kaash ye mukhtasir si mulaqaat hi naa hoti

by fakharenaveed on May 25, 2005, 02:10:45 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1080 times)
fakharenaveed
Guest
kaash ye mukhtasir si mulaqaat hi naa hoti
gar na ashna hi rehty, tuo phir ye bat bhi na hoti

jo na dekhty tum mujhko, yoon nazar bacha bacha kar
meri zindagi ab aisy, andhery rat bhi na hoti

mumkin tha bhool jaty soghat yar ki
chahat ki teri us main, mithas gar na hoti

sehra ko chorny ka na kabhi sochta
khamosh teri nazar ki ham pe, barsat gar na hoti

jo hai dil pe aaj guzri, kahoon kaisy ay shafiq!
pehly kam theen mushkaleen kia? meri zaat hi na hoti!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kaash tu saath hoti by vikas_chandra in Shayri-E-Dard
Kaash dil ki ek zubaan hoti by thegrimreaper in Miscellaneous Shayri
Kaash mohabbat me aazmayish na hoti by @Kaash in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kaash zindagi aasaan hoti by shahida.manha in Shayri-E-Dard
ab unse mulaqaat nahi hoti by Asghr in Shayri for Khumar -e- Ishq
dolly
Guest
«Reply #1 on: May 25, 2005, 04:10:30 AM »
wow wow Naveed again beautiful lines......

jo tere meethe khwaab naa dekhe hote
to aaj iss nazar mein itni kadwaahat naa hoti.....

jo naa ki hoti tujhe paane ki arzoo...
to aaj zindagise koi shikaayat naa hoti........
Logged
ashishjethwa8717
Guest
«Reply #2 on: May 25, 2005, 04:17:23 AM »
hi good one dolly and naved

mere samne mehfil mein woh aye baithe hain,
apne hathon mein mera dil dabaye baithe hain,
jab humne poochha ki kya hai hathon mein,
to bahana bana diya ki menhdi lagaye baithe hain.

is pyar ne sabko na jane kya kya bana diya
kisko ashiq to kisko deewana bana diya
jis mumtaj ne kabhi ful bhi nahi uthaya apne hathon se
us mumtaz ko shahjah ne taj mahal bana diya

from ashish
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #3 on: May 25, 2005, 04:20:23 AM »
Quote from: "fakharenaveed"
kaash ye mukhtasir si mulaqaat hi naa hoti
gar na ashna hi rehty, tuo phir ye bat bhi na hoti

jo na dekhty tum mujhko, yoon nazar bacha bacha kar
meri zindagi ab aisy, andhery rat bhi na hoti

mumkin tha bhool jaty soghat yar ki
chahat ki teri us main, mithas gar na hoti

sehra ko chorny ka na kabhi sochta
khamosh teri nazar ki ham pe, barsat gar na hoti

jo hai dil pe aaj guzri, kahoon kaisy ay shafiq!
pehly kam theen mushkaleen kia? meri zaat hi na hoti!


nahi hoti koi bewafa na koi kabhi bewafai karti hai,...

dil deti wo jisko uske liye khudai se ladti hai,...

wo to aapne pyar k liye yaha tak karti hai,...

aagar ho sanam bewafa to bhi hasker uski judai ka gum sehti hai,...
Logged
dolly
Guest
«Reply #4 on: May 25, 2005, 04:25:03 AM »
well ritten....allz....

thanx ashish.............
Logged
ashishjethwa8717
Guest
«Reply #5 on: May 25, 2005, 04:37:11 AM »
hi dooly send me more abt u
my mail address

my email add is : ashishjethwa2005@engineer.com

this one id for u dooly

dil me bhi nahi, yadon me na sahi.n,
par mai hu.n tujhme... kahi.n na kahi.n
un hawao.n me nahi,mai.n vo kajal bhi nahi
dur hu.n tumse par... nigaho me sahi.n
ranj nahi hai mujhko dard-e-diwar se,
majak ban ke mai.n guftu gu ki fizao.n me sahi.
khilauna nahi par khelte raho mujhse,
tut jau.n to... teri muskrahato.n me sahi.n
kab talak chalega ye karwa.n mai.n janta nahi,
par rahunga har aahat me mai.n kahi.n na kahi.n...

ashish
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #6 on: May 25, 2005, 05:15:24 AM »
wonderful naveed,and dolly kya baat hai,good ones tushar and ashish. Usual Smile

"Kaash ye mukhtasir si mulaakat na hoti,
 dil na dhadakta,dil ki baat na hoti,
 ek nazar me is kadar dil dhadka gaye woh mera,
 unki hi nazar dhoond raha hai meri har shaam,mera har savera."
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #7 on: May 25, 2005, 05:54:22 AM »
Quote from: "nidhi_yadein"
wonderful naveed,and dolly kya baat hai,good ones tushar and ashish. Usual Smile

"Kaash ye mukhtasir si mulaakat na hoti,
 dil na dhadakta,dil ki baat na hoti,
 ek nazar me is kadar dil dhadka gaye woh mera,
 unki hi nazar dhoond raha hai meri har shaam,mera har savera."


chaho to dard edastan baya ker dena,...

chaho to khushi aapni bata dena ,....

hum tere sath rehange humesha,....

gar ho jao mai kabhi rude,.....

plz aapni dosti ki khatir mujhe mana lena,....
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #8 on: May 25, 2005, 04:06:20 PM »
WOW VERY COOL WRITTING IN THIS HOT WEATHER.

na gar tumse mulakaat hot
to meri sham na itni tanha hoti

na jo gar tumse baat hoti
meri zabaa.n na itni khamosh hoti

na gar jo tuse judaai hoti
meri zindgi na itni choti hoti.
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #9 on: May 25, 2005, 04:48:42 PM »
Quote from: "tushar_4u_im"
Quote from: "nidhi_yadein"
wonderful naveed,and dolly kya baat hai,good ones tushar and ashish. Usual Smile

"Kaash ye mukhtasir si mulaakat na hoti,
 dil na dhadakta,dil ki baat na hoti,
 ek nazar me is kadar dil dhadka gaye woh mera,
 unki hi nazar dhoond raha hai meri har shaam,mera har savera."


chaho to dard edastan baya ker dena,...

chaho to khushi aapni bata dena ,....

hum tere sath rehange humesha,....

gar ho jao mai kabhi rude,.....

plz aapni dosti ki khatir mujhe mana lena,....


Usual Smile
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #10 on: May 25, 2005, 10:05:51 PM »
Thanx Nidhi.................Dolly....................Tu shar....................vikas.................... .......&  Ashish ji



Kaate nahi kat te hain lamhe intezaar ke
Nazarein jama ke baithe hain raste pe yaar ke
Dil ne kaha dekhein jo jalwe husn-e-yaar ke
Layaa hai koun inko, phalak se utaar ke
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 27, 2024, 06:35:24 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer