jaana hi hoga

by salil2002 on January 17, 2009, 05:36:13 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2768 times)
salil2002
Guest
aakhiri safar hai mera ab mujhe jaana hi hoga
tanhaayi se nikal kar tanha ho jaana hi hoga
dekha maine har apne-paraaye ko
mujhe rishton se door jaana hi hoga

chhod aaya hoon main apne peechhe yaadon ko
meri yaadon ko phir se sajana hi hoga
bahut dekhe hai ashq teri aankhon main
mujhe yaad kar ke muskuraana hi hoga

kii dekho door talak faila hai andhera
ek sannaate kii kashish ko mehsoos karo
koi tod na de khamosiyaan viraano kii
tumhe sab ko chup karana hi hoga

mere baad bhi sajengi mehfilein
mere baad bhi jaam takraana tum sabhi
behak jaana tum mujhe yaad karke
mere liye do ghoont chhalkaana tum sabhi

ummra gujri hai har dard ko dabate huye
ab tujhe in zakhmo par malham lagana hi hoga
meri yeh aakhiri gujarish bhi padna
tumhe meri kabra par diya jalana bhi hoga
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
rooth na jaana by husain52 in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
jaana jaana by sammu1984 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Umar Kat Chuki Ab Humko Jaana Hoga.(N/M) by Yaash in Share: Poetry of Pain
Mujhe Dur Jaana Hoga by jazbaat in Share: Poetry of Pain
Jaana hoga...! by jazbaat in Share: Poetry of Pain
abdulqadeer
Guest
«Reply #1 on: January 17, 2009, 06:10:00 AM »
aakhiri safar hai mera ab mujhe jaana hi hoga
tanhaayi se nikal kar tanha ho jaana hi hoga
dekha maine har apne-paraaye ko
mujhe rishton se door jaana hi hoga

chhod aaya hoon main apne peechhe yaadon ko
meri yaadon ko phir se sajana hi hoga
bahut dekhe hai ashq teri aankhon main
mujhe yaad kar ke muskuraana hi hoga

kii dekho door talak faila hai andhera
ek sannaate kii kashish ko mehsoos karo
koi tod na de khamosiyaan viraano kii
tumhe sab ko chup karana hi hoga

mere baad bhi sajengi mehfilein
mere baad bhi jaam takraana tum sabhi
behak jaana tum mujhe yaad karke
mere liye do ghoont chhalkaana tum sabhi

ummra gujri hai har dard ko dabate huye
ab tujhe in zakhmo par malham lagana hi hoga
meri yeh aakhiri gujarish bhi padna
tumhe meri kabra par diya jalana bhi hoga

Subhan allah mere bhai kya likha maza agaya !!

Baatke khushiyan zamane ko !! mujhe gham uthana hi hoga !!
Anderoon ko door karna hai agar to koi charag jalana hi hoga !!
Abhi maujod hon is duniya me aa guftago karle !!
Agar agaya bolawa to mujhe laut kar jana hi hoga !!

Mai jub zinda tha to raaste ka pathar tha !!
Ab is pather ko tumhe dafnana hi hoga !!

Meri hayaath me tune hamesha raaston me chuda hai mujhe !!
Ab meri meri maiyaath ko kabra tak pahonchana hi hoga !!

Qadeer Toopchi
Logged
salil2002
Guest
«Reply #2 on: January 17, 2009, 06:20:36 AM »

thank u bhai and a nice reply

jaane wali hai maiyaat meri
ab kaandha dene kii baari tumhaari hai
phir laut jaana tum mujhe vida karke
abhi toh maiyaat bhi nahin utaari hai

koi keh raha hai shayad mujhe pyaar se dafnao
oose shayad tere chehre ki khamoshi nazar aayi
na mehsoos jar paaya koi mere chehre kii udaasi
jabse mujhko tere haathon apne kHoon kii -boo aayi
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #3 on: January 17, 2009, 06:27:49 AM »
Salil bro,,Abdul ji....bohat khoob..

Humen bhi zindagi se gila nahi
Koi aapne aab tak mila nahi
Aapse khushiyan mile toh zindagi mein khusbu hai
Warna mere zindagi ki koi aimiyat nahi..

_______Honeyrose________
Logged
salil2002
Guest
«Reply #4 on: January 17, 2009, 06:31:50 AM »
Salil bro,,Abdul ji....bohat khoob..

Humen bhi zindagi se gila nahi
Koi aapne aab tak mila nahi
Aapse khushiyan mile toh zindagi mein khusbu hai
Warna mere zindagi ki koi aimiyat nahi..

_______Honeyrose________

didi bahut hi pyaara likha hai

koi saath de do mera kucch door tak jaana hai
yehi paas main hi mere mehboob ka thikaana hai
mujhe yakeen hai kii mehfil main bhi woh akela hoga
yeh sazawat aur sangeet toh bahana hai.............
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #5 on: January 17, 2009, 06:36:39 AM »
didi bahut hi pyaara likha hai

koi saath de do mera kucch door tak jaana hai
yehi paas main hi mere mehboob ka thikaana hai
mujhe yakeen hai kii mehfil main bhi woh akela hoga
yeh sazawat aur sangeet toh bahana hai.............

Khoob bro...

Geele khagaz se lipti hue tanhai hai
Armano ke deep dil mein jalai hai
Roko na humen aaj ke
Aaj kisi ne humen bohat rulai hai

________Honeyrose________
Logged
salil2002
Guest
«Reply #6 on: January 17, 2009, 07:36:52 AM »
Khoob bro...

Geele khagaz se lipti hue tanhai hai
Armano ke deep dil mein jalai hai
Roko na humen aaj ke
Aaj kisi ne humen bohat rulai hai

________Honeyrose________

bahut achche di

roye bahut tujhe yaad karke
kii ab aur roya nahin jaata
jab khai yeh baat oonhone humse
bin muskuraaye humse bhi raha nahi jaata
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 04:46:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.203 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer