::Kuch to jawab do meri wafaaon ka....::

by nidhi_yadein on July 13, 2007, 06:36:32 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 4190 times)
Shikha12
Guest
«Reply #15 on: July 23, 2007, 08:15:30 AM »
Very Emotional Writing.. Nidhi...
and Very Very Touching...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
bas yahi kuch hai meri auqaat mein by husain52 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kuch nahi zindagi me meri by abdulqadeer in Ghazals
Wafaaon Ne Ujaada by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
silsila wafaaon ka by the soul shaker in Shayri-E-Dard
WafaaoN ke GharoNde ! by shara63 in Shayri for Khumar -e- Ishq
paani
Guest
«Reply #16 on: July 27, 2007, 08:52:57 AM »
Bhaut hi sundar likha hai nidhi....
Logged
Manav Mehra
Guest
«Reply #17 on: July 30, 2007, 02:31:52 PM »
Quote from: "nidhi_yadein"
"Wo bhi ek waqt tha,jab deewano jaisi meri haalat ho gayi thi,
 jab kisi ki mohabbat mein main poori tarah se kho gayi thi,

 na din k guzarne ka pata rehta tha,na raat ki aahat rehti thi,
 teri ek jhalak paane k liye din bhar betaab si main rehti thi,

 khumaar-e-ishq kuch yun us waqt mujhpe meherbaan tha yaaron,
 is duniya ki ibaarat se door,apne aap me gumsum si ho gayi thi,

 jaan liya hai ab maine mohabbat ko,har navz se waakif ho gayi,
 aisa bhi dard hai jise jeene me khushi milti hai,ye jaan gayi,
 
 jo pal jiye hain tadap-tadap ke teri mohabbat k liye maine,
 is janam to bhula na sakungi,gam jitne bhi zindagi ne diye,

 bohat koshishon ke baad bhi aaj bhi yaad karta hai dil tumhe,
 sambhalti hun itna isko,baawra ho jaata hai dekhte hi tumhe,

 kya haal bana diya hai tumne mera,kaisi zindagi ban chuki hai,
 jo mil nahi sakta,pal pal usi ki tamanna kyon karta hai ye,

 sachi mohabbat pe yakeen kiya tha,har wafa ko anjaam diya tha,
 jo ek sacha hamsafar karta hai,wo sab tere pyar me kiya tha,

 dil sab kuch bhula dene ko yun to taiyaar hai,bas ek sawal hai,
 kami kahan thi is mohabbat me,iske jawab ka mujhe intezaar hai,
 
 main maangti hun iska jawab bhagwan se,is poore jahaan se,
 par har koi khamosh rehta hai,ab sab bhula dun main kaise,

 kaise zindagi ke wo pal bhula dun jo sirf tumhare naam thhe,
 kitne ashq barson bahaaye thhe,sab is mohabbat ka anjaam thhe,
 
 kehte hain log,bhula ke sab kuch hanske zindagi ka swaagat karo,
 kya itna asaan hai kisi ke liye apne astitva ko mitaa paana,

 jab dil uske liye dhadakta hai to kaise kahin aur lag sakta hai,
 kaise in asqhon ko chupaaye koi kisi se nazar mila sakta hai,

 berang zindagi hai,kab tak rangon ki chaadar main odhe rahoon,
 bas tumhari kami hai,jo sabse badi hai kaise sabko samjhaaun,

 mere kuch sawaalon ka jawab de do to mukt ho jaaun main bhi isse,
 aur jee sakun fir apni zindagi,nibha sakun poori wafa khud se."


superb Nidhi ji... very impressive.
Logged
Talat
Guest
«Reply #18 on: August 02, 2007, 09:53:19 AM »
Beautiful Nidhi...humesha ki tarah bohot achcha likha hai......very touching....!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #19 on: August 02, 2007, 03:43:38 PM »
Quote from: "nidhi_yadein"
"Wo bhi ek waqt tha,jab deewano jaisi meri haalat ho gayi thi,
 jab kisi ki mohabbat mein main poori tarah se kho gayi thi,

 na din k guzarne ka pata rehta tha,na raat ki aahat rehti thi,
 teri ek jhalak paane k liye din bhar betaab si main rehti thi,

 khumaar-e-ishq kuch yun us waqt mujhpe meherbaan tha yaaron,
 is duniya ki ibaarat se door,apne aap me gumsum si ho gayi thi,

 jaan liya hai ab maine mohabbat ko,har navz se waakif ho gayi,
 aisa bhi dard hai jise jeene me khushi milti hai,ye jaan gayi,
 
 jo pal jiye hain tadap-tadap ke teri mohabbat k liye maine,
 is janam to bhula na sakungi,gam jitne bhi zindagi ne diye,

 bohat koshishon ke baad bhi aaj bhi yaad karta hai dil tumhe,
 sambhalti hun itna isko,baawra ho jaata hai dekhte hi tumhe,

 kya haal bana diya hai tumne mera,kaisi zindagi ban chuki hai,
 jo mil nahi sakta,pal pal usi ki tamanna kyon karta hai ye,

 sachi mohabbat pe yakeen kiya tha,har wafa ko anjaam diya tha,
 jo ek sacha hamsafar karta hai,wo sab tere pyar me kiya tha,

 dil sab kuch bhula dene ko yun to taiyaar hai,bas ek sawal hai,
 kami kahan thi is mohabbat me,iske jawab ka mujhe intezaar hai,
 
 main maangti hun iska jawab bhagwan se,is poore jahaan se,
 par har koi khamosh rehta hai,ab sab bhula dun main kaise,

 kaise zindagi ke wo pal bhula dun jo sirf tumhare naam thhe,
 kitne ashq barson bahaaye thhe,sab is mohabbat ka anjaam thhe,
 
 kehte hain log,bhula ke sab kuch hanske zindagi ka swaagat karo,
 kya itna asaan hai kisi ke liye apne astitva ko mitaa paana,

 jab dil uske liye dhadakta hai to kaise kahin aur lag sakta hai,
 kaise in asqhon ko chupaaye koi kisi se nazar mila sakta hai,

 berang zindagi hai,kab tak rangon ki chaadar main odhe rahoon,
 bas tumhari kami hai,jo sabse badi hai kaise sabko samjhaaun,

 mere kuch sawaalon ka jawab de do to mukt ho jaaun main bhi isse,
 aur jee sakun fir apni zindagi,nibha sakun poori wafa khud se."


Bohat hi khoob likha Nidhi... kya baat hai..
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 12:58:18 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer