-----/// Hamaari kahaani fir adhoori reh gayi ///----- Hriday

by ~Hriday~ on May 07, 2015, 06:46:02 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1876 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW

aaj ki yeh shaam fir sindoori reh gayi
aur hamaari kahaani fir adhoori reh gayi.....

kuch yun karwat liyaa zindagi ne hamaare
sab kuch jaise tham saa gayaa ho ek pal mein
raaste alag ho gaye mere tumhaare achaanak
aur hamaare darmiyaan bas doori reh gayi
aur hamaari kahaani fir adhoori reh gayi.....

kuch sunna thaa tumhe shaayad jo hum keh nahi paaye
kuch kehnaa thaa shaayad tumhe jo tum keh nahi paaye
padh liyaa hum dono ne ek dusre ki aankhon ko
aur faasle badhaane ke liye majboori reh gayi
aur hamaari kahaani fir adhoori reh gayi.....

likhne baithaa jab main kahaani apni fir se puraani
ek mod par aake kisi ne chhed diyaa meri yaadon ko
chehraa aa gayaa fir tumhaaraa nazar ke saamne mere
aur dil mein sawaal aayaa ki kyun woh doori reh gayi
aur hamaari kahaani fir adhoori reh gayi......

aaj ki yeh shaam fir sindoori reh gayi
aur hamaari kahaani fir adhoori reh gayi....

*****HRIDAY*****

Logged
sbechain
Guest
«Reply #1 on: May 07, 2015, 08:10:38 PM »

 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

main ne bhi koshish bahut ki kahaani poori karne ki per, kabhi alfaaz naaraaz ho ke chale gaye ....kabhi pen ne saath naa diya....kabhi paper toofaan mein uuddh gaye ....kabhi chiraago.n ne andheraa kar diyaa....kabhi aakho.n ne unn yaado.n ko dhhundlaa kar diya.....kabhi khawaabo.n ne confuse kar diyaa....kabhi beete hue lamho.n ne aage badhne naa diya.....kabhi qadmo.n ne mera saath naa diya unn raaho.n per.aur pyaar ne majboori aisi jataayi ki busssss mat poocho mujhe ek shaayra banaa diyaa aur main aisi busy ho gayi ki phir chaah kar bhi tum tak laut naa saki mujhe muaf karnaaaa aur meri yaad mein aise hi likhte rahnaaaa Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard!
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012

View Profile
«Reply #2 on: May 07, 2015, 08:14:02 PM »
waah waah waah kyaa baat hai bahut khoob waahhhhhhhhhhhhhh!!!!!!!!!!!!
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Adhuri kahaani to phir bhi poori ho saktee hai, magar pori kahaani kaa kyaa ho saktaa. Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard
Logged
Ram Krishan Rastogi
Umda Shayar
*

Rau: 69
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
30 days, 21 hours and 9 minutes.

Posts: 4988
Member Since: Oct 2010

View Profile
«Reply #3 on: May 08, 2015, 04:18:12 AM »
shri hriday ji bhut hi sunder aapke hriday ke udgar hae .pesh hae : ye jindgi ki kahani adhuri rhegi
                jab tak ye jindgi chlti rhegi
               
                R.K.Rastogi
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011

View Profile
«Reply #4 on: May 08, 2015, 04:24:23 AM »
bahut khoob
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #5 on: May 08, 2015, 04:40:49 AM »
kya baaat hai bahoooot ache hriday jii
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #6 on: May 08, 2015, 04:45:35 AM »
kya baaat hai bahoooot ache hriday jii
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #7 on: May 08, 2015, 11:24:01 AM »
bahut hi pyara likha hai...sach hai khuch kahaniyan adhuri rehne k liye hi banti hai....bahut khoob hriday ji
Logged
vinery
Khususi Shayar
*****

Rau: 17
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
3 days, 17 hours and 17 minutes.
Posts: 1157
Member Since: May 2015

View Profile
«Reply #8 on: May 14, 2015, 12:29:31 AM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #9 on: May 16, 2015, 07:21:13 PM »
bahut bahut shukriyaaa Sheba ji.....!!!

Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

main ne bhi koshish bahut ki kahaani poori karne ki per, kabhi alfaaz naaraaz ho ke chale gaye ....kabhi pen ne saath naa diya....kabhi paper toofaan mein uuddh gaye ....kabhi chiraago.n ne andheraa kar diyaa....kabhi aakho.n ne unn yaado.n ko dhhundlaa kar diya.....kabhi khawaabo.n ne confuse kar diyaa....kabhi beete hue lamho.n ne aage badhne naa diya.....kabhi qadmo.n ne mera saath naa diya unn raaho.n per.aur pyaar ne majboori aisi jataayi ki busssss mat poocho mujhe ek shaayra banaa diyaa aur main aisi busy ho gayi ki phir chaah kar bhi tum tak laut naa saki mujhe muaf karnaaaa aur meri yaad mein aise hi likhte rahnaaaa Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard!
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #10 on: May 17, 2015, 10:04:10 AM »
bahut bahut shukriyaaa Surindar ji....!!!

waah waah waah kyaa baat hai bahut khoob waahhhhhhhhhhhhhh!!!!!!!!!!!!
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Adhuri kahaani to phir bhi poori ho saktee hai, magar pori kahaani kaa kyaa ho saktaa. Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #11 on: May 18, 2015, 08:21:05 PM »
bahut bahut shukriyaaa Rastogi ji....!!!

shri hriday ji bhut hi sunder aapke hriday ke udgar hae .pesh hae : ye jindgi ki kahani adhuri rhegi
                jab tak ye jindgi chlti rhegi
               
                R.K.Rastogi

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #12 on: May 19, 2015, 05:43:06 AM »
bahut bahut shukriyaaa Saini ji....!!!

bahut khoob
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #13 on: May 20, 2015, 08:16:16 PM »
bahut bahut shukriyaaa Rajan ji....!!!

kya baaat hai bahoooot ache hriday jii

kya baaat hai bahoooot ache hriday jii
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #14 on: May 20, 2015, 08:17:47 PM »

bahut hi pyara likha hai...sach hai khuch kahaniyan adhuri rehne k liye hi banti hai....bahut khoob hriday ji

bahut bahut shukriyaaa Pooja ji....!!!

hamaari mohabbat hi shaayad kuch kam rahi
jo unki aakhein hameshaa nam rahi
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 27, 2024, 01:39:13 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.159 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer