Gunahon ki Muurti (Shikha)

by Shikha12 on April 13, 2006, 07:23:36 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 2028 times)
Shikha12
Guest
Mere pairon main janjeeren hai, hathon main hathkadiyaa,
main band padi hu, Gunahon ki muurti si,
is andhere tanha kamrey mey....

Siskiyaa hai, aansoo hai, dard hai yahan,
bhag nahin sakti hu, Gunahon ki muurti si,
is andhere tanha kamrey mey...

Bechean mun, bhara hua uljhano sey,
suljha nahin sakti jinhey, Gunahon ki muurti si,
is andhere tanha kamrey mey...

Yaad kartey hue, woh ehsaas, jajbaat, wo pyar,
aankh pathar ho gayi meri, Gunahon ki muurti si,
is andhere tanha kamrey mey...

Woh toot kar chahna tujhey, woh jo tha mera gunaah,
Rok nahin sakti jisey main, Gunahon ki muurti si,
is andhere tanha kamrey mey...........
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ek Khayaal...... (Shikha) by Shikha12 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 5 6 »
Maseeha (Shikha) by Shikha12 in Shayri-E-Dard
Is This Love??? (Shikha) by Shikha12 in English
<~Tum..~> (Shikha) by Shikha12 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
hai asar gunahon ka by sahreyaarahmad in Shairi - E - Zindagi
Shikha12
Guest
«Reply #1 on: May 26, 2006, 05:41:51 PM »
phir wohi band kamra hai,
phir wohi wehshipan hai,
phir wohi khamoshi hai,
phir meri tanhai hai...

humney jo ro ro kar gujari,
phir raat woh kaali aayi hai....
phir sey hai woh geron ka,
mere hath main parchaii hai....

phir sey uski woh sab baaten,
jis sey sharm sharmayi hai....
phir sey merey dil key tukdey,
phir aankh meri bhar aayi hai....

ab to de dey maut khuda tu,
kya yehi teri khudaaii hai...
sisak sisak key hi hai jeena,
kyu yeh saza mainey paayi hai....
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #2 on: May 27, 2006, 07:00:19 PM »
Bahut accha likha hai Shikha........Dard

Dard me tere humne ek Ashiana basar kia hai.......
Chalti saason ne meri kya tujhpar kabhi koi asar kia hai......

Rooh ke ghaav me bahut hain gehre......
Kafan auda do mujhe bhi thukra do sab sehre......

Marr jaane do mujhe bhi.....
Phir na puchna ki kya tumne kabhi kisi se Dil-O-Jaan se pyar kia hai......
Logged
phoenix
Guest
«Reply #3 on: May 27, 2006, 07:54:49 PM »
Quote from: "Shikha12"
Mere pairon main janjeeren hai, hathon main hathkadiyaa,
main band padi hu, Gunahon ki muurti si,
is andhere tanha kamrey mey....

Siskiyaa hai, aansoo hai, dard hai yahan,
bhag nahin sakti hu, Gunahon ki muurti si,
is andhere tanha kamrey mey...

Bechean mun, bhara hua uljhano sey,
suljha nahin sakti jinhey, Gunahon ki muurti si,
is andhere tanha kamrey mey...

Yaad kartey hue, woh ehsaas, jajbaat, wo pyar,
aankh pathar ho gayi meri, Gunahon ki muurti si,
is andhere tanha kamrey mey...

Woh toot kar chahna tujhey, woh jo tha mera gunaah,
Rok nahin sakti jisey main, Gunahon ki muurti si,
is andhere tanha kamrey mey...........


wah shikha vey nice


humne bhi pooja ki hai gunaho ki murtii ki
humein bhi mili thi kabhi ek haseena in rahoo par
hum bhi chale the in aanjaan dagar par

par dekh liya humne aaj anjaam e mohabbat
dekh liya ki kya rang lati hai kismat ki karvat
aaj humne dekh liya apni mazil ko
jab paaya us mandir mein kisi aur pujari ko
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #4 on: May 27, 2006, 08:18:08 PM »
hi shikha ji bahut khubsurat likha hai aap ne,aise hi likhte rahiyega
regards
take care
manu
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #5 on: May 28, 2006, 06:44:18 AM »
Gud one Nitesh
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #6 on: May 29, 2006, 11:54:01 AM »
Quote from: "badnaam_shayar"
Bahut accha likha hai Shikha........Dard

Dard me tere humne ek Ashiana basar kia hai.......
Chalti saason ne meri kya tujhpar kabhi koi asar kia hai......

Rooh ke ghaav me bahut hain gehre......
Kafan auda do mujhe bhi thukra do sab sehre......

Marr jaane do mujhe bhi.....
Phir na puchna ki kya tumne kabhi kisi se Dil-O-Jaan se pyar kia hai......


Very Nice Gaurav....

Is duniya key mele main, yeh dard hi to apna hai,
Pyar ko dekha, aur khushi bhi, lekin woh sab sapna hai...

Saansey teri reh reh kar, aati hai merey lab chunney,
insey main kyon dil behla luu, hothon ko nahi tapna hai...

ab naa dekho rooh key ghaav, ab naa dekho zakhmo ko,
terey dard sey dard mila key, naam tumhara ab japna hai...

baatein naa karo marney ki, darr lagta hai maut sey humko,
in raahon ki baat na karna, gar tu mera apna hai.....
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #7 on: May 29, 2006, 12:13:36 PM »
Quote from: "PHOENIX"
wah shikha vey nice


humne bhi pooja ki hai gunaho ki murtii ki
humein bhi mili thi kabhi ek haseena in rahoo par
hum bhi chale the in aanjaan dagar par

par dekh liya humne aaj anjaam e mohabbat
dekh liya ki kya rang lati hai kismat ki karvat
aaj humne dekh liya apni mazil ko
jab paaya us mandir mein kisi aur pujari ko


VERY NICE NITESH (PHOENIX)..

Tanha hi yeh rehti hai, na koi dekhey isey mud kar bhi,
reth sey bani hui, reth sey dhaki hui....
yeh murti hai, reth ki, na hil sakey jo khud sey bhi..
naa keh sakey yeh dil ki baat, khud hi sey uljhi hui.....

sab ney bas yeh soch liya, yeh pathar hai isey tod diya,
khela kabhi is key tukdon sey, kabhi isko tanha chod diya...
na karey shikayat kisi ki yeh, na muh kholti hai yeh,
yeh aankh ko bhi band karey, hawa sey bhi dari hui....

ab naa is sey kismat jodna, naa is ka dil ab todna,
yeh seh chuki jo guzar gaya, kahin keh uthey naa yeh haar key,
kisi sey ab mujhey bhi to, pyar tum kar leney do,
do ghadi ki khushi sahi, mujhko bhi jeeney to do,
kahin naa phir sey jee uthey, yeh kab sey hai mari hui.....
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #8 on: May 29, 2006, 12:26:02 PM »
Quote from: "manu1979"
hi shikha ji bahut khubsurat likha hai aap ne,aise hi likhte rahiyega
regards
take care
manu


Thanks a lot Manu...and Welcome to Yoindia...
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #9 on: May 30, 2006, 05:05:16 PM »
Gr8 shikha,dard hi dard,and very nice phoenix n gaurav also.
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #10 on: May 31, 2006, 04:12:30 AM »
Gud Job Shikha and Thnx Nidhi......tum likhti kuch

Yeh Ashqui nahi meri yeh Deewanapan hai......
Marne ke baad chahna tujhe kehti yeh Dunia pagalpan hai.....

Dard nahi mujhko khushi hai......
Ab bina darr kisi ke humari Mahobbat ka Alaam hai......!!!!!!!
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #11 on: May 31, 2006, 01:04:19 PM »
Quote from: badnaam_shayar
Gud Job Shikha and Thnx Nidhi......tum likhti kuch

Yeh Ashqui nahi meri yeh Deewanapan hai......
Marne ke baad chahna tujhe kehti yeh Dunia pagalpan hai.....

Dard nahi mujhko khushi hai......
Ab bina darr kisi ke humari Mahobbat ka Alaam hai......!!!!!!!

NICE ONE GAURAV....

Kaisa hai yeh deewanapan, Hai kaisi aashiqui teri,
Tum kyon nahi samajhtey, Main nahi zindagi teri...

Duniya hai.. Dushman hai lakh muhabbat ke yaha,
Khud zakhmon ki maari, kya samjhegi dardgi teri...

Dil lagaane ki baatein kya, bematlab ka aana jaana,
Muhabbat hai ya zidd hai ye, ya phir aawaargi teri...
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #12 on: May 31, 2006, 01:08:16 PM »
Quote from: "nidhi_yadein"
Gr8 shikha,dard hi dard,and very nice phoenix n gaurav also.


Thanks a lot Nidhi
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #13 on: May 31, 2006, 02:01:12 PM »
Quote from: "Shikha12"
Quote from: "badnaam_shayar"
Gud Job Shikha and Thnx Nidhi......tum likhti kuch

Yeh Ashqui nahi meri yeh Deewanapan hai......
Marne ke baad chahna tujhe kehti yeh Dunia pagalpan hai.....

Dard nahi mujhko khushi hai......
Ab bina darr kisi ke humari Mahobbat ka Alaam hai......!!!!!!!


NICE ONE GAURAV....

kyon hai yeh deewanapan, kyon hai is sey aashqui teri,
tum kyon nahi samajhtey, yeh murrtii nahi zindagi teri.....

Duniya hai, dushman hai lakhon muhabbat key ismey,
yeh hanstey hai jakhm dekar, kya samjhegey dardgi teri....

ab tum naa baat karna dil laganey ki is sey phir kabhi,
pathhar sey takra key toot naa jaye kahin khushi teri.....



Gud Reply.........Khubsurat Puzzled !
Logged
ranjana
Guest
«Reply #14 on: June 01, 2006, 03:31:54 AM »
Great work .........Gaurav and Shikha..............
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 11:36:51 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.09 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer