KahaN Say KahaN Tak

by Brijinder on September 01, 2006, 10:52:20 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1040 times)
Brijinder
Guest
KahaN Say KahaN Tak

Meri Umr bhar rahi yeh aarzoo
Meray khwaab zameeN par utaraiN kabhi
MaiN tarap tarap kar reh gayaa
Meru aarzoo bus aarzoo hi rahi

Tweel raat hai dard ki
Jo sehar ko kabhi na pa saki
YahaN kadam kadam milay haadsay
Zakhm jinkay khudi na dikhaa saki

Yeh zehar zehar si udaasiayaN
Meray jism-o-jaaN main samaaN gayeeN
Yeh lab-b-lab tanhaayiaN
Mujhay kayaa say kayaa banaa gayeeN

Woh khalwataiN jo kabhi azeez theeN
Woh chaahataiN jo kabhi kareeb theeN
Woh khalwataiN ab dushman
Woh chaahataiN ab jalaawatan

Ghum ki chalee hai aaNdiaN
Dard ki is raat main
Yaas ki larzaiN bijliaN
FugaaN bhi liayay saath main

Daykar  har kadam nashtar Na kar itnaa majboor mujhay
Laut kar phir aa na sakooN
Na kar itnaa ab door mujhay

Sitam aur teray shayud uthaa na paauN maiN
Khud say hi kahiN ab na uktaa jaauN main

             -------------------------
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kahan Te Tum Iss Din Se Pehle, by pankaj_pups in Shayri-E-Dard
kahan tha aur kahan chala aya by muneeb in Shayri-E-Dard
Kahan Ho Tum: Nishita by NewYorker in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 20 21 »
Dhadkan Kahan Hai by usuraj in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Kahan Se Kahan Tak by Devdas_online in Shayeri for Dard -e- Bewafai
smj
Guest
«Reply #1 on: March 14, 2008, 04:21:32 PM »
nice one.
Logged
Brijinder
Guest
«Reply #2 on: February 03, 2009, 12:33:52 AM »
Plz tell me how to copy paste here.I think it was with control and one other button but I have forgotten it.Can anyone help?
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: February 03, 2009, 03:00:24 AM »
Plz tell me how to copy paste here.I think it was with control and one other button but I have forgotten it.Can anyone help?

Namaste Brijinder ji.

Check your PM
Logged
Roja
Guest
«Reply #4 on: February 03, 2009, 03:03:07 AM »
KahaN Say KahaN Tak

Meri Umr bhar rahi yeh aarzoo
Meray khwaab zameeN par utaraiN kabhi
MaiN tarap tarap kar reh gayaa
Meru aarzoo bus aarzoo hi rahi

Tweel raat hai dard ki
Jo sehar ko kabhi na pa saki
YahaN kadam kadam milay haadsay
Zakhm jinkay khudi na dikhaa saki

Yeh zehar zehar si udaasiayaN
Meray jism-o-jaaN main samaaN gayeeN
Yeh lab-b-lab tanhaayiaN
Mujhay kayaa say kayaa banaa gayeeN

Woh khalwataiN jo kabhi azeez theeN
Woh chaahataiN jo kabhi kareeb theeN
Woh khalwataiN ab dushman
Woh chaahataiN ab jalaawatan

Ghum ki chalee hai aaNdiaN
Dard ki is raat main
Yaas ki larzaiN bijliaN
FugaaN bhi liayay saath main

Daykar  har kadam nashtar Na kar itnaa majboor mujhay
Laut kar phir aa na sakooN
Na kar itnaa ab door mujhay

Sitam aur teray shayud uthaa na paauN maiN
Khud say hi kahiN ab na uktaa jaauN main

             -------------------------

Superb   Applause  Applause

Logged
Brijinder
Guest
«Reply #5 on: February 04, 2009, 01:33:24 AM »
thanks a lot.Am goingto india for abt 6 weeks and may not be able to stay in regular contact.
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #6 on: April 15, 2009, 09:17:13 AM »

  BAHAARAIN AUR BHI AAYE GI ZINDAGI KI RAAHON MAIN.. ..BADAA DARD HAI NAZAM MAIN
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 12:08:04 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer