Khwabon ka bharam toot gaya...

by angel4u on March 23, 2007, 06:27:40 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3232 times)
angel4u
Guest
Apne Bistar Pe Bahut Der Se Main Neem Daraz,
Sochta Tha Ke Wo Is WaQt Kahan Par Hoga,
Main Yahan Hoon Magar Us Koocha-E-Rang-O-Boo Mein,
Roz Ki Tarahse Wo Aaj Bhi Aaya Hoga,

Aur Jab Usne Wahan Mujhko Na Paaya Hoga,
Aap Ko Ilm Hai Wo Aaj Nahi Aayi Hai?
Meri Har Dost Se Usne Yehi Puchha Hoga,
Kyon Nahi Aayi Wo? Kya Baat Hui Hai Aakhir?

Khud Is Baat Par Sau Baar Wo Uljha Hoga,
Kal Wo Ayegi To Main Usse Nahi Bolunga,
Aap Hi Aap Ke Baar Wo Rootha Hoga,
Wo Nahi Hai To Bulandi Ka Safar Kitna Kathin,

Sidiyan Chadte Hue Usne Socha Hoga,
Raahdaari Mein, Hare Lawn Mein, Phoolon Ke Kareeb,

Usne Har Simt Mujhe Aa Ke Dhunda Hoga,
Naam Bhulne Se Jo Mera Kahin Aaya Hoga,
Gair Mehsoos Tareeke Se Wo Chaunka Hoga,
Ek Jumle Ko Kayi Baar Sunaya Hoga,

Baat Karte Hue Sau Baar Woh Bhoola Hoga,
Ye Jo Ladki Nayi Aayi Hai Kahin Wo To Nahi,
Usne Har Chehra Yehi Sochke Dekha Hoga,
Jaan-E-Mehfil Hai Magar Aaj FaQt Mere Bagair,
Hai Kis Darja Wohi Bazm Mein Tanha Hoga,

Kabhi Sannaton Se Wehshat Jo Hui Hogi Use,
Usne Besakhta Phir Mujhko Pukara Hoga,
Chalte Chalte Koi Maanoos Si Aahat Paakar,
Doston Ko Bhi Kisi Uzr Se Roka Hoga,

Yaad Karke Mujhe Nam Ho Gayi Hongi Palkein,
Aankh Mein Pad Gaya Kuch Keh Ke Taala Hoga,
Aur Ghabra Ke Kitabon Mein Jo Le Hogi Panah,
Har Satr Mein Mera Chehra Ubhar Aaya Hoga,

Jab Mili Hogi Use Meri Haalaat Ki Khabar,
Usne Aahista Se Deewar Ko Thama Hoga,
IttefaQan Mujhe Us Shaam Meri Dost Mili,
Maine Puchha Ke Suno, "Aye The Kya Wo? Kaise The?"

Usne Ek Lamhe Ko Dekha Mujhe Aur Phir Hans Di,
Us Hansi Mein To Wo Talkhi Thi Ke Usse Aage,
Kya Kaha Usne Mujhe Yaad Nahi Hai Lekin,
Itna Malum Hai..........
Itna Malum Hai.....
"KHWABON KA BHARAM TOOT GAYA"
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khwaab toot gaye........Jal gaya ashiaana !!!!!! by Talat in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
pyarr toot gaya!!! by nice_off_me in Shayri-E-Dard
Rishta bhi toot gaya by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 8 9 »
ITNA MALOOM HAI.......................KHWABON KA BHARAM TOOT GAYA by faheem_akayla in Shairi - E - Zindagi
ek bharam tha, jo tut gaya, by jyuthika in Miscellaneous Shayri
Talat
Guest
«Reply #1 on: March 23, 2007, 07:31:55 PM »
Very nice sharing Angel. Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2 on: March 24, 2007, 05:26:46 PM »
Thanks Talat Ji... Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: March 24, 2007, 10:09:32 PM »
Khwaabon ka bharam toot gaya
Jab koi apna hi is dil ko loot gaya
Sath jis par chale the kisi ke saath
Wo rasta jaane kahan chooth gaya
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #4 on: March 25, 2007, 02:48:53 PM »
very nice angel n nice one talat;
Logged
angel4u
Guest
«Reply #5 on: March 25, 2007, 05:03:01 PM »
Thanks Nidhi
Nice one talat ji...

Khwabon ka bharam toot gaya,
manzil tak aake wo tanha chhod gaya,
jaane kahan le jaye ab zindagi ki raahein,
ek samundar ko hi wo pyaasa chhod gaya...
Logged
Talat
Guest
«Reply #6 on: March 25, 2007, 05:12:54 PM »
Thanks Nidhi ..Angel....! Nice one Angel.

Khwabon ka bharam toot gaya
Jaane kyun wo dilbar rooth gaya
Humne to mohabbat ki dil-o-jaan se
Pyaar ka wo bandhan kaise toot gaya
Logged
Roja
Guest
«Reply #7 on: March 25, 2007, 05:16:14 PM »
wah bahut khoob angel and talat
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: March 25, 2007, 05:23:26 PM »
Thank You Roja
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #9 on: March 26, 2007, 03:22:30 AM »
Bohat khoob Angel & Talat....
Logged
angel4u
Guest
«Reply #10 on: March 26, 2007, 05:29:34 PM »
Quote from: "Talat"
Thanks Nidhi ..Angel....! Nice one Angel.

Khwabon ka bharam toot gaya
Jaane kyun wo dilbar rooth gaya
Humne to mohabbat ki dil-o-jaan se
Pyaar ka wo bandhan kaise toot gaya


Thanks Roja Aryaan and Talat ji...

Khwabon ka bharam toot gaya,
aankh micholi ka khel chhut gaya,
kehta tha saath saath rahunga sada,
jab mod aaya bin soche samjhe akela hi mud gaya... sad5
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: March 27, 2007, 12:40:18 PM »
Thank You Aryaan

Khwaabon ka bharam toot gaya
Khwaab to hote hi hain bikharne ke liye
Humne phir bhi palkon par sajaye
Magar ek aas ka diya jalta tha kahin
Wo diya bhi aaj hai bujh gaya
Khwabon ka bharam toot gaya
Logged
paani
Guest
«Reply #12 on: March 28, 2007, 04:42:58 AM »
Nice angle n talat n all u guys
Logged
Talat
Guest
«Reply #13 on: March 28, 2007, 11:16:43 AM »
Thanks Paani
Logged
angel4u
Guest
«Reply #14 on: March 28, 2007, 05:50:21 PM »
Thanks paani...

Khwabon ka bharam toot gaya,
koi apna pardesi ho gaya,
banayi thi jo pariyon ki kahani,
unko apne saath kahin le gaya sad5
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 08:25:02 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.091 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer