Kaanton Se Aarthi ko Sajwa Do Koi!

by Meena on May 20, 2005, 01:53:01 PM
Pages: [1] 2 3 4
Print
Author  (Read 3733 times)
Meena
Guest
well, dosto ne kaha ke kafi dino se kuch likha nahin...so aaj phir se hazir hoon ek nayi poem ke saath!!  :D


Chup chup kar tanhai me ek shaks ko yaad karte hai,
Aa jaye woh wapis, Khuda se yeh fariyaad karte hai,
Shayad hawa me koi tinka tha jo chala gaya meri ankhon me,
Behe raha hai ashkon ka samundar, isse rukwa do koi!!!

Dam tood raha hai dekho pyar ka arman humara,
Jism jaise hogaya yuh bejaan sa humara,
Bewafai ke kanjar se bach na sakhti wafa ki rooh,
Aab to is rishte ko dafna do koi!!!

Kaanton ki sej par so rahe te sapne humare,
Daga har maud par de raha hai apne humare,
Ek ek kar ke toot gaye vishwas ke daage yaha,
Aab to zindagi se humara damna chudwa do koi!!!

Odh liya hai kafan aur ban gayi mai dulhan maut ki,
Aab na asar hoga koi, kisi bhi di hui chot ki,
Baharon ki wafa ras na ayi, kuch aise zakhm mile hai,
Aab phoolon se nahin par kaanton se meri aarthi sajwa do koi!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
hum kaanton ko ankhon se laga lete hain by yammy in Shayri-E-Dard
Kaanton Ka Ghar Banaa Liya.,.. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
* Kaanton Kii Chubhan* by honeyrose in Shayri-E-Dard
Kaanton ki chaahat hai hamaari by thegrimreaper in Miscellaneous Shayri
Kaanton Se Milaa Karta,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
waheed_rose2004
Guest
«Reply #1 on: May 20, 2005, 05:03:59 PM »
Quote from: "Meena"
well, dosto ne kaha ke kafi dino se kuch likha nahin...so aaj phir se hazir hoon ek nayi poem ke saath!!  :D


Chup chup kar tanhai me ek shaks ko yaad karte hai,
Aa jaye woh wapis, Khuda se yeh fariyaad karte hai,
Shayad hawa me koi tinka tha jo chala gaya meri ankhon me,
Behe raha hai ashkon ka samundar, isse rukwa do koi!!!

Dam tood raha hai dekho pyar ka arman humara,
Jism jaise hogaya yuh bejaan sa humara,
Bewafai ke kanjar se bach na sakhti wafa ki rooh,
Aab to is rishte ko dafna do koi!!!

Kaanton ki sej par so rahe te sapne humare,
Daga har maud par de raha hai apne humare,
Ek ek kar ke toot gaye vishwas ke daage yaha,
Aab to zindagi se humara damna chudwa do koi!!!

Odh liya hai kafan aur ban gayi mai dulhan maut ki,
Aab na asar hoga koi, kisi bhi di hui chot ki,
Baharon ki wafa ras na ayi, kuch aise zakhm mile hai,
Aab phoolon se nahin par kaanton se meri aarthi sajwa do koi!!!


wow  meena    bahot  khoob  motiiiiiiiii...............excellent............. ......
Logged
Meena
Guest
«Reply #2 on: May 20, 2005, 05:41:03 PM »
.....shukriya ...waheed!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

 :D
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #3 on: May 20, 2005, 09:32:34 PM »
wow meena tusi teah just great ho.......that last para just mind blowing......dil ko chuu (touch) gaya!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #4 on: May 20, 2005, 10:57:55 PM »
Wah! Meena kamaal ka likha hai aap ne, ek ek lafz mein inteha ka drad chupa hai....Bohat khoob.... likhti raha kijiye....
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #5 on: May 21, 2005, 06:43:45 AM »
meena ji kya baat hai .................
too good
Humne socha tha ki dulahan banege hum bhi
jab tutt gaya hai ye khwaab-e-barahm dil ka
tak gaye hai hum abh jal jal ke iss aag main
abh humko sab riston se mukt karva do koi
Logged
Meena
Guest
«Reply #6 on: May 21, 2005, 07:48:03 AM »
shukriya isha...aryaan.....aur sandhaya ji!!!!!!! aap sab meri poems padte ho aur pasand karte ho  Usual Smile

sandhaya ji:

rishto se mukh hona itna asan hota,
to hum bhi mehefil me tanha na hote!!!!
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #7 on: May 21, 2005, 07:51:05 AM »
UR welcome Meena ji aapki poems hoti hi itni achi hai

mehfil ki tanhai ko kaise bardasht karun
ki main tuh ek pal hun khushi jo barbaad hua hai
Logged
Meena
Guest
«Reply #8 on: May 21, 2005, 07:59:47 AM »
Quote from: "sandhaya"
UR welcome Meena ji aapki poems hoti hi itni achi hai

mehfil ki tanhai ko kaise bardasht karun
ki main tuh ek pal hun khushi jo barbaad hua hai


thank u sorry but i didnt get ur shayari!  sad5
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #9 on: May 21, 2005, 08:08:44 AM »
Quote from: "Meena"
Quote from: "sandhaya"
UR welcome Meena ji aapki poems hoti hi itni achi hai

mehfil ki tanhai ko kaise bardasht karun
ki main tuh ek pal hun khushi jo barbaad hua hai


thank you sorry but i didnt get ur shayari!  sad5


usme kuch mistake thi meena ji i hope ki abh samaj aa jayegi

mehfil ki tanhai ko main kaise bardasth karun
main tuh ek pal tha khushi ka jo barbaad hua hai
Logged
Meena
Guest
«Reply #10 on: May 21, 2005, 08:13:23 AM »
wah ji wah!!!

Gham se bhare pyale mein khushi ki kuch boonde hein,
Ye bhi chhalak gayin to jeena mushkil hoga. (NM)
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #11 on: May 21, 2005, 08:23:51 AM »
sukhriya meena ji and.........good one

gum kyun milta hai jaise bandaaro ki tarah
aur khushi paane ko tarasta har insaan nazar aata hai
Logged
Meena
Guest
«Reply #12 on: May 21, 2005, 08:27:28 AM »
thanx!!

nazariya ka fark hai, aur samajh ki hoti hai kami,
warna baharon me phoolon ki talash na hoti!!!
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #13 on: May 21, 2005, 08:31:16 AM »
ur welcome meena ji ............
sach kaha hai aapne .........................


Jo milta hai vo humko kabhi kabul nahi hota
aur jo milta nahi uske liye rote hai hum
Logged
Meena
Guest
«Reply #14 on: May 21, 2005, 08:37:43 AM »
true!!!

talab hoti hai humesha unki, jo hota humse door,
khud ko dukhi karte hai, aur dete hai Khuda ko kasoor!!
Logged
Pages: [1] 2 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 10:30:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer