::Kuch to jawab do meri wafaaon ka....::

by nidhi_yadein on July 13, 2007, 06:36:32 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 4191 times)
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
"Wo bhi ek waqt tha,jab deewano jaisi meri haalat ho gayi thi,
 jab kisi ki mohabbat mein main poori tarah se kho gayi thi,

 na din k guzarne ka pata rehta tha,na raat ki aahat rehti thi,
 teri ek jhalak paane k liye din bhar betaab si main rehti thi,

 khumaar-e-ishq kuch yun us waqt mujhpe meherbaan tha yaaron,
 is duniya ki ibaarat se door,apne aap me gumsum si ho gayi thi,

 jaan liya hai ab maine mohabbat ko,har navz se waakif ho gayi,
 aisa bhi dard hai jise jeene me khushi milti hai,ye jaan gayi,
 
 jo pal jiye hain tadap-tadap ke teri mohabbat k liye maine,
 is janam to bhula na sakungi,gam jitne bhi zindagi ne diye,

 bohat koshishon ke baad bhi aaj bhi yaad karta hai dil tumhe,
 sambhalti hun itna isko,baawra ho jaata hai dekhte hi tumhe,

 kya haal bana diya hai tumne mera,kaisi zindagi ban chuki hai,
 jo mil nahi sakta,pal pal usi ki tamanna kyon karta hai ye,

 sachi mohabbat pe yakeen kiya tha,har wafa ko anjaam diya tha,
 jo ek sacha hamsafar karta hai,wo sab tere pyar me kiya tha,

 dil sab kuch bhula dene ko yun to taiyaar hai,bas ek sawal hai,
 kami kahan thi is mohabbat me,iske jawab ka mujhe intezaar hai,
 
 main maangti hun iska jawab bhagwan se,is poore jahaan se,
 par har koi khamosh rehta hai,ab sab bhula dun main kaise,

 kaise zindagi ke wo pal bhula dun jo sirf tumhare naam thhe,
 kitne ashq barson bahaaye thhe,sab is mohabbat ka anjaam thhe,
 
 kehte hain log,bhula ke sab kuch hanske zindagi ka swaagat karo,
 kya itna asaan hai kisi ke liye apne astitva ko mitaa paana,

 jab dil uske liye dhadakta hai to kaise kahin aur lag sakta hai,
 kaise in asqhon ko chupaaye koi kisi se nazar mila sakta hai,

 berang zindagi hai,kab tak rangon ki chaadar main odhe rahoon,
 bas tumhari kami hai,jo sabse badi hai kaise sabko samjhaaun,

 mere kuch sawaalon ka jawab de do to mukt ho jaaun main bhi isse,
 aur jee sakun fir apni zindagi,nibha sakun poori wafa khud se."
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
bas yahi kuch hai meri auqaat mein by husain52 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kuch nahi zindagi me meri by abdulqadeer in Ghazals
Wafaaon Ne Ujaada by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
silsila wafaaon ka by the soul shaker in Shayri-E-Dard
WafaaoN ke GharoNde ! by shara63 in Shayri for Khumar -e- Ishq
niraj_191
Guest
«Reply #1 on: July 13, 2007, 06:49:08 PM »
ultimate words nidhi!!!

i m impress by your poetry...

unhe aaj bhi apne deewane se kuch sikva hai
sari umr unhe kuch keh na saka bas yahi bat ka mujhe gila hai

hame bhi aapke intzar me kafi kuch mila hai
tanhayee ho humsafar jiski use ab kya gila hai

Online iPhone Screensaver -  be the first to win!
myscreensavers.info/media/iphone.scr
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #2 on: July 13, 2007, 07:11:24 PM »
thanx niraj...aapne bhi bohat khoob likha.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: July 13, 2007, 07:18:46 PM »
bahoot khoob nidhi... bahoot dino baad apko pada hai.. atte raha kare!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: July 13, 2007, 07:26:40 PM »
"dil sab kuch bhula dene ko yun to taiyaar hai,bas ek sawal hai,
 kami kahan thi is mohabbat me,iske jawab ka mujhe intezaar hai"

BAHUT KHOOB NIDHI JI... UMDA LIKHA HAI AAPNE

MAANGU BAS UNHE
YEH IBAADAT DEDE
EH KHUDA TERE KHAZANE SE
THODI SI MOHABBAT DEDE
KAASH WOH SAATH NIBHAYE
HAMARA UMAR BAR KA.....
YA PHIR UNKE DAR PAR
MARNE KI IJAAZAT DEDE
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #5 on: July 13, 2007, 07:39:27 PM »
Thanx a lot Pooja ji,nice 2 c u,i hope u r doing fine Usual Smile and thanks a lot khwaish....nice lines by u also.
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #6 on: July 13, 2007, 07:48:20 PM »
Nidhi, Niraj, Khwaish

Bahut acha laga aap sab ko ek doosre ke saath likhte hue dekh kar =D>

Nidhi

You are too good. Bravo =D>

Ab zara jaldi jaldi aaya karo aur likha karo !
Logged
sanya310
Guest
«Reply #7 on: July 14, 2007, 11:11:37 AM »
bohot hi khubsoorat likha hai nidhi.. lovelyy Usual Smile
keep writing.. readin ur shayri after a loong loong time.. miss u hun
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #8 on: July 14, 2007, 06:42:05 PM »
Thanx bhaiya n sanya....haan yaar kaafi din baad try maara hai,waise i also miss ur poetry,ab tum bhi kuch likh do,bohat din ho gaye.

Thanx majid,kya karun..ek baar start karti hun to end hi nahi hota tongue3....fir jab hosh aata hai tab aap-sab padhne walon pe reham karna yaad aata hai :lol: .neways thanx a lot.
Logged
Ricky
Yoindian Shayar
******

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 3 hours and 56 minutes.

Posts: 2455
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #9 on: July 14, 2007, 06:56:50 PM »
A beautiful title given to  touchings lines !
Logged
ISHPREET
Guest
«Reply #10 on: July 14, 2007, 07:01:51 PM »
wah nidhiji..bahut ache...beutifully expressed..equally well written nirajji & kwaish
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #11 on: July 15, 2007, 05:54:16 PM »
Thanx Ricky n Ishpreet for ur admiring words.
Logged
punam
Guest
«Reply #12 on: July 16, 2007, 07:35:02 AM »
wow nidhi...bahot khoob likha...nice to c ..and also waiting to some more .....
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #13 on: July 18, 2007, 08:30:27 AM »
Quote from: "nidhi_yadein"
"Wo bhi ek waqt tha,jab deewano jaisi meri haalat ho gayi thi,
 jab kisi ki mohabbat mein main poori tarah se kho gayi thi,

 na din k guzarne ka pata rehta tha,na raat ki aahat rehti thi,
 teri ek jhalak paane k liye din bhar betaab si main rehti thi,

 khumaar-e-ishq kuch yun us waqt mujhpe meherbaan tha yaaron,
 is duniya ki ibaarat se door,apne aap me gumsum si ho gayi thi,

 jaan liya hai ab maine mohabbat ko,har navz se waakif ho gayi,
 aisa bhi dard hai jise jeene me khushi milti hai,ye jaan gayi,
 
 jo pal jiye hain tadap-tadap ke teri mohabbat k liye maine,
 is janam to bhula na sakungi,gam jitne bhi zindagi ne diye,

 bohat koshishon ke baad bhi aaj bhi yaad karta hai dil tumhe,
 sambhalti hun itna isko,baawra ho jaata hai dekhte hi tumhe,

 kya haal bana diya hai tumne mera,kaisi zindagi ban chuki hai,
 jo mil nahi sakta,pal pal usi ki tamanna kyon karta hai ye,

 sachi mohabbat pe yakeen kiya tha,har wafa ko anjaam diya tha,
 jo ek sacha hamsafar karta hai,wo sab tere pyar me kiya tha,

 dil sab kuch bhula dene ko yun to taiyaar hai,bas ek sawal hai,
 kami kahan thi is mohabbat me,iske jawab ka mujhe intezaar hai,
 
 main maangti hun iska jawab bhagwan se,is poore jahaan se,
 par har koi khamosh rehta hai,ab sab bhula dun main kaise,

 kaise zindagi ke wo pal bhula dun jo sirf tumhare naam thhe,
 kitne ashq barson bahaaye thhe,sab is mohabbat ka anjaam thhe,
 
 kehte hain log,bhula ke sab kuch hanske zindagi ka swaagat karo,
 kya itna asaan hai kisi ke liye apne astitva ko mitaa paana,

 jab dil uske liye dhadakta hai to kaise kahin aur lag sakta hai,
 kaise in asqhon ko chupaaye koi kisi se nazar mila sakta hai,

 berang zindagi hai,kab tak rangon ki chaadar main odhe rahoon,
 bas tumhari kami hai,jo sabse badi hai kaise sabko samjhaaun,

 mere kuch sawaalon ka jawab de do to mukt ho jaaun main bhi isse,
 aur jee sakun fir apni zindagi,nibha sakun poori wafa khud se."


bohot khoob nidhi!!!

humne to manga unke liye kushiyon ka gulistan tha,
apne dil me basaya usko jo humare liye anjan tha,
tod diya unse pal bar me ek pyar bare dil ko "Meena",
shayad humara hi kasoor tha, jo huamra hi dil itna nadan tha!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: July 19, 2007, 05:55:39 PM »
TANHA HO JAB KABHI TO MUJHE DHOOND LENA
IS JHOOTI DUNIYA SE NAHI
APNE DIL SE KABHI POOCH LENA
AAPKE AAS PAAS HI REHTE HAI HUM
YAADON SE NAHI TO
GUZARTE LAMHON SE POOCH LENA
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 03:49:59 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer