..~~janey mout kab mehrbaaN hogi~~...

by HumTum on July 01, 2005, 04:51:17 PM
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Author  (Read 4153 times)
Parul
Guest
«Reply #30 on: July 01, 2005, 11:33:28 PM »
Quote from: "HumTum"
tofan mein naao hai tanha jaise koi kinaara naheen
kotaahii-e-qismat hai sabke hum koi hamaara naheen

rehne dijiye younhi toofanon mein koi to saath hai
koi to hai ke jisko hamaari tanhaai gawaara naheen

kabhi to tootna tha mujhe so toot gaya to kya howa
auj-e-falak pe chamakta rehta mai wo sitara naheen

koi to aaye hamari dehleez par ghaflat mey hi sahi
koi to dastak de kya shehar mein koi awaara naheen

dhondti hai nazar koi raushni koi khushi har jagah
ye bhi hamari tarha hai iska bhi koi sahara naheen

kabsay muntazir hoon jaane maut kab meherbaan hogi
bas yahi baaki hai choota humse koi nazaara naheen

udaas kab tha kismat se mai khadri jo shikwa karta
jaanta hun bina gham ke koi zindagi guzaara naheen



bahoot hi acha likha hai aapney humtum ji ....  khasker yeh lines

kabsay muntazir hoon jaane maut kab meherbaan hogi
bas yahi baaki hai choota humse koi nazaara naheen

bahut dard hai in lines mein ......  yun hi likhtey rakhiga !!!!
Logged
Meena
Guest
«Reply #31 on: July 02, 2005, 11:01:30 AM »
Humtum ji wah wah!

"bahut shukriyaa! dil dukhaa dene waale
vafaaoN ke badle jafaa dene waale

nahiiN ek tere hi sar pe ye tohmat
bahut haiN yahaaN dil dukhaa dene waale

raho tum salaamat jahaaN bhii raho ab
mujhe zindagii kii du'aa dene waale

mujhe tujhse kuchh bhi shikaayat nahiiN hai
hasaaN ke mujhe phir rulaa dene waale

qayaamat hai aayii qayaamat se pehle
O' qah'r-e-khuda se daraa dene waale

"abhii aap 'HumTum' bahut naa samajh haiN"
yahii kah rahe haiN daghaa dene waale
"


kyu askh bahate ho, jab jante ho woh tume rulana chahate hai,
kyu gum karte ho uska jo tumse haath chudana chahate hai,
zindagi ke woh pehelu bhi dekh "humtum" ,
tam le unka haath jo tume gum me bhi hasana chahate hai!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #32 on: July 02, 2005, 11:04:22 AM »
Meena ji .....

mujhey rula ke hi agar khush hai woh to yun hi shi
mein chod nhi sakta usko meiney mohhobat ki hai
woh tanhaa mujhe chod bhi jaye to ghum nhi
mein ishq nhi muhoobat nhi , uski ibaadad ki hai !!
Logged
nikki
Guest
«Reply #33 on: July 02, 2005, 11:07:20 AM »
bahut khoob......................

sachi mohabbat ka fasana aur hota hai
gar rulaye duniya to gum nahi

magar jab rulata hai mehboob to
woh alam aur hota hai
Logged
Meena
Guest
«Reply #34 on: July 02, 2005, 11:11:06 AM »
well....

tanhayio ka daman tam kar kyu khud ko rulate ho,
kush ho uske bina, yeh jhoot kyu sab ko dikhate ho,
kahi bura na man jaye Khuda tera pyar dekh kar,
Khuda se badkar hai who tere lyie, kyu Khuda ko aise jalate ho?
Logged
nikki
Guest
«Reply #35 on: July 02, 2005, 11:16:06 AM »
hey superbbbb sis............very very nice........................

hume khuda ko manana na aya
maanga hai unhe khuda se
magar jataana na aya

aji kasoor apna hi hai
jo sach tha batana na aya
Logged
HumTum
Guest
«Reply #36 on: July 02, 2005, 11:36:27 AM »
Quote from: "Parul"
Quote from: "HumTum"
tofan mein naao hai tanha jaise koi kinaara naheen
kotaahii-e-qismat hai sabke hum koi hamaara naheen

rehne dijiye younhi toofanon mein koi to saath hai
koi to hai ke jisko hamaari tanhaai gawaara naheen

kabhi to tootna tha mujhe so toot gaya to kya howa
auj-e-falak pe chamakta rehta mai wo sitara naheen

koi to aaye hamari dehleez par ghaflat mey hi sahi
koi to dastak de kya shehar mein koi awaara naheen

dhondti hai nazar koi raushni koi khushi har jagah
ye bhi hamari tarha hai iska bhi koi sahara naheen

kabsay muntazir hoon jaane maut kab meherbaan hogi
bas yahi baaki hai choota humse koi nazaara naheen

udaas kab tha kismat se mai khadri jo shikwa karta
jaanta hun bina gham ke koi zindagi guzaara naheen



bahoot hi acha likha hai aapney humtum ji ....  khasker yeh lines

kabsay muntazir hoon jaane maut kab meherbaan hogi
bas yahi baaki hai choota humse koi nazaara naheen

bahut dard hai in lines mein ......  yun hi likhtey rakhiga !!!!


aap ka bahut bahut shukriya Parul ji .. bas aap ka sath rha to yun hi likhtey rhanegey !!!!  
Logged
HumTum
Guest
«Reply #37 on: July 02, 2005, 11:40:58 AM »
Quote from: "nikki"
bahut khoob......................

sachi mohabbat ka fasana aur hota hai
gar rulaye duniya to gum nahi

magar jab rulata hai mehboob to
woh alam aur hota hai


very true .....  

duniya jo deti hai ghum to nam nhi hoti ankhein
mehboob ke berukhi bhi dil ko jala jati hai
lakh khoshish bhi kru mein bhulaney ki usko
woh phir bhi mere zahen o dil pe chaa jati hai !!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #38 on: July 02, 2005, 11:46:40 AM »
Quote from: "Meena"
well....

tanhayio ka daman tam kar kyu khud ko rulate ho,
kush ho uske bina, yeh jhoot kyu sab ko dikhate ho,
kahi bura na man jaye Khuda tera pyar dekh kar,
Khuda se badkar hai who tere lyie, kyu Khuda ko aise jalate ho?


Meena ji ....

yho shoch ker karta hoon mehboob ki ibadaad
suna hai ke pathrooN mein bhi khuda hota hai
hai mera mehboob khuda se badker mere liye
kyun ki pyaar se khuda kab juda hota hai !!
Logged
pyarikudi1983
Guest
«Reply #39 on: July 02, 2005, 11:56:26 AM »
Quote from: "HumTum"
Quote from: "Meena"
well....

tanhayio ka daman tam kar kyu khud ko rulate ho,
kush ho uske bina, yeh jhoot kyu sab ko dikhate ho,
kahi bura na man jaye Khuda tera pyar dekh kar,
Khuda se badkar hai who tere lyie, kyu Khuda ko aise jalate ho?


Meena ji ....

yho shoch ker karta hoon mehboob ki ibadaad
suna hai ke pathrooN mein bhi khuda hota hai
hai mera mehboob khuda se badker mere liye
kyun ki pyaar se khuda kab juda hota hai !!


Mushkilen dilke irade aazmaengi.....khawbon ke parde nigahon se hatjayengi...gir kar hausala mat haarna a dost..ye thokren hi tujhe chalna sikhayengi... :oops: {copied one} :wink:
Logged
HumTum
Guest
«Reply #40 on: July 02, 2005, 01:47:05 PM »
Quote from: "nikki"
hey superbbbb sis............very very nice........................

hume khuda ko manana na aya
maanga hai unhe khuda se
magar jataana na aya

aji kasoor apna hi hai
jo sach tha batana na aya

kasoor hai sab taqdeer ka meri
faqt likhey hai ismein ghum hi ghum
chod gyi woh tanha rastoon mein akela mujhey
us se iss baat ka shikwa kya kregey hum
Logged
HumTum
Guest
«Reply #41 on: July 02, 2005, 01:49:35 PM »
Quote from: "pyarikudi1983"
Quote from: "HumTum"
Quote from: "Meena"
well....

tanhayio ka daman tam kar kyu khud ko rulate ho,
kush ho uske bina, yeh jhoot kyu sab ko dikhate ho,
kahi bura na man jaye Khuda tera pyar dekh kar,
Khuda se badkar hai who tere lyie, kyu Khuda ko aise jalate ho?


Meena ji ....

yho shoch ker karta hoon mehboob ki ibadaad
suna hai ke pathrooN mein bhi khuda hota hai
hai mera mehboob khuda se badker mere liye
kyun ki pyaar se khuda kab juda hota hai !!




Mushkilen dilke irade aazmaengi.....khawbon ke parde nigahon se hatjayengi...gir kar hausala mat haarna a dost..ye thokren hi tujhe chalna sikhayengi... :oops: {copied one} :wink:


bhoot khoot pyari kudi  :wink:

dil ko mere ab koi umeed nazar nhi aati
chaha hai jis ko woh dagaa de gyi
suna hai muhoobat kerney waley gunahgaar hotey hai
shayaad ussi gunaah ki woh sazza de gyi !!
Logged
nikki
Guest
«Reply #42 on: July 02, 2005, 02:05:11 PM »
nice one again.....

na saath nibah paye to gunahgaar ho gaye
yeh mijaz aapke kab se sarkaar ho gaye

kyun ruswa karte ho khud apne hi pyar ko
soch kar dekho khatta kisko manzoor hoti hai

pyar sach ke sahare hi tikta hai
chota sa jhooth bhi ...ek saza hoti hai
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #43 on: July 02, 2005, 02:09:11 PM »
very nice HumTum & Nikki...........................
Logged
nikki
Guest
«Reply #44 on: July 02, 2005, 02:10:08 PM »
thanx Aryaan........................................... ...................
Logged
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 01, 2024, 01:45:56 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer