-Kucch Aur Bhi Iske Agge-

by HumTum on January 29, 2009, 10:42:42 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1151 times)
HumTum
Guest


Kucch aur bhi iske aage armaaN hai bahut
Kya kahen dil abhi se pareshaaN hai bahut

Ho zikr jab sitam_giri ka to tera naam aaye
Goya iss shahar mein teri pehcaN hai bahut

(Goya = Jaseey / a like)

Kanjar chala kar seene ko kar diya Ghayel
Aur us par khamoshi ka farmaaN hai bahut

Mere chaara_gaar tu mayuus kyun hai itna
Abhi iss dil-e-bemaar mein jaaN hai bahut

(Chaara_gar = Hakeem / Doctor)

Koi aisa ghar nai mila ke jiski talash thi
Kehne ko to is basti mein makaaN hai bahut

Ahad to karte hai bose ka magar dete nahin
Haye! ke Iss duniya mein be-imaaN hai bahut

(Ahad = wadda; Bosa = chumban/Kiss)

Kya marg chaayi hai adaam_zaat par, Ilaahi
Terii iss duniyaa mein kabarstaaN hai bahut

(Marg = Mout; Adaam_zaat = insaan)

Ik zra Gazal kahiye phir dekhiye "HumTum"
Iss mehfil mein aap ke kadardaaN hai bahut !!



HumTum
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #1 on: January 29, 2009, 11:29:54 AM »
Wah Wah Subhan Subhan Allah kya kahene is ghazal ke meri qalam sharmane lagi hai aur subaan tharane lagi hai eak aisa kalaam jo anmool hai aur anmool rahega aj se pahele kabhi yoindia pe itna acha kalam padne ko nahi mila agar samne hote to apko army ki taraha salaam karta humtum sahab ..allah apke is kalaam ko izzath de janab dil se duva hai ye !!

Ab eak ashar apke nazar karta hon jo ke is Ghazal ke nazar me haqeeq kahelayega !!

Ab meri nakami per kaikahe na laga Qadeer !!
Abhi is hayat-a-tangdasti me armaan hain bahoth !!

Qadeer Toopchi
Logged
HumTum
Guest
«Reply #2 on: January 29, 2009, 11:43:35 AM »
Shukriya Qadeer sahab... aap ko hamara kalaam nazar kiya aur pasand kiya to hume lga ke goya hamari mehnat safal hui... Shukriya.

aur kya likha hai aapne .... mazza aa gya... bahut khoob ... hum aap ki shayri ke qahil hai..... chalen karvaaN ko aage bhadaye .... kuch arz hai ... nazar kijiyega!


Hamara nikal jana hi ab munasib hai "HumTum"
Uski mehfil mein aur bhi mehmaaN hai bahut!!


HumTum
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: January 29, 2009, 12:35:33 PM »
Bohat Bohat Achche Humtum Bhaijaan,.

And Nice Lines Qadeer Bhaiya, As Usual,.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #4 on: January 29, 2009, 01:36:39 PM »
Mere alfaz shayed is Zabardast peshkash ke samne bohat chote lage....isiliye bas itna kahuga Subhan_allah  Clapping Smiley

Tere shero ko dad du, kaha mujme woh TAMEEZ
Tere likhe ke aage HUM TUM, GHAYEL nadaan hain bohat

                       -SG-
Logged
HumTum
Guest
«Reply #5 on: January 29, 2009, 02:06:09 PM »
Sajid bhai .. yeh kya keh gaye aap? iss zarre ko aftaab na likhiye ... jo auron ko ganwara na ho asei kitab na likhiye ..... bas yeh aap jaseey shayron ki hi mehrbaani hai ke chend alfaaz hum bhi likh lete hai... wagrna iss mehfil mein hamari aabru kya hai? Aap logo ki zianivaazi dekh kar .... Obaidullah Aleem sahab ka ik sher yaad aa gya....

Aziz itna hi rakho ke, jii behal jaye
Ab iss kadar bhi na chaho ke dum nikal jaye...

Chaliye yeh Carvaan aage badhte hai .. kucch sunte hai aap ki kucch apni sunte hai!


Phir kyu tanhaiyoN ka shikaar hai har shakhs?
Ke jab ke iss duniiyaa mein insaaN hai bahut !!



HumTum
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #6 on: January 29, 2009, 02:15:27 PM »
Thoda funny kardu....  DOH

Mohabbat to itni thi, ke bahga le jate use ghar se
Par kambakht ke hain bhai, Pehalwaan bahut  Feared.

                         -SG-
Logged
HumTum
Guest
«Reply #7 on: January 29, 2009, 02:19:46 PM »
Hahaha ...  chalo mazahiya bhi padne ko mil gya .... aur haan kissi ne khoob kha hai...yeh ishq nahi asaan bas itna jaan lijiye .. ik aag ka dariya hai tair ke jana hai..


Hum to ishq mein apni hadiiya todwa gaye
Kaun kambakat kehta hai ke AsaaN hai bahut?



HumTum
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 23, 2024, 10:46:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer