ghazal

by roomaharis on October 26, 2004, 11:51:34 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 4084 times)
roomaharis
Guest
:cry: Andheri raat me kahin roshni bhi mil jaye gi
Dhundho ge to tum ko zindagi bhi mil jaye gi

Chalte raho raaste me hamsafr koi ban jaye ga
Irada pukhta rakho ge to Manzil bhi mil jaye gi

Jina dubhar ho raha hai nafrat ke is daur me
Khojne pe shayad kahin chahat bhi mil jaye gi

Zeest ke tapte sehra me chalna hai akeley tujhe
Maut ki chhawon aayi rahat bhi mil jaye gi

Zindagi ko yun raigan na karo HARIS
Misl-e-barf hai yeh bhi pighal jaye gi :cry:
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
GHAZAL-E-JUDAI by Amit Janglan in Ghazals
Ghazal by rahul soul in Ghazals
ghazal by khalidrawat in Ghazals
Ghazal.....GHazal..........Ghazal by Ghulam Haider in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
roomaharis
Guest
«Reply #1 on: October 26, 2004, 12:00:21 PM »
:cry: Jab Tum Hamaray Dil ke Dard ko Na Samajh Sakay

Tumharay Samney Phir Hum Dukh ka Izhar Kiya Kartay

Aankhoon Main Aansoon ki Baraf Se Jamm Gayeh

Phir Aungliyoon Per Hum Apnay Dukh ka Shumaar Kiya Kartay

Har shakhs Ne Jin ko Nafrat he Di Har Pal

Bhala Batow Woh Log khudi Sey Pyar Kiya Kartay

Har Qarz he Jab Apni Jaan Per Boojh Hova thehra

Tu Rakh k Kisi Ki Yadoon Ka Audhaar Kiya Karty

Bhawanar je likh diyah ho Jan Ney Jin ki Kismat Main

Wo log Phir auter ke Pyar kiya Kartay

Jin k Dukhoon Main Dil ka Sukoon he Punhaan Tahrah

Nikal Kar Pair Apnay Dil Sey un ka Khair Kiya Kartay

Jab Yaadain Teri Meray Dil Ki Makeen Ho Gayen

Suno....Jana Phir in Sey Hum Farar kiya Kartay

TuM uss Din he aankhon main bas gayeii

Hum is Sey Barh Kar Khudi ko Teray Liye Bey-Qaraar Kiya Kartay

Jan Tum Kisi Aur Manzil k Musafir he Thehraay

Tu Raah Main Ruk Kar Hum Tera Intazar Kiya Kartay

Hum Tu Fareeb Dey Kar Khushi Main kho Gayeh

Hum Apney Dil ki Khushi Sey Bay Raaz Kiya Kartay

Sir Per Ghamooon ki Dhoop Hai Bohat Kari

Aur khudi ko Phir la kar hum Saya Deewar kiya Kartay

Jis Main Khasara he Hum Muqqadar ho Tahrah

Tu Janna...! Aasa Ghatay ka Karobar Hum kiya Kartay

Wo Dost jo Hum ko Chhor Gaye Hain Sar-e-Raah

in ko Zamaney Ki Bheerh Main Pukaar Kar Kiya Kartay HARIS....... :cry:
Logged
roomaharis
Guest
«Reply #2 on: October 26, 2004, 12:04:57 PM »
:cry: saal beetey, dil se mere ja na paye tum
sham ki tanhai mein phir yad aaye tum



Har subah paya tumhein khayalon mein apne pas
Raton ko khwabon mein mere muskaraye tum

Lagate ho mere apne jab tum jabase ho dur
Na jane kyon lagate the pahle kuch paraye tum


pyar ham se behisab tha tumhein phir bhi
jane kyon ham se rahey nazarein churaye tum


jab talak tum sath the shikway bhi sath the
kuch nahin ho ab mohabbat ke siwai tum

thak gaya hun zindagi ki rah mein "sad_ _"
kash mil jate kahin nazrein bichhaye tum. :cry:
Logged
roomaharis
Guest
«Reply #3 on: October 26, 2004, 12:07:15 PM »
:cry: Suchta hoon kay usay neend bhi aatee ho gee
Ya meri tarhan faqat ashq baha tee hoo gee

woh meri shakl mera nam bhulanay wali
Apni tasver say kia ankh milatee ho gee

Is zameen per bhi hay sailab meray ashkon say
Meray matam ki sada arsh hilatee hoo gee

Sham hutay hee woh chukhat pay jala kay shama
Apni palkon pay kaee khwab sulatee ho gee

Is nay silwa bhi lyeh hoon gay siyah rang libas
Abb muharam ki tarhan Eid manatee ho gee

Hotee ho gee meray bosay ki talab main pagal
Jab bhee zulfon main koi phool sajatee ho gee

Meri tareek zamanoo say nikalnay wali
Roshni tujh ko meri yad dilatee ho gee

Dil ki masom ragain khud hi sulagtee hoon gee
Jonhee tasweer ka kona woh jalatee ho gee :cry:  



[/img]
Logged
roomaharis
Guest
«Reply #4 on: October 26, 2004, 12:09:34 PM »
:cry: mera aaNsoo meray Gham ka madawa ho ga

ek tabassum meray hooNTooN ka dikhawa ho ga

janta hooN tera milna kabhi ho ga to nahiN
tera wada magar jeenay ka bahlawa ho ga

tere khatir bichata hooN meiN kaGhaz pay huroof

gar suna dooN kisi mahfil meiN to wah wah hoga :cry:
Logged
roomaharis
Guest
«Reply #5 on: October 26, 2004, 12:12:36 PM »
:cry: Jabh zindagi sajti hei toe dulhan si lagti hei

Jabh yeh rang badalti hei toe ek bewa si lagti hei

Yeh beraham toe kisi se bhi vafa nahi karti hei

Phir bhi kyon sabko yeh mehbooba si lagti hei :cry:
Logged
roomaharis
Guest
«Reply #6 on: October 26, 2004, 12:16:16 PM »
:cry: Aati nahi.n hai raas shahr-e-tarab kee fiza
Qismat kee siyah loah per harf-e-dard hai likha

Bhool gaya tha qismat kee rasoom o qyood
Nadaani mai.n khushi ka sapna saja lya

Pulkoo.n per saja hujoom-e-jugnoo ka mela
Ek ummeed ka safeena tha woh bhi doob gaya

Har pal mar mar kay thak gaya hoo.n ~HARIS~
Hojaye ab meri rooh ko izn-e-azaadi ata :cry:
Logged
roomaharis
Guest
«Reply #7 on: October 26, 2004, 12:24:15 PM »
:cry: Simta sa , sharmaya sa koi lamha lagti thi
Gehri Gehri aankhon wali, koi barkha lagti thi

Mein jo chup chup sa hota, mujh ko manaya kerti thi
khwabon mein aati thi, merey seeney sey aa lagti thi

Waqt-e-rukhsat kya mein kahon us ki aankhon ka manzar
Chupkey chupkey behney wali koi nadya lagti thi

Us ki soorat kya mein bataon khud hi tasawwur ker lo tum
Chanda mein ger daagh na hotey to wo chanda lagti thi

Wo aysi hi Thi jaisi shayar ki muhabbat hoti hai
Meri ghazal, mera misra, mera naghma lagti thi  :cry:
Logged
roomaharis
Guest
«Reply #8 on: October 26, 2004, 12:34:34 PM »
:cry: Ai Tosha ja ke kehna mere dildaar ko
Aankhen taras gayee hain tere deedar ko

Tujh se bichhaR ke goya khud se bichhaR gaya
Takta rehta hun mein yun ab dar-o-deewar ko

Teri furqat mein kahin jeewan na haar de
Ek baar aa ke mil jao apne aashiq-e-zaar ko

Jo chaho to bhi kum na pao ge kabhie
Apne liye mere dil me pyaar ko

HARIS agar jeewun to jeewun kahan pe me
Le ke apne as dil taar taar ko :cry:
Logged
roomaharis
Guest
«Reply #9 on: October 26, 2004, 12:36:53 PM »
:cry: Meri hayat-e-rawan ko tamam kar dala
hawa ke aik hi jhaunke ne kaam kar dala

men chal raha tha umangon ke walwale le kar
kisi ki yaad ne jeena haram kar dala

Azeem kaam the mere jawansali mein
mayan-e-rah mein qissa tamam kar dala

chalan ke khas zawabit the umre rafta men
shajar se toot para be-lagam kar dala

dabow diya tha ghamon mein dil-e-shikasta ko
kabhi jo khas tha us dil ko aam kara dala :cry:
Logged
roomaharis
Guest
«Reply #10 on: October 26, 2004, 12:38:46 PM »
:cry: Jin ko milna na ho...
Wo kyun jeevan raste main aate hain..
Dil ko tarpaate hain..
Ankhon main bas jaate hain..
Jin ko milna na ho …
Wo kyun jeevan main pal pal yaad aate hain...
Rooh main utarte hain..
Tasavvur main poochte hain..
Hum yaad aate hain?
Haan! Tum yaad aate ha….. :cry:
Logged
roomaharis
Guest
«Reply #11 on: October 26, 2004, 12:45:43 PM »
:cry: So sal bhi ab bahar aa-ey yeh dil udas rehay ga
Chand nik-lay yah chup ja-ey yeh dil udas rehay ga

Her mor per main muntazer raha us ka
Ab ager woh lot bhi aa ey yeh dil udas rehay ga

Keh nay ko yeh na mumkin si baat hay
Who mujh pay jan luta-ey yeh dil udas rehay ga

Zulm sa-hay meri rah say her aik dewar dha-ey
Khood meri rahon main bich ja-ey yeh dil udas rehay ga

Meri sari suchchai ko jhoot samajh ker thuk-ra-nay walay
Ab sha-yed tujhay yaqeen aa-ey yeh dil udas rehay ga

Khood ko meri tuqdeer to na mana to nay
Ab to mera muqader bhi bun ja-ey yeh dil udas rehay ga

Yeh teh-reer kay-see hay HARIS
Jo pur-hay who muskora-ey yeh dil udas rehay ga :cry:
Logged
roomaharis
Guest
«Reply #12 on: October 26, 2004, 12:48:04 PM »
:cry: Tum hanse ho mere choote se ghiraunde pe magar
Ye ghiraunda tere mahlon se bhi ooncha hoga

Waqt darkaar hai her cheez badal jaati hai
Aaj hum roye hain kal tumko bhi rona hoga

Ye muqaddar bhi kahan la ke khara kerta hai
Mere qatil pe mujhe jaan bhi dena hoga

Ek ana thi jise lahron se bachaane ke liye
Kya pata tha keh mujhe khud ko dubona hoga

Hum palangon pe unhen aaj bure lagte hain
Aankh to band karo khaak bichona hoga :cry:
Logged
roomaharis
Guest
«Reply #13 on: October 26, 2004, 12:53:28 PM »
:cry: Mayra name haris hay.......Main I.COM ka student hoon.....or boohat acha shair bhi hoon yah main nahin kahta poetry.com walay kahtay hain jahain say mujhay 1000$ ka prize bhi mill chukha hay.......main ap logoon ko acha collection day sakhoon ga ap loog mayra collection padhna or phir batana kaysa laga...........main bilkul sadness wali poetry likhta hoon kyoon kay kudh bhi sad hoon ok :cry:

ab to mulakate hote rahay gyee.......... :wink:
Logged
roomaharis
Guest
«Reply #14 on: October 27, 2004, 07:38:37 AM »
:cry: Meri hayat-e-rawan ko tamam kar dala
hawa ke aik hi jhaunke ne kaam kar dala

men chal raha tha umangon ke walwale le kar
kisi ki yaad ne jeena haram kar dala

Azeem kaam the mere jawansali mein
mayan-e-rah mein qissa tamam kar dala

chalan ke khas zawabit the umre rafta men
shajar se toot para be-lagam kar dala

dabow diya tha ghamon mein dil-e-shikasta ko
kabhi jo khas tha us dil ko aam kara dala :cry:
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 01:08:14 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer