Ishq aur Dard

by Aman Sarhadi on June 05, 2005, 06:43:52 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1575 times)
Aman Sarhadi
Guest
Bujhe dil se kabhi, dhuaa.n nahin milta,
Ishq dard ke saath milta hai, tanha nahin milta.
   
Siyaah raat mein, chaand ka woh jalna,     )
Roshni toh milti hai, magar savera nahin milta.

Muddato.n talak, uske deedaar ko tarasna,
khwaab milte hai.n aankho.n mein, woh aashna nahin milta,

Uske wajud ki talab, rehti hai hamesha,  
Nishaa.n milte hai.n, uska kaarva.n nahin milta,
     
Narak mein aur ishq mein fark nahin "Aman',  
Waha.n chai.n nahin milta, yaha.n aaraam nahin milta.

Bujhe dil se kabhi, dhuaa.n nahin milta,
Ishq dard ke saath milta hai,tanha nahin milta.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dard-e-ishq by dreamunlimited in Shayri-E-Dard
Ishq Ka Dard Hai Dard Hai Ishq Ka by muneeb in Shayri for Khumar -e- Ishq
DARD-E-ISHQ by salil2002 in Shayri-E-Dard
waheed_rose2004
Guest
«Reply #1 on: June 05, 2005, 10:16:57 AM »
wow  wonderfullllllll...  aman  bhai.....................bahot  khoob........
Logged
Aman Sarhadi
Guest
«Reply #2 on: June 05, 2005, 06:24:46 PM »
Quote from: "waheed_rose2004"
wow  wonderfullllllll...  aman  bhai.....................bahot  khoob........


Waheed bhai aap se hi seekha hai humne isi tarah hosla afzaayi keejiye aur hume sikhaate rahiye.
Logged
rohit30002
Guest
«Reply #3 on: June 26, 2005, 01:57:21 PM »
Quote from: "Aman Sarhadi"
Bujhe dil se kabhi, dhuaa.n nahin milta,
Ishq dard ke saath milta hai, tanha nahin milta.
   
Siyaah raat mein, chaand ka woh jalna,     )
Roshni toh milti hai, magar savera nahin milta.

Muddato.n talak, uske deedaar ko tarasna,
khwaab milte hai.n aankho.n mein, woh aashna nahin milta,

Uske wajud ki talab, rehti hai hamesha,  
Nishaa.n milte hai.n, uska kaarva.n nahin milta,
     
Narak mein aur ishq mein fark nahin "Aman',  
Waha.n chai.n nahin milta, yaha.n aaraam nahin milta.

Bujhe dil se kabhi, dhuaa.n nahin milta,
Ishq dard ke saath milta hai,tanha nahin milta.


Bahut badiya aman
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #4 on: June 26, 2005, 02:49:24 PM »
Very Nice Aman................................
Logged
amit_is_always_cool
Guest
«Reply #5 on: June 26, 2005, 02:51:08 PM »
wah bohut achai aman ji ......................nice one
Logged
nikki
Guest
«Reply #6 on: June 26, 2005, 02:53:11 PM »
Quote from: "Aman Sarhadi"
Bujhe dil se kabhi, dhuaa.n nahin milta,
Ishq dard ke saath milta hai, tanha nahin milta.
   
Siyaah raat mein, chaand ka woh jalna,     )
Roshni toh milti hai, magar savera nahin milta.

Muddato.n talak, uske deedaar ko tarasna,
khwaab milte hai.n aankho.n mein, woh aashna nahin milta,

Uske wajud ki talab, rehti hai hamesha,  
Nishaa.n milte hai.n, uska kaarva.n nahin milta,
     
Narak mein aur ishq mein fark nahin "Aman',  
Waha.n chai.n nahin milta, yaha.n aaraam nahin milta.

Bujhe dil se kabhi, dhuaa.n nahin milta,
Ishq dard ke saath milta hai,tanha nahin milta.


wonderfull.....bahut hi acha likha hai aapne
Logged
Aman Sarhadi
Guest
«Reply #7 on: June 26, 2005, 02:53:15 PM »
Thankis Rohith and Aryan...Aryan i have read a lot of your peotries and those are really amazing....m a bit busy so cannot post regularly but i do read your poems a lot..
Logged
amit_is_always_cool
Guest
«Reply #8 on: June 26, 2005, 02:55:08 PM »
Logged
Aman Sarhadi
Guest
«Reply #9 on: June 26, 2005, 02:55:40 PM »
Thanks Nikki and Amit................bas kabhi kabhi hamse yeh gustaakhi ho jaate hai...likh dete hai.n
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #10 on: June 26, 2005, 02:55:40 PM »
Quote from: "Aman Sarhadi"
Thankis Rohith and Aryan...Aryan i have read a lot of your peotries and those are really amazing....m a bit busy so cannot post regularly but i do read your poems a lot..

Thanks Aman.....  parhne ka waqt nikaal letey hain, yehi bohat hai....aap parhte aur likhte rahiye ga....Usual Smile
Logged
Aman Sarhadi
Guest
«Reply #11 on: June 26, 2005, 02:57:38 PM »
Sure ek aur likha hai arj hai...
  Woh.....

Woh khafaa hai.n ya ruswa,nahi.n jaante,
Aakhir unhe hua hai kya,nahi.n jaante.

Woh pal ke jisme,hum mile the ek duje se ,  
Ittefaaq tha ya haadsa,nahi.n jaante.
Aakhir unhe hua hai kya.....

Pehle toh aksar,yaad kiya karte the hume,
Kya aaj bhi karte hai.n yeh khataa,nahi.n jaante.
Aakhir unhe hua hai kya.....

Karte hai.n jatan laakh,ke jalte rahe ishq ke diye,
Kya bheji hai tune yeh Hawaa,nahi.n jaante.
Aakhir unhe hua hai kya.....

Sehra par likh kar tera naam,roshan ki,yeh zameen humne,
Kya tujhe bhi is baat hai pata,nahi.n jaante.
Aakhir unhe hua hai kya.....  

Hue hai.n aise gum,tere khayaalo.n mein zaalim,
kya raat kya hai subaah,nahi.n jaante.
Aakhir unhe hua hai kya.....

Ehsaas dila kar manzil ka,bhatka diya "Aman',
Kya yeh bhi hai uski ek adaa,nahi.n jaante.

Woh khafaa hai.n ya ruswa,nahi.n jaante,
Aakhir unhe hua hai kya,nahi.n jaante.

Aman Sarhadi
Logged
nikki
Guest
«Reply #12 on: June 26, 2005, 03:03:14 PM »
simply gr8..............too good Aman ji.......................
Logged
amit_is_always_cool
Guest
«Reply #13 on: June 26, 2005, 03:09:32 PM »
wah bohut achaa likha hai aman ji aap tho bohut achaa likhtai ho
Logged
rohit30002
Guest
«Reply #14 on: June 27, 2005, 10:55:13 AM »
Quote from: "Aman Sarhadi"
Thankis Rohith and Aryan...Aryan i have read a lot of your peotries and those are really amazing....m a bit busy so cannot post regularly but i do read your poems a lot..



Aman mujhe aapki shayari real mein bahut pasand aayi hai kyonkii wo hai hi bahut badiya
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 07:11:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.165 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer