INKI SADDAON SAY BACHNA

by Brijinder on December 19, 2006, 07:09:26 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 624 times)
Brijinder
Guest
INKI SADDAON SAY BACHNA


Yeh nafarat ki hawaaon pay palnay waalay
Ki mazhab jinkay hamesha khatray main haiN
Apnay khyaaloN ko pahnaai hai khud salaasil
Aur Dil quaid-tanha bahut kurakhat pehray main haiN

Ki jnooN nay jinkay pehna hai mazhab ka naqaab
Gunah-I-Qatl bhi jinko lagta hai swaab
Inki sadaayoN say bachna meray azeezo!

Yeh nanhay haathoN main baNdookayN day kar
Unkay zehanoN main zehar ki fasal bo daiN
Aur Yeh farda ki umeedaiN
Phir bun jaayaN imroz ka khauf

Apnay bemaar khwaaboN ko haqeeqat ka pa_irhun dainay kay liayay
Tw_asub ka zahar baant rahay haiN yeh is daur kay masihaa
Apni garmjoshi aur qumaqali kay sabub-
Yeh maazi kay sach ko bana daiN haazir ka faryub
Nafrat kay numaiNday haiN
Yeh mazaahib kay agwaai
Yeh shaitaan ki khufia fauj
Ghoom rahi hai har dil-o-zehan kay galiyaaroN main
Inki sadaaoN say bachna maray azeezo!

Chinaar-qud pyaam agwaa kar liyay
BonoN ki is jmaat nay
Kabhi hindu to kabhi muslmaN bun kar
Kabhi sikh to kabhi isaai ki shaql main
Is jmaat nay phaiNka hai
Tamaddun pay apna jaal
Aur khauf kay is kohray main har baar
KitnoN kay azeez la-pata ho gayay haiN
Inki sadaaoN say bachna maray azeezo!
Inki sadaaoN say bachna maray azeezo!
---------------------------------
Poet: Brijinder "Sagar"
Location: Auckland, New Zealand
_________________
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Inki SadaoN Say Bachna by Brijinder in Shairi - E - Zindagi
INKI SADDAON SAY BACHNA by Brijinder in Shayri-E-Dard
Inki SaddaoN say bachna by Brijinder in Shayri-E-Dard
Inki sadaaon say bachna by Brijinder in Shayri for Khumar -e- Ishq
BACHNA MUSHKIL HAI.......MKV by mkv in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Brijinder
Guest
hi
«Reply #1 on: December 21, 2006, 07:42:24 PM »
Most of my poetry is intentional.It is a result of my own restlessness in my heart n mind over all those issues.It is intentional in the sense that it brings with it the hope that it will start a new thinking,new new spark in the readers' mind and will not be just a poem-good or bad.
Hope my poems succeed in that.
Brijinder"Sagar'
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 06, 2024, 10:41:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer