HUM TO JAAN SE JAATE HAIN...........................

by Tanha(Saurabh) on October 04, 2008, 10:53:53 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2143 times)
Tanha(Saurabh)
Guest
HUM TO JAAN SE JAATE HAIN UNKI YAADON SE,
KYA HOGA AB, SARKAAR CHALE AAYE HAIN.

NIGAAHON MEIN RAHEGI CHAMAK BARSON TAK,
KARKE JO UNKA DEEDAR CHALE AAYE HAIN.

HUME KYA ILM KYA HAI TAREEKA-E-MAHFIL YAHAAN,
DEEWAANE HAIN, DEEWAANE-E-YAAR, CHALE AAYE HAIN.

EK TO MAIN AUR UNKE BULANE KA ASAR,
LUTNE KO SARE BAAZAR CHALE AAYE HAIN.

MUSHKIL HAI UNSE HAAL-E-DIL KAHNA, SOCHA HAI,
WO SABSE KARTE INKAAR CHALE AAYE HAIN.

AB TO BATON MEIN LOG MAZA LETE HAIN,
KAHTE HAIN ‘DEKHO YAAR CHALE AAYE HAIN’.

ZAROORI THA IS RAASTE PE THAHAR JAANA MUJHKO,
AUR HUM ‘TANHA’ TEZ RAFTAAR CHALE AAYE HAIN.

JAHAN RAHTI THI MERE YAAR KI PAHCHAN SABHI,
CHHOD KE WO GHAR-BAAR CHALE AAYE HAIN.

ABHI IS KHAAK KO WAADON NE BAANDH RAKHA HAI,
KAI TOOFAAN KARKE PAAR CHALE AAYE HAIN.

TUM APNE HAAL PAR KYUN HO HAIRAAN ITNE?
PARWAANE TO JALTE YAAR CHALE AAYE HAIN.

UNKO BHI AATA NAHI KARAR KUCHH BINA MERE,
BECHAINIYON MEIN WO BHI HAR BAAR CHALE AAYE HAIN.

-----TANHA(SAURABH)
Logged
k.shael
Guest
«Reply #1 on: October 04, 2008, 11:27:09 AM »
 Applause  Applause  Applause
BAHUT UMDA LIKHTE HAI AAP
TANHA JI...
KEEP GOING...
BY. K.SHAEL
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: October 04, 2008, 12:07:18 PM »
Bahut khoob saurabhji.. Applause Applause
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #3 on: October 04, 2008, 12:33:55 PM »
bohat bohat shukriya apka Khwaish ji..
 notworthy notworthy
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #4 on: October 04, 2008, 12:45:18 PM »
wah wah...tanha ji jitna bhi aapko padha aur jyaada padhne ki ichcha hoti hai......humesha aapko padhane me aanand aata hai...vishay pe aapki majboot pakad aur shbdon ka satik istemal ..aapko...bheed se alag khada kar deta hai...
dad kabool karen.... Applause Applause
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #5 on: October 04, 2008, 01:01:02 PM »
bohat bohat shukriya Shael ji, Bekarar ji aap sabhi logon ka.
aur Bekarar ji hausla afzaai ke liye tah-e-dil se bahot bahot shkriya apka.
 notworthy notworthy notworthy notworthy
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #6 on: October 04, 2008, 01:41:33 PM »
itni shorat bakshi tuje badnamiyo ne ghayel teri
tujse milne shehar ke badnam sare aaye hain

                                           -sg-

great work tanha
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #7 on: October 05, 2008, 07:06:00 AM »
bahut bahut shukriya Ghayel ji aapka.... notworthy notworthy


"Zindgi se jud gayi hai dil ke saath hui hai,
 kuchh shaamein guzar gayin jab wo baat hui hai" -Tanha


 notworthy
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: October 05, 2008, 07:53:37 AM »
Tanha(Saurabh) ji,
Khoobsoorat taameer-e-tasweer-e-alfaaz key liye badhaayee!
                            - abd bundeli
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #9 on: October 05, 2008, 05:40:45 PM »
HUM TO JAAN SE JAATE HAIN UNKI YAADON SE,
KYA HOGA AB, SARKAAR CHALE AAYE HAIN.

NIGAAHON MEIN RAHEGI CHAMAK BARSON TAK,
KARKE JO UNKA DEEDAR CHALE AAYE HAIN.

HUME KYA ILM KYA HAI TAREEKA-E-MAHFIL YAHAAN,
DEEWAANE HAIN, DEEWAANE-E-YAAR, CHALE AAYE HAIN.

EK TO MAIN AUR UNKE BULANE KA ASAR,
LUTNE KO SARE BAAZAR CHALE AAYE HAIN.

MUSHKIL HAI UNSE HAAL-E-DIL KAHNA, SOCHA HAI,
WO SABSE KARTE INKAAR CHALE AAYE HAIN.

AB TO BATON MEIN LOG MAZA LETE HAIN,
KAHTE HAIN ‘DEKHO YAAR CHALE AAYE HAIN’.

ZAROORI THA IS RAASTE PE THAHAR JAANA MUJHKO,
AUR HUM ‘TANHA’ TEZ RAFTAAR CHALE AAYE HAIN.

JAHAN RAHTI THI MERE YAAR KI PAHCHAN SABHI,
CHHOD KE WO GHAR-BAAR CHALE AAYE HAIN.

ABHI IS KHAAK KO WAADON NE BAANDH RAKHA HAI,
KAI TOOFAAN KARKE PAAR CHALE AAYE HAIN.

TUM APNE HAAL PAR KYUN HO HAIRAAN ITNE?
PARWAANE TO JALTE YAAR CHALE AAYE HAIN.

UNKO BHI AATA NAHI KARAR KUCHH BINA MERE,
BECHAINIYON MEIN WO BHI HAR BAAR CHALE AAYE HAIN.

-----TANHA(SAURABH)



Applause Applause Applause Applause

Bohat khoob likha hai saurabh ji kamaal ke lafz hain... Thumbs UP
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #10 on: October 06, 2008, 04:45:14 AM »
Tanha(Saurabh) ji,
Dil ko, alfaaz mein dhhalaa paayaa!
Yaar ney, kyaa hi khoob farmaayaa!!

                 - abd bundeli
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #11 on: October 06, 2008, 07:19:42 AM »
kya baat hain abd jee naraz ho kya humse 2 din se hamare har likhe ko aap ignore kar rahe hain khair aap bade hain aur humse hazar guna umda shayer aap jo chahe kar sakte hain
Logged
Talat
Guest
«Reply #12 on: October 06, 2008, 07:24:15 AM »
HUM TO JAAN SE JAATE HAIN UNKI YAADON SE,
KYA HOGA AB, SARKAAR CHALE AAYE HAIN.

NIGAAHON MEIN RAHEGI CHAMAK BARSON TAK,
KARKE JO UNKA DEEDAR CHALE AAYE HAIN.

HUME KYA ILM KYA HAI TAREEKA-E-MAHFIL YAHAAN,
DEEWAANE HAIN, DEEWAANE-E-YAAR, CHALE AAYE HAIN.

EK TO MAIN AUR UNKE BULANE KA ASAR,
LUTNE KO SARE BAAZAR CHALE AAYE HAIN.

MUSHKIL HAI UNSE HAAL-E-DIL KAHNA, SOCHA HAI,
WO SABSE KARTE INKAAR CHALE AAYE HAIN.

AB TO BATON MEIN LOG MAZA LETE HAIN,
KAHTE HAIN ‘DEKHO YAAR CHALE AAYE HAIN’.

ZAROORI THA IS RAASTE PE THAHAR JAANA MUJHKO,
AUR HUM ‘TANHA’ TEZ RAFTAAR CHALE AAYE HAIN.

JAHAN RAHTI THI MERE YAAR KI PAHCHAN SABHI,
CHHOD KE WO GHAR-BAAR CHALE AAYE HAIN.

ABHI IS KHAAK KO WAADON NE BAANDH RAKHA HAI,
KAI TOOFAAN KARKE PAAR CHALE AAYE HAIN.

TUM APNE HAAL PAR KYUN HO HAIRAAN ITNE?
PARWAANE TO JALTE YAAR CHALE AAYE HAIN.

UNKO BHI AATA NAHI KARAR KUCHH BINA MERE,
BECHAINIYON MEIN WO BHI HAR BAAR CHALE AAYE HAIN.

-----TANHA(SAURABH)


Bohot bohot bohot Khoob Saurabh Applause Applause Applause
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #13 on: October 06, 2008, 07:41:44 AM »
bohat bohat shukriya honeyrose ji, abdbundeli ji, sajid ji, Celmira ji aap sab ka.
 notworthy notworthy notworthy notworthy
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #14 on: October 06, 2008, 07:48:03 AM »
abd ji.....

"Saath chale ho mere kuchh pal to,iska gumaan zaroor hoga,
 raah par zindgi ki tumhaari, mere bhi kadam ka nishaan zaroor hoga." -Tanha

 notworthy
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 08:11:27 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.165 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer