN:

Aadaab aur namaskaaR..!

aaj aik baar fir sey apnii Ghazal ko liYe bazm meiN haaZir huaa huuN..ummid kartaa huuN ees baar bhee aap sab kaa saath mujHe mileNgaa aur merii yeH chhoTii sii kosiSh aap sab ko pasaNd aaYeNgii..apnii raa'eY aur sujHaav Z^aroor deejiYegaa..mulA'iizaa farmaaYeN"



*********************************
beHr:2122/2221/122
*********************************

kaaSh dunyaa meN ye"kaaSh"na hotaa
ziNda ho kar bhii maiN laaSh na hotaa

Gar nibhaate mujHse riShta wafaa kaa
be_wafaa_ii kaa ehsaas na hotaa

tujH sitamgar seY Shikwaa nahiN dil ko
kaaSh dil ke koYii paas na hotaa

dil meN apneY tujH ko ham na basaate
Pyaar pe ti're jo viShwaas na hotaa

teri ruKhsat pe Ghum itna na hotaa!
tuu "Dhaval" kaa jo yuuN khaaS na hotaa

**********************************
KYA BAAT HAI DHAVAL JI........

KAASH DUNIYA MEIN YE KAASH NA HOTAA,
TOH JEENE KA MAAZA KHAAS NA HOTAA.

GAR NIBHAATE MUJHSEY RISHTA WAFFA KA,
BE-WAFFAYI KYA HOTI HAI,KAISEY PATA HOTAA.

TUJH SITAMGAR SE SHIKWAA NAHIN DIL KO,
GUM KE SAATH, KHUSHI BHI TOH DI HAI DIL KO.

DIL MEIN APNE HUM TUJH KO NA BASAATE,
HAR HAAL MEIN ZINDAGI,KAISEY JEE PAATE.

TERI RUKSAT PE GUM ITNA NA HOTA,
GAR TU "DHAVAL" KO JEENE KA RAAZ NA DETA.
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #3 on: August 15, 2009, 05:25:58 PM »
bahut bahut bahut hi khuuuuub Dhaval ji  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aapne khub saath diya cara ji Applause Applause Applause
Logged
aaina
Guest
«Reply #4 on: August 15, 2009, 06:15:30 PM »
Mere pyaare dostoN:

Aadaab aur namaskaaR..!

aaj aik baar fir sey apnii Ghazal ko liYe bazm meiN haaZir huaa huuN..ummid kartaa huuN ees baar bhee aap sab kaa saath mujHe mileNgaa aur merii yeH chhoTii sii kosiSh aap sab ko pasaNd aaYeNgii..apnii raa'eY aur sujHaav Z^aroor deejiYegaa..mulA'iizaa farmaaYeN"



*********************************
beHr:2122/2221/122
*********************************

kaaSh dunyaa meN ye"kaaSh"na hotaa
ziNda ho kar bhii maiN laaSh na hotaa

Gar nibhaate mujHse riShta wafaa kaa
be_wafaa_ii kaa ehsaas na hotaa

tujH sitamgar seY Shikwaa nahiN dil ko
kaaSh dil ke koYii paas na hotaa

dil meN apneY tujH ko ham na basaate
Pyaar pe ti're jo viShwaas na hotaa

teri ruKhsat pe Ghum itna na hotaa!
tuu "Dhaval" kaa jo yuuN khaaS na hotaa

**********************************


bhut khoob dhaval ji ek mukammal ghazal daad hazir hai janaab
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: August 15, 2009, 06:49:29 PM »
Mere pyaare dostoN:

Aadaab aur namaskaaR..!

aaj aik baar fir sey apnii Ghazal ko liYe bazm meiN haaZir huaa huuN..ummid kartaa huuN ees baar bhee aap sab kaa saath mujHe mileNgaa aur merii yeH chhoTii sii kosiSh aap sab ko pasaNd aaYeNgii..apnii raa'eY aur sujHaav Z^aroor deejiYegaa..mulA'iizaa farmaaYeN"



*********************************
beHr:2122/2221/122
*********************************

kaaSh dunyaa meN ye"kaaSh"na hotaa
ziNda ho kar bhii maiN laaSh na hotaa

Gar nibhaate mujHse riShta wafaa kaa
be_wafaa_ii kaa ehsaas na hotaa

tujH sitamgar seY Shikwaa nahiN dil ko
kaaSh dil ke koYii paas na hotaa

dil meN apneY tujH ko ham na basaate
Pyaar pe ti're jo viShwaas na hotaa

teri ruKhsat pe Ghum itna na hotaa!
tuu "Dhaval" kaa jo yuuN khaaS na hotaa

**********************************


Bohot Khoob Dhaval Ji  Applause Applause Applause

Nice work Kaash Ji, Cara Ji  icon_thumleft
Logged
DhavalRami
Guest
«Reply #6 on: August 17, 2009, 05:06:52 AM »
Wah Dhaval bhai.. Dard Har Lafz Me Nazar aa raha hai.. Bahut hi Touching Gazal Yahan Pesh Ki Hai aapne... Lajawab Likha hai.. Applause Applause


**~** Mann **~**

Vicky bhaa'ii:

namaste!

merii koShiSh ne aapke dil ko chhuaa.. baRaa sukooN milaa! aise hi saath dete raheN aage bhee!

KhuSh raheN... apnaa Khayaal rakheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval
Logged
DhavalRami
Guest
«Reply #7 on: August 17, 2009, 05:10:05 AM »
Behtreen Bahut Hi Umda
Aur Dard Se Bhari Ghazal Hai
Dhaval Sahab Daad Kabul Karen


Majid bhaa'ii:

salaam!

kaise hain aap?

itani izzat afzA'ii ke liye maiN apaka ShuKraGuzaar huuN! aapki daad  sar'aaNkhoN par huZoor!

yuuNhi saath dete raheN! KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval
Logged
DhavalRami
Guest
«Reply #8 on: August 17, 2009, 05:15:26 AM »
Applause Applause Applause Applause

bahot khoob likha hai aapne Dhawal dear

ye lafz kaash har insaan ki zindagi me alag hota hai

lafz kaash asha aur nirasha dono rakhta hai

asha ko dekhen to Khuda pa jayen hum
nirasha ko pakden to insa barbaad hota hai

lafz kaash har insaan ki zindagi me alag mayne rakhta hai

insaan ne kya khoya-paya aur kya pana chahta hai
ye uske kaash lafz ki paribhasha se pata chalta hai

lafz kaash har insaan ki zindagi ka alag hota hai
lafz kaash asha aur nirasha dono hi rang rakhta hai'





KaaSh jee:

namaste!

aapko merii Ghazal pasaNd aayiiN jaan K baRii hi KhuShii hu'ii! aur aapne bhee bahot Khuub liKhaa haii..! daad qabUl keejiye!

KhuSh raheN.. apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval
Logged
DhavalRami
Guest
«Reply #9 on: August 17, 2009, 05:20:17 AM »
KYA BAAT HAI DHAVAL JI........

cara jee Aadaab!

Ghazal ki pazeerA'ii ke liye bahot bahot ShuKriyaah


KAASH DUNIYA MEIN YE KAASH NA HOTAA,
TOH JEENE KA MAAZA KHAAS NA HOTAA.

jee haaN bilkul saHeeH farmaayaa haii aapne !!

GAR NIBHAATE MUJHSEY RISHTA WAFFA KA,
BE-WAFFAYI KYA HOTI HAI,KAISEY PATA HOTAA.

TUJH SITAMGAR SE SHIKWAA NAHIN DIL KO,
GUM KE SAATH, KHUSHI BHI TOH DI HAI DIL KO.

Khuub!!

DIL MEIN APNE HUM TUJH KO NA BASAATE,
HAR HAAL MEIN ZINDAGI,KAISEY JEE PAATE.

umdaah Khayaal!

TERI RUKSAT PE GUM ITNA NA HOTA,
GAR TU "DHAVAL" KO JEENE KA RAAZ NA DETA.

waah !!

Cara jee:

aapne bahot hi umdaah ehsaaSoN ko joRaa hai  aap yahaaN aayeN aur koShiSh kii raunaq baRhaa'ii ShuKriyaah! yuuNhi paRhte raheN!

KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval
Logged
Jiya
Guest
«Reply #10 on: August 17, 2009, 04:47:24 PM »
very nice dhaval ji,,, bohot achha  likha hai,,,,:)


na hota agar ye kaash!! is jahaan mein,
to kisi ko yahaan koi chah hi nahin hoti,
na hota kisi ko paane ka deewanapan yahaan,
na koi mazil aur na hi koi raha hoti......

............................... Jiya ...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: August 17, 2009, 05:33:07 PM »
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
wah wah wah kay abaat hai Dhaval ji,... ek ek line kaya kamal ki likhi hai apne , bahoot khoob!!

Kaash ji hamesha ki tarah bahoot achi lines, good work..

cara ji apke to hum fan hote j arahe hai jis tarah se app her ek ka sath dekar likhati hai... apne app main kamaal hai.... GOOD WORK!!
Logged
DhavalRami
Guest
«Reply #12 on: August 18, 2009, 04:37:33 PM »
bahut bahut bahut hi khuuuuub Dhaval ji  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aapne khub saath diya cara ji Applause Applause Applause
niKhaar jee:

Aadaab!

aapne Ghazal ko pasaNd kiyaa maiN aapka maShqoor huuN ! saath dete raheN yuuNhi! .. KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ dhaval
Logged
DhavalRami
Guest
«Reply #13 on: August 26, 2009, 04:56:29 PM »

bhut khoob dhaval ji ek mukammal ghazal daad hazir hai janaab

aainaa jee:

namaste!

Ghazal ki pazeerA'ii ke liye baho bahot ShuKriyaaH!

saath dete raheN aage bhee!

KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #14 on: November 20, 2009, 05:44:06 PM »
Bahut umda likha hai aap ne Dhaval Ji
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 07:10:12 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.191 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer