Kaisi Ye Daastan ______________ {Angel}

by angel4u on June 24, 2009, 03:07:17 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 2600 times)
angel4u
Guest
«Reply #15 on: June 25, 2009, 05:13:18 PM »

Angel.Iss Nazm Ki tareef Mein Kuch Keh paau,Itne Lafz Nahi Mere Paas...Par har Ek Lafz Mein Dard Ki Ek Pukaar Si thi...Bahut Dard Aur Gehre Jazbaton Se Bhari Nazm Hai Yeh ,Bas Shart Yeh hai Ke Iss Nazm Ko Uss Ehsaas Se Padha Jaaye,Jis Ehsaas Ke Saath Aapne Yeh Likha Hai..

Bahut Bahut Bhaut Khoob Mere Dost!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Simply Beautiful.. icon_salut icon_salut icon_salut

Huzena,Aapne Itna Acha Likha Hai Ke Bin kuch Likhe Yaha Se Jaana Namumkin Sa Ho Gaya Hai...Kuch Instant Sa Jawaab Dene Ki Koshish Kar Raha Hoon..Umeed Hai Aapko Aur sabko Yeh Pasand Aaye...

Zubaan Khamosh Bhi Ho To,
Nazrein Bahut Kuch Keh Sakti Hai..

Sirf Dard Mein Aankhein Nam Nahi Hoti Eh Dost!!!
Teri Khushi Ke Sadke Bhi,Aankhein Meri Beh Sakti Hai....


Sirf Dooriyon Mein Insaan Door Nahi Hota "Huzena"
Kabhi-Kabhi Bahut Nazdikiyan Bhi,Do Dilon Mein Dooriyan Ban Ke Reh Sakti Hai...

Dekhte-Dekhte Woh Ajnabi Kyon Apna Sa Ban Gaya "Khwaish"??
Uski Judai Yeh Dhadkane, Ab Nahi Seh Sakti hai....

Tumne Kabhi Suune Ki Koshish Hi Na Ki,
Khamoshiyan Bhi Bahut Kuch Keh Sakti Hai.....



Bahut bahut shukriya khwaish Ji, ye to aapka apnapan hia ke aapko meri har nazm khoobsurat lagti hai. Kehte hia na jiski nazrein khoobsurat hoti hia use apne ird gird sab chizein khoobsurat lagti hia. Hmmm kafi lambi hai isliye itmenaan se padhne ki zaroorat hai. Shukriya aapne apna waqt hamein aru hamari nazm ko diya...

Ek chhoti si koshish hum bhi karna chahenge aapke is khoobsurat andaaz ke liye...

Mere dard se hi aankhein nam thi uski ye hi ehsaas hai ab tak,
uski saanson ki mehek meri saanson mein mehekti hia ab tak,

ke chala aaye wo kisi mod se isliye dhundti hia nazrein har pal use,
mil jaaye bas ek lamha uske saath mujhe intezar karenge tab tak,

baitha hai aaj wo mere itne kareeb meri qabr ke paas aise,
in nazdikiyon mein jo hai dooriyan na mitegi ab qayamat tak,

tune to kaha tha alwida us din par na jaane kyon lagta hai,
wo gulaab intezaar to karta hi hoga mere haathon ka ab tak,

Shayad isiliye le aaya ye masoom pankhdiyaan meri qabr sajane ko,
bebas bhi hia khush bhi hai ke chahta hai tu mujhe ab tak...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #16 on: June 25, 2009, 05:13:58 PM »
Wah wah Angel ji and Khwaish ji,very very nice and beautiful creation. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley excellent.

Thank you so much dear... Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #17 on: June 25, 2009, 05:15:08 PM »
Well done Ms Angel, bravo!

Thanks a lot Mr Hussain. Nice to see your reply here...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #18 on: June 25, 2009, 05:16:16 PM »
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Very beautiful indeed..har lafz main dard aur chahat ka ehsaas...bohot bohot achcha likha hai...par bohot dard se bhara.......Bohot Bohot Khoob Sweetie

Thank you so much Talat for such beautiful words of appreciation. Thanks for appreciating always....
Logged
angel4u
Guest
«Reply #19 on: June 25, 2009, 05:25:56 PM »
Kya kahe aapse Angel ji......kisi ka is tarah se hmari zindagi me aana aur ek pal me hame tanha chod kar chale jana...aur dil ka usi ki baaho me zindagi ki aankhiri saans ki ummid.....bahut pyara,bahut khubsurti se har lafj piroya h aapne Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
                       icon_salut icon_salut

sahi hia isse bada dard shayad hiduniya mein koi ho.
Bahut bahut shukriya mere alfaazo ko samajhne ke liye...

Take care..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #20 on: June 25, 2009, 05:27:05 PM »
Waaaaaahhh... Bahut bahut accha likha hai tumne sweetu... daastan lambi thi... magar dard bara tha.. God bless you my angel. Bahut umda likha hai tumne... Thumbs UP

Hmmm daastan thodi lambi hogayi... par likhte likhte ehsaas hi nahi hua, uar uske baad usme se ek bhi lafz nikalne ka mann nahi hua...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #21 on: June 25, 2009, 05:29:23 PM »
Kya Kahun Angel Dear.. Lafz Nahi hain mere paas is Nazm ki Tareef ke liye.. Dil ko Chhoo jane Wale aur Dil tak utar jane wali Alfaaz likhe hain dear... Dard Ko Lafzon me Behad Khubsoorati se Piroya hai aapne.. daad Kubool Karen dost....!! Applause Applause


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


**~** Mann **~**

Bahut bahut shukriya Mann.. Tarif karne ke liye, padhne ke liye aur taaliyan bhi bajane ke liye, wo bhi itni saari...  Usual Smile

mere dard ka asar is tarha se hua yehi mere liye sab se bada appreciation hai...
notworthy
Logged
angel4u
Guest
«Reply #22 on: June 26, 2009, 02:48:52 AM »
Bahut bahut shukriya Kaash Ji...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #23 on: July 10, 2009, 06:29:55 PM »
Khwaish, aapne bhi bohot achcha reply likha hai  icon_thumleft

Bohot khoob Dost !

 Applause Applause Applause

Bahut bahut Shukriya Dost!!! icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #24 on: July 10, 2009, 06:32:14 PM »
Wah wah Angel ji and Khwaish ji,very very nice and beautiful creation. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley excellent.

Thankyou So Much Madhuji...Thanx For Always Appreciting My Work
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #25 on: July 10, 2009, 06:35:12 PM »
bahut pyara jwab diya h aapne Khwaish ji.....
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
           kabhi-kabhi bahut nazdikiyan bhi dooriyan ban k reh skti h....

           Khamoshiyan bhi bahut khuch keh skti h........bahut khub kha aapne Khwaish ji.....

Thankyou Soooooooooo Much Pooja.. icon_flower
Logged
Pooja
Guest
«Reply #26 on: July 10, 2009, 06:36:44 PM »
wah wah wah kaya baat hai bahoot khoon AANGEL AND KHWAISH JI
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #27 on: July 10, 2009, 06:39:59 PM »
Bahot bahot khoob likha hai aapne Angel ji,dard ki alag tarah se bayangi ki  aur Khwaish ji aapne bhi bahot acha likha hai

Bahut Bahut Shukriya Kaashji..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #28 on: July 10, 2009, 06:46:11 PM »
wah wah wah kaya baat hai bahoot khoon AANGEL AND KHWAISH JI

Bahut Bahut Shukriya Pooja..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #29 on: July 10, 2009, 06:54:58 PM »

Bahut bahut shukriya khwaish Ji, ye to aapka apnapan hia ke aapko meri har nazm khoobsurat lagti hai. Kehte hia na jiski nazrein khoobsurat hoti hia use apne ird gird sab chizein khoobsurat lagti hia. Hmmm kafi lambi hai isliye itmenaan se padhne ki zaroorat hai. Shukriya aapne apna waqt hamein aru hamari nazm ko diya...


Bahut Bahut Shukriya Ke Aapne Itna Kuch Keh Diya Par Sach To Yehi hai Ke Itni Khoobsurat nazm Ki Tareef Mein Kuch Kam Kehna To Beimaani Si rehti Thi...Isliye Phir Se Bahut bahut Khoob Huzena.. Thumbs UP

Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 01, 2024, 03:36:26 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.167 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer