Koi sawal na ho

by Pooja on November 24, 2008, 09:48:24 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1946 times)
Pooja
Guest
Ajeeb sa mood ho gaya hai.... pata nahi kisi ko yah bhawnaaye samjh bhi ayegi ya nahi... magar jo man mai ayya... ek saans main likh gai hu yaha....

Chalna hai chalo sung mere, per koi sawal na ho
Nahi hai koi jawab mere pass, bas yahi ek khayal ho

Dhundhla rahe hai rastein, dil chahe na koi pass ho
Nahi chahiye koi panah, door talak sirf asmaan ho

Jhool rahi hu zakhmo main, dawa ka Nishan na ho
Raste bhoole, chaale phoote, ahh ka kahin naam na ho

Door talak tanha khamoshi, awaz ka kahin naam na ho
Chalna hai chalo sung mere, per koi sawal na ho…..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sawal..... by roshni246 in Shayri for Khumar -e- Ishq
sawal by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
sawal***** by Pooja in Miscellaneous Shayri « 1 2 3 4 5 »
@ SAWAL @ by baadal102 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Sawal by NehaK in Shayri-E-Dard
abdbundeli
Guest
«Reply #1 on: November 25, 2008, 08:24:24 AM »

Door talak tanha khamoshi, awaz ka kahin naam na ho
Chalna hai chalo sung mere, per koi sawal na ho…..

Bahut khoob Pooja ji!
         - abd bundeli
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: November 25, 2008, 04:16:20 PM »
Bahut khoob Pooja ji!
         - abd bundeli

BAHOOT BAHOOT SHUKARIA ABD JI!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: November 25, 2008, 04:17:10 PM »
Pooja Ji Aapki Is Rachna Ne
Hume Tareef Karne Par Majboor Kar Diya
Bohat Hi Umda Likha Hai Aapne Lagey Raho.

thanks shihab... mujhe to laga tha ki shayd yah kavita kisi ko pasand nahi aai hai.. kal se intzaar tha ki koi kuch to likhe.. achi ya boori..
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #4 on: November 25, 2008, 04:37:13 PM »
bahoot khoob likha pooja ji..ek alag hi tarah ka anokha kalam...daad kabool karen

tum bhi behtar, mai bhi achcha,
beeti baaton ka malal na ho,

ba-parda rahe tu bhi,
meri begunahi pe bhi koi sawal na ho,

basanti rang hon jeevan me,
sukhe rangon ka gulal na ho

aao fir se pyaar karen,
nafraton ka khayal na ho,
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: November 25, 2008, 04:46:56 PM »
sabse pahle to bahoot bahoot shukaria bekarar ji... commnets ke sath jawab main kuch likhneke liye...

bahoot acha likha hai apne...


tum ho ache, tabhi to sathi tumko mana hai
per dil darta hai, jo tumne sawal manga hai

begunahi per teri, kaha koi jawab manga hai
zakhamo mere per, bas nahi koi sawal manga hai

phir se karu pyar, kaya bas itna he tune mujhko jaana hai
nafrat nahi koi, per ajj bhi dil ne ussi ko apna mana hai
Logged
Talat
Guest
«Reply #6 on: November 25, 2008, 04:48:21 PM »
Bohot Khoob Pooja...Ye lines hi bohot kuch keh rahi hain:

"Chalna hai chalo sung mere, per koi sawal na ho"

...an equally good reply bSanjeev
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: November 25, 2008, 04:49:34 PM »
 Thankyou ! Celmira!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: December 31, 2008, 07:09:05 PM »
bahoot khoob Shihab ji!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: February 25, 2009, 09:17:34 PM »
Meri Aankhon Se Aankhein Churaata Kyun Hai
Gar Mohabbat Nahi Mujhse To Ghabrta Kyun Hai.

Agar Itna Hi Gair Hoon Mein Tere Liye To Phir
Har Pal Mere Intazar Main Palkein Bichhata Kyun Hai.

Sach Main Gar Meri Yaad Tujhpe Koi Asar Nahi Karti
To Akele Main Phir Mere Naam Ke Geet Gaata Kyun Hai.

Teri Nazar Sab Bayaan Kar Deti Hai Haal Tere Dil Ka
To Phir Aey HumDum Apna Haal.e.Dil Chhupata Kyun Hai.

Khud Mujhe Mana Kar Rahi Ho Koi Bhi Sawaal Karne Se
Phir Khud Khamosh Rehkar Khudko Itna Satata Kyun Hai.



hai muhobaat itni ki najar jhuk gai
ankhon main bebasi ki ek tasveer chup gai

mil kar tujhse, gair ho gaye hai khud se
khud ki khud se he pehchan bhool gai

yaadon ka such dasta hai is kadar zindagi ko
her yaad teri ansoo ban kar ankho se beh gai

najare meri batati hai dil ke mera sab haal
Phir bhi tere sawalo ki yah jhari lag gai


Logged
pankshivam
Guest
«Reply #10 on: February 25, 2009, 09:58:39 PM »
Ajeeb sa mood ho gaya hai.... pata nahi kisi ko yah bhawnaaye samjh bhi ayegi ya nahi... magar jo man mai ayya... ek saans main likh gai hu yaha....

Chalna hai chalo sung mere, per koi sawal na ho
Nahi hai koi jawab mere pass, bas yahi ek khayal ho

Dhundhla rahe hai rastein, dil chahe na koi pass ho
Nahi chahiye koi panah, door talak sirf asmaan ho

Jhool rahi hu zakhmo main, dawa ka Nishan na ho
Raste bhoole, chaale phoote, ahh ka kahin naam na ho

Door talak tanha khamoshi, awaz ka kahin naam na ho
Chalna hai chalo sung mere, per koi sawal na ho…..

Awesome Poojaji Applause Applause Applause
Ek Ek Line Dil Ko Chhu Gayi
 
Logged
Roja
Guest
«Reply #11 on: February 26, 2009, 01:47:13 AM »
Ajeeb sa mood ho gaya hai.... pata nahi kisi ko yah bhawnaaye samjh bhi ayegi ya nahi... magar jo man mai ayya... ek saans main likh gai hu yaha....

Chalna hai chalo sung mere, per koi sawal na ho
Nahi hai koi jawab mere pass, bas yahi ek khayal ho

Dhundhla rahe hai rastein, dil chahe na koi pass ho
Nahi chahiye koi panah, door talak sirf asmaan ho

Jhool rahi hu zakhmo main, dawa ka Nishan na ho
Raste bhoole, chaale phoote, ahh ka kahin naam na ho

Door talak tanha khamoshi, awaz ka kahin naam na ho
Chalna hai chalo sung mere, per koi sawal na ho…..


Jo mann mein aaya aapne likh diya... but bahut badiya likha hai
as usual in simple hindi... mujhe toh bahut accha laga padkar..
Aur yeh sher padkar mujhe kahi pada ek gazal yaad aagaya.
Mai yahan share kar rahi hu. Hope you too read and enjoy.  Usual Smile
================
Na sawal ban ke mila karo,na jawab ban ke mila karo
Meri zindagi mere khawab hein,mujhe khawab ban ke mila
karo

Har shaam ko mere dosto na azaab ban ke mila karo
Mujhe me-kade mein milo agar to sharaab ban ke mila maro

Abhi sochna he to soch lo,abhi chorna he to chore do
Naye mosamon mein milo agar to gulab ban ke mila karo

Mujhe ache log mile buhat,mein to un ke qarz se mar gaya
Gar ho sake to kabhi kabhi to kharab ban ke mila karo

Na tum is tarah se mila karo,na tum us tarah se mila karo
Haan hazur ban ke mila karo,Haan janab ban ke mila karo
Logged
Roja
Guest
«Reply #12 on: February 26, 2009, 01:50:44 AM »
Meri Aankhon Se Aankhein Churaata Kyun Hai
Gar Mohabbat Nahi Mujhse To Ghabrta Kyun Hai.

Agar Itna Hi Gair Hoon Mein Tere Liye To Phir
Har Pal Mere Intazar Main Palkein Bichhata Kyun Hai.

Sach Main Gar Meri Yaad Tujhpe Koi Asar Nahi Karti
To Akele Main Phir Mere Naam Ke Geet Gaata Kyun Hai.

Teri Nazar Sab Bayaan Kar Deti Hai Haal Tere Dil Ka
To Phir Aey HumDum Apna Haal.e.Dil Chhupata Kyun Hai.

Khud Mujhe Mana Kar Rahi Ho Koi Bhi Sawaal Karne Se
Phir Khud Khamosh Rehkar Khudko Itna Satata Kyun Hai.



Wah wah... Majid bahut khoob  Applause
Logged
pandit
Guest
«Reply #13 on: February 26, 2009, 01:54:12 AM »
Ajeeb sa mood ho gaya hai.... pata nahi kisi ko yah bhawnaaye samjh bhi ayegi ya nahi... magar jo man mai ayya... ek saans main likh gai hu yaha....

Chalna hai chalo sung mere, per koi sawal na ho
Nahi hai koi jawab mere pass, bas yahi ek khayal ho

Dhundhla rahe hai rastein, dil chahe na koi pass ho
Nahi chahiye koi panah, door talak sirf asmaan ho

Jhool rahi hu zakhmo main, dawa ka Nishan na ho
Raste bhoole, chaale phoote, ahh ka kahin naam na ho

Door talak tanha khamoshi, awaz ka kahin naam na ho
Chalna hai chalo sung mere, per koi sawal na ho…..


GUD ONE POOJA JEE..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: February 26, 2009, 03:44:17 AM »
Jo mann mein aaya aapne likh diya... but bahut badiya likha hai
as usual in simple hindi... mujhe toh bahut accha laga padkar..
Aur yeh sher padkar mujhe kahi pada ek gazal yaad aagaya.
Mai yahan share kar rahi hu. Hope you too read and enjoy.  Usual Smile
================
Na sawal ban ke mila karo,na jawab ban ke mila karo
Meri zindagi mere khawab hein,mujhe khawab ban ke mila
karo

Har shaam ko mere dosto na azaab ban ke mila karo
Mujhe me-kade mein milo agar to sharaab ban ke mila maro

Abhi sochna he to soch lo,abhi chorna he to chore do
Naye mosamon mein milo agar to gulab ban ke mila karo

Mujhe ache log mile buhat,mein to un ke qarz se mar gaya
Gar ho sake to kabhi kabhi to kharab ban ke mila karo

Na tum is tarah se mila karo,na tum us tarah se mila karo
Haan hazur ban ke mila karo,Haan janab ban ke mila karo


Thanks Roja!! Good sharing!!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 05:15:37 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.205 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer