jab tak likhne ka hai dum!!!!

by Pooja on May 11, 2006, 07:10:32 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 2704 times)
Pooja
Guest
nafrat karu khud se, isse kaya naam du
apni hi kahani ko, bata  kaya anjaam du

agg laga du duniya ko ya khud ko jala du main
kaya hai tere dil mai Pooja,  aa aaj samjha du main

Duniya ki hai reet wahin, phir se dhoka khayegi
Such kahti hu maan ja, phir se puchtayegi

Nasoor bane dard ko, kab tak sahlayegi
Kuch bhi kar le, man ki peera khatam na ho payegi

Likhati rah ya band ankhon se ansoo barsaye ja
Kabhi gusse se, kabhi bebasi apni per, dil tadpaye ja

Kabhi khaomshi se aor kabhi cheekh pukar muchaye ja
Puchati rah her ek se, hazaaro sawal uthaye ja

Koi jawab tere dard ka ant na kar payega
Jis mitti se bani tu Pooja, ek din ussi mai mill jayega

Mitti kismat, mitti zindagi, mittaye na dard-o-gum
Likhati rahugi aise hi, jab tak likhne ka hai dum!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aise likhne ka.....!!! by thelostworld in Shayri-E-Dard
takdiren likhne wale by kaushikbhawna008 in Miscellaneous Shayri
likhne vale ki pehchaan uski qalam se hoti hai by @kaash in Shayri-E-Dard
Likhne walo ne kya likh dala by Rishi Agarwal in Share:Love Poetry
sheir likhne baitha by saahill in Share:Love Poetry
badnaam_shayar
Guest
«Reply #1 on: May 11, 2006, 07:23:15 PM »
Quote from: "Pooja"
nafrat karu khud se, isse kaya naam du
apni hi kahani ko, bata  kaya anjaam du

agg laga du duniya ko ya khud ko jala du main
kaya hai tere dil mai Pooja,  aa aaj samjha du main

Duniya ki hai reet wahin, phir se dhoka khayegi
Such kahti hu maan ja, phir se puchtayegi

Nasoor bane dard ko, kab tak sahlayegi
Kuch bhi kar le, man ki peera khatam na ho payegi

Likhati rah ya band ankhon se ansoo barsaye ja
Kabhi gusse se, kabhi bebasi apni per, dil tadpaye ja

Kabhi khaomshi se aor kabhi cheekh pukar muchaye ja
Puchati rah her ek se, hazaaro sawal uthaye ja

Koi jawab tere dard ka ant na kar payega
Jis mitti se bani tu Pooja, ek din ussi mai mill jayega

Mitti kismat, mitti zindagi, mittaye na dard-o-gum
Likhati rahugi aise hi, jab tak likhne ka hai dum!!!!


Wah kya baat hai Pooja ji


Jawab tere Dard ka hum denge.....
Tu na ho udaas tere hisse ka Gum hum seh lenge.....

Khud ko mitane ki tum kya baat karte ho.....
Aapke liye toh Dharti asmaan hila denge.......

De de mujhe ab tu wada.....
Kabhi na hoga ab yeh Dard jayada.....

Bas chala agar toh tere inn Lafzo ko apne seene me dafna lenge....
Par tujhe har Dard har Gum se door rakhenge.........!!!!!!!!
Logged
manu1979
Guest
«Reply #2 on: May 11, 2006, 07:29:51 PM »
Quote from: "Pooja"
nafrat karu khud se, isse kaya naam du
apni hi kahani ko, bata  kaya anjaam du

agg laga du duniya ko ya khud ko jala du main
kaya hai tere dil mai Pooja,  aa aaj samjha du main

Duniya ki hai reet wahin, phir se dhoka khayegi
Such kahti hu maan ja, phir se puchtayegi

Nasoor bane dard ko, kab tak sahlayegi
Kuch bhi kar le, man ki peera khatam na ho payegi

Likhati rah ya band ankhon se ansoo barsaye ja
Kabhi gusse se, kabhi bebasi apni per, dil tadpaye ja

Kabhi khaomshi se aor kabhi cheekh pukar muchaye ja
Puchati rah her ek se, hazaaro sawal uthaye ja

Koi jawab tere dard ka ant na kar payega
Jis mitti se bani tu Pooja, ek din ussi mai mill jayega

Mitti kismat, mitti zindagi, mittaye na dard-o-gum
Likhati rahugi aise hi, jab tak likhne ka hai dum!!!!



hi pooja ji agar ham jaise dost ho fir bhi aap zindagi ko itne negative nazariye se dekhti hai ye to galat baat hai,mai ap ki is baat se sahmat nahi hu ,aap ne ibahut achha likha hai,par mai ise kuchh positive roop dena chahata hu.


Khud se jo Mahobbat agar nahin hoti
Zindagii khubsurat is qadar nahin hoti

Mere habib mere hosleN hua karte haiN
Ab koshish koi bhi be-asar nahin hoti

Chain milta nahi kahi bhi duniya maiN
Hasratre apne bas mai agar nahin hoti

Naa chhupate aap ko ham palko maiN
Noor-e-khuda si yeh nazar nahin hoti

Dard sah hi nahi paati dil ki deewaareN
Teri rafaaqut gar hamsafar nahin hoti

Khun-e-jigar dobo k mashale jalayi haiN
Besabab munnavar rahgujar nahin hoti

Haar kar jitney ka jazba ham rakhte haiN
Har taqdeer maiN roshan jafar nahin hoti

Rahnuma hai teri khusbu in hawao maiN
ManzileN hamse ab bekhabar nahin hoti

Har safar haiN aasan jo gar saath chale
kisi bhi faasleN ki koi sargujar nahi hoti

Is Muskaan se hi sajati hai kalbonazar
Bagair iske boo-e-gul si sahar nahin hoti

regards
manu
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #3 on: May 11, 2006, 08:07:54 PM »
Bohat khoob Pooja... Bohat hi acha likha hai aap ne...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #4 on: May 11, 2006, 08:30:46 PM »

Dard ke saaye mein raat guzarti hai yeh
Kitne armaan mere roz nigalti hai yeh

Zindagi naam hai ik khwaab-e-laa haasil ka
Chahein tabeer agar hum tau bigadti hai yeh

Kaam iss ka tau yehi hai keh dilon se kheley
Lootne hi ko tau dil shaad banaati hai yeh

Dushmani iss ko rahi mujhse hamesha hi kyun
Kyun mere raaste kaanton se sajaati hai yeh

Baab-e-umeed khule koyi agar mujh pe tau
Yaad maazi ke kayi dard dilaati hai yeh

Yun naseebon se gila kar ke miteinge na gham
Kab bhala rone se taQdeer badalti hai yeh

Lafz yeh Pooja tere koyi nahi samjhe ga
Jaane kis aas mein tu sher sunati hai yeh
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #5 on: May 12, 2006, 02:56:16 AM »
Bhut hi touching Likha Hai Pooja ji ...  Aur Aryan ji .. appne yeh lines  mein bhut kuch keh diya hai ...  
Quote from: "Aryaan"


Lafz yeh Pooja tere koyi nahi samjhe ga
Jaane kis aas mein tu sher sunati hai yeh



Gaurav tum toh always Fantastic likhte ho aur Manu ji Appki bhi post bhi khass .. bhut alag andaaz hai aapka



Hai Ghum Bhari Zindagi,
kahin sahil na nazar aaye

har mord par dikhati hai rang
girgat si yeh badal jaye

Kabhi Apne mil jaatein hain
toh kabhi kissi ke haath chut jaatein hain

Kabhi khushi de kar labhon pe
toh kabhi ankein sailaab se bhar jaatein hain

magar Tum maat hona udhass kabhie
Koi Jaan se jaayda Tumhein chahta hai kahin

hai khamosh chahe juban se
Lekin khamoshi se sab kuch kehta hai

Tere haar Lafz mein
khud ko hi doondtna chahta  hai

hasti ho jab tum toh,
toh tumhaare sung muskaraata hai

jo dekha hai kabhi ansoon
Tu dil uska be-bass ho jaata hai

har mausam mein rehna hai  Tumhaare pass
Aaisa uska kabse irrada hai

Chahe raasta hai Aseem
lekin har kadam Sath-Sath Badaana hai  ... !!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: May 12, 2006, 03:00:50 PM »
Kisi ko sunane ke liye nahi likhati
Kisi ko padane ke liye nahi likhati
Likhati hu ki kahin isme na dab jaau
Ghut kar kahin, isme hi na kho jaau

Ander ki rooh abhi bhi zindagi ko tadpati hai
Dekh kar aoro ko khush, sapno se sajati hai
Khayalo se ajj bhi khud ko bahkaati hai
Haqiqat phir khoon ke ansoo rulaati hai

Dard jab had se jayada bad jaata hai
Shabdo ka sur apne app khicha chala atta hai
Dard se shabd ya phir shabdo se dard atta hai
Iss baat ka Pooja ko kahan hosh rah jaata hai!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: May 12, 2006, 03:40:38 PM »
Chup kar khud mai ek umar bitaai hai
Khayalo mai  hamesha preet sajaai hai
Khawab hamesha dety rahe thupaki
Khud ko roj khud ne lori sunai hai

Beti, Bahan, ladki hone ka farz nibhaya hai
Magar in khali hatho mai, kuch na ayya hai
Kayun kis liye mujko dharati bulaya hai
Dikha kar asmaan upper, sara samunder mujh main sajaaya hai

Kayun is dube laave ki tarah chup kar rahna chahty ho
Kis liye khud ko tadpa ke, tum bhi rona chahty ho
Jal jaogy  khud bhi, jal jayega tera yah jahan
Kis liye jaan se jayada muje chahna chahty ho!!

Mere lafzo mai dard hai, jo bikhar hi jaata hai
Jiske seene mai ho dard, usko apnapan sa atta hai
Insaaniayt ke naate wo muskaan bantna chahta hai
Na kar koi irrada, jiska koi anjaam najar nahi atta hai!!!!
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #8 on: May 12, 2006, 03:42:40 PM »
WoW!!! Bahut hi achha likha hai sabne.
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #9 on: May 12, 2006, 05:22:11 PM »
Thank you TOUCHY

___


Waah pooja... :?

Rasta agar badlna hota...
Toh kehta na kabhie juban se

Hath Jo tera chordna hota
Toh Thamta na Saare-aam main

Kyun tum khudko alaag maane baithe ho
kya aaitbaar nahi mere aaitbaar  mein

Manna hai tujhe appna
khushi k saath aanson bhi aapnaye hain

Tere har Lafz mein Jeevan hai mera
Chahe Dard mein likho ya Khumaar mein

Jo Jalaate bhi rahoge, toh jaalta hi rahega
Jeet tere har ek Ilzaam se

kyunki,Kuch Paane ka naam agar pyaar hota
toh bikta yeh bhi bazaar mein ... !!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #10 on: May 13, 2006, 02:14:28 AM »
Bohat shukriya BD  & Touchy...
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #11 on: May 13, 2006, 06:56:41 AM »
Wah Wah kya baat hai POOJA JI, JEET JI, ARYAAN BHI, BADNAAM JI aur MANU JI.... aap sab ne bahut acha rang jama rakha hai.... behtreen likha hai aap sab ne...
Logged
rocky_raj
Guest
«Reply #12 on: May 13, 2006, 07:31:03 AM »
good one poojaaaaaaaaaa
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: May 14, 2006, 04:23:24 AM »
Thanks Vicky and Rocky ji!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: May 14, 2006, 04:30:24 AM »
Quote from: "burniing_desiires"
Thank you TOUCHY

___


Waah pooja... :?

Rasta agar badlna hota...
Toh kehta na kabhie juban se

Hath Jo tera chordna hota
Toh Thamta na Saare-aam main

Kyun tum khudko alaag maane baithe ho
kya aaitbaar nahi mere aaitbaar  mein

Manna hai tujhe appna
khushi k saath aanson bhi aapnaye hain

Tere har Lafz mein Jeevan hai mera
Chahe Dard mein likho ya Khumaar mein

Jo Jalaate bhi rahoge, toh jaalta hi rahega
Jeet tere har ek Ilzaam se

kyunki,Kuch Paane ka naam agar pyaar hota
toh bikta yeh bhi bazaar mein ... !!!




Bahoot Khoob Jeet!!! last two line to bahoot hi achi likhi hai!!!

Rasta yah asaan na hoga
faisla yah asaan na hoga

Juban to ek hi hogi
magar asmaan wo asmaan na hoga

tere wajood se inkaar nahi
aitbaar ki bhi baat nahi

juda kaha khud ko maana hai
tere sung ke sath, ek dar atta anjaana hai

Likhati rahti hu mai, dard mai aor khumar mai
dard ki jab intihaan nahi rahti, jisam-o-roohan mai!!!
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 01, 2024, 03:48:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.149 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer