Gunahon ki Muurti (Shikha)

by Shikha12 on April 13, 2006, 07:23:36 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 2024 times)
Shikha12
Guest
«Reply #15 on: June 01, 2006, 03:49:13 AM »
Shukriya Ranju....Tum bhi kuch likho naa....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ek Khayaal...... (Shikha) by Shikha12 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 5 6 »
Maseeha (Shikha) by Shikha12 in Shayri-E-Dard
Is This Love??? (Shikha) by Shikha12 in English
<~Tum..~> (Shikha) by Shikha12 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
hai asar gunahon ka by sahreyaarahmad in Shairi - E - Zindagi
badnaam_shayar
Guest
«Reply #16 on: June 01, 2006, 12:31:48 PM »
Kar sako toh pyar jee bharke mujhse karna.....
Karna mujhse kuch baatein aisi or mujhpar aitbaar karna.....

De dena apna harr Dard iss Shaks ko.....
Aur meri Chand khushion apna maan kar unpar Raaz karna......

Mujhse bas kuch iss kadar Pyar karna.....
Iss rehnuma ko apne Dil me basa ke iss Shayar par ek ehsaan karna...!!!!!!!!
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #17 on: June 02, 2006, 06:31:53 PM »
Quote from: badnaam_shayar
Kar sako toh pyar jee bharke mujhse karna.....
Karna mujhse kuch baatein aisi or mujhpar aitbaar karna.....

De dena apna harr Dard iss Shaks ko.....
Aur meri Chand khushion apna maan kar unpar Raaz karna......

Mujhse bas kuch iss kadar Pyar karna.....
Iss rehnuma ko apne Dil me basa ke iss Shayar par ek ehsaan karna...!!!!!!!!

Tooo Goood Gaurav.....

Jab Kabhi socha kareeb aane ko tere,
Jab Kabhi khoye tere khayaalon mein,
Apne dil se khoob lade bhi hum..
Apne hi dil se naaraaz rehne lage...

Jab kabhi sochi teri woh pyari baatein,
Tera pyar jatlana aur dena dilaase,
Apney dil to tattola ghanto takk..
Aksar hi palkon ko bhigone lage...

Jab kabhi humein yaad aayi woh surat,
Aur woh teri aankhon ki kashish,
Tera hi aks ubhar kar aaya hardam,
Yaadon ko jab bhi sajone lage...
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #18 on: June 02, 2006, 07:14:51 PM »
Quote from: "nidhi_yadein"
Gr8 shikha,dard hi dard,and very nice phoenix n gaurav also.

Bahut bahut shukriya Nidhi.....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #19 on: June 02, 2006, 09:31:18 PM »
Bohat khoob Shikha & BS...
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #20 on: June 03, 2006, 01:55:25 PM »
Quote from: "Aryaan"
Bohat khoob Shikha & BS...

Thanks a lot...Aryan ji...
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #21 on: June 03, 2006, 04:09:59 PM »
Quote from: "Shikha12"
Quote from: "badnaam_shayar"
Kar sako toh pyar jee bharke mujhse karna.....
Karna mujhse kuch baatein aisi or mujhpar aitbaar karna.....

De dena apna harr Dard iss Shaks ko.....
Aur meri Chand khushion apna maan kar unpar Raaz karna......

Mujhse bas kuch iss kadar Pyar karna.....
Iss rehnuma ko apne Dil me basa ke iss Shayar par ek ehsaan karna...!!!!!!!!

Tooo Goood Gaurav.....

jab bhi socha kareeb aaney ko terey,
jab bhi khoye hum terey khayalon main,
is dil  sey khoob ladey  hum,
is dil sey naaraz honey lagey...

jab bhi sochi teri woh pyari baatein,
woh tera pyar jatlana mujhey dena dilasey,
apney dil to tatolney lagey hum,
palkon ko hum bhigoney lagey...

jab bhi humey yaad aayi woh surat,
aur woh teri aankhon ki kashish,
tera hi tasavuur nazar aaya humey,
jab bhi hum soney lagey....

wah Marvaolus.......Shikha

Aane do khud ko kareeb na roke apni Saansein......
Na bano ek Udaas kahani likh do ek khushion ki dastaan.......

Matt daro iss jahan se raho sab se tum bekhabar.......
Jo na lage mann paraye desh toh chali aao mere sheher......

Door karke tanhai teri hum lab tere choom lenge......
Karenge madhoshi ka alam Mahobbat me jhoom lenge........!!!!!!!!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #22 on: June 03, 2006, 04:10:54 PM »
Quote from: "Aryaan"
Bohat khoob Shikha & BS...

Thnx a lot Aryan
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #23 on: June 07, 2006, 04:56:20 AM »
Quote from: badnaam_shayar
wah Marvaolus.......Shikha

Aane do khud ko kareeb na roke apni Saansein......
Na bano ek Udaas kahani likh do ek khushion ki dastaan.......

Matt daro iss jahan se raho sab se tum bekhabar.......
Jo na lage mann paraye desh toh chali aao mere sheher......

Door karke tanhai teri hum lab tere choom lenge......
Karenge madhoshi ka alam Mahobbat me jhoom lenge........!!!!!!!!!!

Nice Reply Gaurav...

Kaisey kahe tumhe hum yeh dastaan apni,
Nahin tum samajh naa paaoge yeh dastaan apni...

Humare kadmon sey lipat rakhey hai jo bhawar,
Kaisey chudha le unse ab hum yeh jaan apni...

Muhabbat ki baatein bhi toh humse ki nahi jaati,
Khud hi sil chuke hai shayad hum zubaan apni...

Yahan khushion ki chah karoge toh gum hi milenge,
Ashqon se sajaayi hai zindagi ki yeh dukaan apni...[/color]
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #24 on: June 07, 2006, 05:37:16 AM »
Bahut Acha Likha hai Sabne...Ek Koshish hamari Taraf shikha jee ko nazar kartein hain

Kabil-e-tareef ko kya pataa kya pehchaan hai uski
Qadar daan ko itilaah hai kimat-e-dukaan uski..

Dard se to aaur Surkh ho Jaatein kalam karne waale
Andaaz humnavaa, Naksh kisii ke, aaur Pehchaan kiski..

Dey jaatein hain tufaaan ek naya paimana zindagi ka
Housla buland jiska, aarzuein bhi karti hai bandagi uski..

Yun to bahut mil jaayenge diljaley tujhe bhari mahfil mein
Dekhna to yeh hai ki wafaa tum jafaon mein paougi kiski..

Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Hamare guncha-e-dil se..
Kal Kya Pata khushboo hamari mehfil mein saj jayegi kiski..

Kalamm ka kya hai chal padtii hai yunhi kore kagaz parr
Na kehte hue bhi keh jaati hai ye baat apne ishQ kii..

Zindagi to kuch bhi nahin hai siwaye rah-e-kaanton ke
Aaur sunta koun hai Zamane mein Karaahat kisiki..

~! Nirbhay !~
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #25 on: June 07, 2006, 09:30:38 AM »
Quote from: nirbhay

Shukriya Nirbhay...
Very nice work...Just Marvellous...I have read each line several times....this is just beautiful...

Marusthal sa jeevan mera, Raigistan sa lagta hai mann,
Ek band darwaza hai yahan,
Baaki sub kuch khandar hai....

Baar baar yeh kehti hoon, khud mein hi main rehti hoon,
Aankhon main kuch sapney hain,
Lekin dil to apna banjar hai....

Darti hoon main raaton se, Sabhi ki meethi baaton se,
Baaton mein sabki teer chupe hai,
Aur hathon mein khajar hai....

Muhabbat ki basti ko, Har Roz ujadtey dekhti hoon,
Kaise hoslaa kare koi yahan par,
Dil ko dehlata harr manjar hai....
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #26 on: June 07, 2006, 09:42:08 AM »
Shikha, Gaurav, Neer, Nitesh

Mashallah kya dard se bharpoor kalaam likhe hain aap sab ne !

Shikha------->Brilliant =D>

Keep going  :arrow:
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #27 on: June 07, 2006, 09:44:03 AM »
Thanx Rajbir....
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #28 on: June 07, 2006, 09:56:57 AM »
Shukriya Shikha...Shukriya hai Rajbir Jee...

Aapki khataa ke alankar aache lagte hain..

============================

Do bhavna.oun se mil kar ek Tamana dil mein jagti hai
Aansu gar aankh se girrein, to bhi shiddat jagti hai

Aarzurein kuch khatam se hoo jaatii hain,
Zindagi mein armano ki jabb kabr bhi banti hai..

Kuch Arsaa aaisa beet ta hai ki sabb ujadd sa
Harr koi ghibaat, haar kisii mein farebi dikhti hai

Fhir kuch aapno ke sahare se sambhalti hai zindagi
Kya karein ? Chalne se hii to chalti hai ye zindagi

Kuch armano ko tum kuredo, jinda dilii hath liye
Kya pataa kismat koi raah de de tumhein fanaa ho jaane ke liye..
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #29 on: June 07, 2006, 10:38:19 AM »

Shukriya Nirbhay... Bahut khoob likha hai aapney...

Aankh se jo bahe aansu toh, Yeh duniya badnaam karegi..
Nakaami aur Zillat ko yeh, Phir sey hamare naam karegi...

Haath badhaaya humne kabhi jo, Is ka sahara paaney ko,
Huss kar sare-bazaar mein, Yeh izaat bhi nilaam karegi...

Haathon se chehra chupa ke, Chup baithe hai mehfil mein,
Koi jo aa kar baat karega, Phir jeene ki umeed jagegi...

Sach hai yeh ki chalney se hi, toh chalti hai yeh zindagaani,
Lekin hum ko darr hai bus ye, Hum par hi koi chaal chalegi....

....
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 08:23:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.183 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer