-Har Shaam Tera Intzaar Hota Hai-

by HumTum on January 09, 2009, 10:27:03 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1951 times)
HumTum
Guest

Aaj bhi har shaam tera intzaar hota hai
Din dhalte hi dil ajab beqraar hota hai

Bewafa ho, zalim ho, harjai ho ya qatil
Kucch bhi ho yaar magar yaar hota hai

Kucch iss ka haal apna hota hai aaj kal
Labon pe hasi hoti hai lekin dil rota hai

Meetha lagta hai pehle to, yeh ishq ka teer
Tis uthti hai jab  jigar ke paar hota hai

Yeh ishq hai ishq koi khel nai nadaano ka
Bacch jata hai woh, jo samjhdaar hota hai

Doob jati hai khishtiya bhi sahil pe aakar
Kab naseeb pe kissi ka ikhtiyar hota hai?

Kar uthta hai tab :Ghalib: bhi waah waah
Jab bhi kabhi :HumTum: Gazalsaar hota hai !!



HumTum   hello
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tera intzaar hai by Pooja in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 3 4 5 »
Tera Intzaar by anjali.sharma in Shayri for Dard -e- Judai
***Tera Intzaar*** by AVTAR RAYAT in Shayri for Dard -e- Judai
***Tera Intzaar*** by AVTAR RAYAT in Shayri-E-Dard
***Tera Intzaar Hai*** by AVTAR RAYAT in Share: Poetry of Pain
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: January 09, 2009, 10:45:30 AM »
Waah Waah,.
Kya Khoob Likha Hai, Hum Tum Bhai,.
Pardhkar Sachchi Mazaa Aa Gaya..
Yunhi Likhte Rehna,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: January 09, 2009, 10:56:47 AM »

Aaj bhi har shaam tera intzaar hota hai
Din dhalte hi dil ajab beqraar hota hai

Bewafa ho, zalim ho, harjai ho ya qatil
Kucch bhi ho yaar magar yaar hota hai

Kucch iss ka haal apna hota hai aaj kal
Labon pe hasi hoti hai lekin dil rota hai

Meetha lagta hai pehle to, yeh ishq ka teer
Tis uthti hai jab  jigar ke paar hota hai

Yeh ishq hai ishq koi khel nai nadaano ka
Bacch jata hai woh, jo samjhdaar hota hai

Doob jati hai khishtiya bhi sahil pe aakar
Kab naseeb pe kissi ka ikhtiyar hota hai?

Kar uthta hai tab :Ghalib: bhi waah waah
Jab bhi kabhi :HumTum: Gazalsaar hota hai !!



HumTum   hello

Sawar Jaati Hai, Zindagi Uski, Jisko Kisi Se Pyaar Hota Hai,.
Mohabbat Milgayi To Meharbaani, Khogayi, To Jeena Dushwaar Hota Hai,.

Bewafaa, To Dil Dukhaata Hai, Zaalim To Sitam Dhaata Hai,.
Yaar To Banta Hai Sahaara, Yaar To Phir Bhi Yaar Hota Hai,.

Dil Se Kaam Karne Waala To Aashiq, Ya Wafadaar Hota Hai,,.
Beshaq Deemaag Se Kaam Karne Waala To Samajhdaar Hota Hai,.

Jisne Kisi Se Dil Na Lagaaya, Usne Kabhi Lutf-e-Zindagi Na Uthaaya,.
Aisa Logon Ka Jeena To "Azeem, Ek Dum Bekaar Hota Hai,.

Zindagi Hi, Jab Nikalti Hai, Bewafaa Yahaan,.
Kaise Samajh Lein Ke Har Koi Wafadaar Hota Hai,.


___________________________________-Jaanasheen-


Logged
salma786
Guest
«Reply #3 on: January 09, 2009, 11:05:38 AM »
Wah Wah Humtum ji bahut acha likha hai Applause

Azeem ji apne bahut acha bayaa kiya hai Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: January 09, 2009, 11:49:42 AM »
Wah Wah Humtum ji bahut acha likha hai Applause

Azeem ji apne bahut acha bayaa kiya hai Applause

Shukriya Salma Madam Ji,.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #5 on: January 09, 2009, 01:13:30 PM »

Aaj bhi har shaam tera intzaar hota hai
Din dhalte hi dil ajab beqraar hota hai

Bewafa ho, zalim ho, harjai ho ya qatil
Kucch bhi ho yaar magar yaar hota hai

Kucch iss ka haal apna hota hai aaj kal
Labon pe hasi hoti hai lekin dil rota hai

Meetha lagta hai pehle to, yeh ishq ka teer
Tis uthti hai jab  jigar ke paar hota hai

Yeh ishq hai ishq koi khel nai nadaano ka
Bacch jata hai woh, jo samjhdaar hota hai

Doob jati hai khishtiya bhi sahil pe aakar
Kab naseeb pe kissi ka ikhtiyar hota hai?

Kar uthta hai tab :Ghalib: bhi waah waah
Jab bhi kabhi :HumTum: Gazalsaar hota hai !!



HumTum   hello
Nice one Hum Tum ji
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #6 on: January 09, 2009, 01:14:54 PM »
Sawar Jaati Hai, Zindagi Uski, Jisko Kisi Se Pyaar Hota Hai,.
Mohabbat Milgayi To Meharbaani, Khogayi, To Jeena Dushwaar Hota Hai,.

Bewafaa, To Dil Dukhaata Hai, Zaalim To Sitam Dhaata Hai,.
Yaar To Banta Hai Sahaara, Yaar To Phir Bhi Yaar Hota Hai,.

Dil Se Kaam Karne Waala To Aashiq, Ya Wafadaar Hota Hai,,.
Beshaq Deemaag Se Kaam Karne Waala To Samajhdaar Hota Hai,.

Jisne Kisi Se Dil Na Lagaaya, Usne Kabhi Lutf-e-Zindagi Na Uthaaya,.
Aisa Logon Ka Jeena To "Azeem, Ek Dum Bekaar Hota Hai,.

Zindagi Hi, Jab Nikalti Hai, Bewafaa Yahaan,.
Kaise Samajh Lein Ke Har Koi Wafadaar Hota Hai,.


___________________________________-Jaanasheen-



Yours is also Nice Chote Bhai
Logged
salma786
Guest
«Reply #7 on: January 09, 2009, 02:45:14 PM »
Ishq mohabbat ke bate,
Sun ne me sache lagte hai,
Par pyar k kasme wade,
Kisso me hi ache lagte hai!

Sawar jati hai zindegi,
Ishq k armaan se?
Mit jati hai hasti,
Is duniya ki pehchaan se!

Ye lagta to hai sahil,
Zindegi k lehro me,
Par dur khada hasta hai,
Jab zarurat ho toofano me!

Kya parwa hai kya ehsas,
Is Ishq k jazbo me,
Ye Ishq ki bate achi lagti hai,
Kitabo me or Sapno me!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: January 09, 2009, 02:46:23 PM »
Too Good Hum Tum..Excellent. Applause Applause Applause
Nice One Azeem Bro.. Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: January 09, 2009, 02:47:45 PM »
Ishq mohabbat ke bate,
Sun ne me sache lagte hai,
Par pyar k kasme wade,
Kisso me hi ache lagte hai!

Sawar jati hai zindegi,
Ishq k armaan se?
Mit jati hai hasti,
Is duniya ki pehchaan se!

Ye lagta to hai sahil,
Zindegi k lehro me,
Par dur khada hasta hai,
Jab zarurat ho toofano me!

Kya parwa hai kya ehsas,
Is Ishq k jazbo me,
Ye Ishq ki bate achi lagti hai,
Kitabo me or Sapno me!!


Bahut Khoob Salma.. Applause Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: January 09, 2009, 02:54:10 PM »
Shukriya Khwaish Bhai,.
And Rajesh Bhaiya Ji,.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #11 on: January 09, 2009, 02:56:44 PM »
Bohat bohat khoob Hum Tum and beautuful work by salma and azeem too kya mehfil sajayee hain aap sabnev Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
salma786
Guest
«Reply #12 on: January 09, 2009, 03:05:34 PM »
Shukriya khwahish Usual Smile


Ab umid hi kya rakhe hum,
Pathar dil insaan se,
Jo legaya sari Khushiya,
Mere dil k makaan se!

Zindegi k char pal,
Rehgaye the isi ehsas me,
Do pal legaye wo,
Do reh gaye the aas me!

Na shikayat ki humne,
Na kisise izhar kiya,
Humne kis dagabaaz se,
Zindegi bhar pyar kiya!

Zillat ki zindegi to di thi,
Jeena tha dushwar kiya,
Duniya me izzat ko hamari,
Usne tar tar kiya!

Chain se hume jeene na diya,
Maut se pehle maar diya,
Jab kabr me sukun se lete the,
Tab Ruh par hamare vaar kiya!

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: January 09, 2009, 03:09:16 PM »
Shukriya Sajid Bhaiya,.

And Nice One Salma Ji,.
Logged
salma786
Guest
«Reply #14 on: January 09, 2009, 03:17:50 PM »
Thanx azeem ji!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 23, 2024, 10:25:28 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer