Main Aur Kya Karta.!!!

by majid on July 09, 2008, 08:00:57 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2167 times)
majid
Guest
Aankhon Main Udaasi Ke Baadal Chhaye Hain.
Aise Main Na Muskuraata To Aur Kya Karta.

Aksar Apno Ko Dedi Khushiyan Apne Hissey Ki
Apni Tamannaon Ko Na Mitaata To Aur Kya Karta.

Andheron Ne Aksar Aake Maangi Roshini Mujhse
Main Apne Ghar Ko Na Jalaata To Aur Kya Karta.

Meri Tarha Woh Bhi Besahara Thi Is Duniya Main
Tanhaai Ko Gale Se Na Lagaata To Aur Kya Karta.

Lad To Sakta Tha Main Bhi Zamaane Se.e.Dost
Magar Sanam Hi Saath Na De To Aur Kya Karta.!!!
Logged
syednaami
Guest
«Reply #1 on: July 09, 2008, 08:06:12 AM »
Wah wah,,, Shihab baba kya khoob dard aur bebassi ka izhaar...
Kam hi aisa ashaar nazar aate hain...
Keep going,,,.

Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #2 on: July 09, 2008, 08:07:58 AM »
 Applause Applause Applause bahoot kuch kah diya aapne dil ko choo gai aapki gazal...
in do lines ne to khas tour se

Meri Tarha Woh Bhi Besahara Thi Is Duniya Main
Tanhaai Ko Gale Se Na Lagaata To Aur Kya Karta
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #3 on: July 09, 2008, 08:27:54 AM »
shihab ji bohut hi achi rachna hai aapki
bohut hi sundar aur saral shabdon mei aapne dard ko bayaan kiya hai

tanhaai ko jab meine apni tanha paaya
to saath uska maine aur mera usne nibhaya
log to apna banakar loot le jaate hain sab kuch
tanhaai ne hamara yaadon ka aashiyaana sajaya

Logged
Muhammed
Guest
«Reply #4 on: July 09, 2008, 09:26:05 AM »

Andheron Ne Aksar Aake Maangi Roshini Mujhse
Main Apne Ghar Ko Na Jalaata To Aur Kya Karta.

Meri Tarha Woh Bhi Besahara Thi Is Duniya Main
Tanhaai Ko Gale Se Na Lagaata To Aur Kya Karta.


Bhai Shihaab
Bahot Bahot Badhiya Ash'aar Hai Aapke
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #5 on: July 09, 2008, 11:33:40 AM »
shihab Bhai Bahut Bahut.. bass isi Andaaz Ke to Kayal hain aapke..!!

Ki Bahut hi Saral Lafzon me aap Apne eahsaaas Bayan kar dete Hain.. !!!


**~** Mann **~**
Logged
Talat
Guest
«Reply #6 on: July 09, 2008, 12:22:02 PM »
Bohot Khoob Shihab and Bhawna !
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #7 on: July 09, 2008, 08:22:25 PM »
sihaab bhai,

zabardast kavita padhne ko mil gayi.lutf aa gaya aapki shaayri pudh kur!

khushnaseeb hein woh
jinhe tanhai ne hi sahi
pur gale to lagaaya
apna kandha diya
jis pur sur rakh kur
tumne ashru bahaaya
kuch shaksh aise bhee he
is jahaan mein
jinhe apno ne sataaya
aur tanhai ne bhee
nahi apnaaya
mehaz bunkar reh gaya jo
ek shunya
aur sochta raha
woh is jahaan mein
kyon aaya..kyon aaya!

Prateek
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #8 on: July 10, 2008, 02:26:45 AM »
Bahut accha likha hai sabne... sihab jee, sanjeev bhaiya, Bhawna jee,

Muhammad jee, Mann bhaiya, aur Prateek Mardia jee
Logged
sarthika
Guest
«Reply #9 on: July 10, 2008, 03:49:50 AM »
sihaab bhai,

zabardast kavita padhne ko mil gayi.lutf aa gaya aapki shaayri pudh kur!

khushnaseeb hein woh
jinhe tanhai ne hi sahi
pur gale to lagaaya
apna kandha diya
jis pur sur rakh kur
tumne ashru bahaaya
kuch shaksh aise bhee he
is jahaan mein
jinhe apno ne sataaya
aur tanhai ne bhee
nahi apnaaya
mehaz bunkar reh gaya jo
ek shunya
aur sochta raha
woh is jahaan mein
kyon aaya..kyon aaya!

Prateek


wah kaya likha hai:

kuch shaksh aise bhee he
is jahaan mein
jinhe apno ne sataaya
aur tanhai ne bhee
nahi apnaaya
mehaz bunkar reh gaya jo
ek shunya
aur sochta raha
woh is jahaan mein
kyon aaya..kyon aaya!
Logged
sarthika
Guest
«Reply #10 on: July 10, 2008, 03:50:33 AM »
Aankhon Main Udaasi Ke Baadal Chhaye Hain.
Aise Main Na Muskuraata To Aur Kya Karta.

Aksar Apno Ko Dedi Khushiyan Apne Hissey Ki
Apni Tamannaon Ko Na Mitaata To Aur Kya Karta.

Andheron Ne Aksar Aake Maangi Roshini Mujhse
Main Apne Ghar Ko Na Jalaata To Aur Kya Karta.

Meri Tarha Woh Bhi Besahara Thi Is Duniya Main
Tanhaai Ko Gale Se Na Lagaata To Aur Kya Karta.

Lad To Sakta Tha Main Bhi Zamaane Se.e.Dost
Magar Sanam Hi Saath Na De To Aur Kya Karta.!!!


bahoot khoob!!
Logged
punam
Guest
«Reply #11 on: July 10, 2008, 05:59:07 AM »
Aankhon Main Udaasi Ke Baadal Chhaye Hain.
Aise Main Na Muskuraata To Aur Kya Karta.

Aksar Apno Ko Dedi Khushiyan Apne Hissey Ki
Apni Tamannaon Ko Na Mitaata To Aur Kya Karta.

Andheron Ne Aksar Aake Maangi Roshini Mujhse
Main Apne Ghar Ko Na Jalaata To Aur Kya Karta.

Meri Tarha Woh Bhi Besahara Thi Is Duniya Main
Tanhaai Ko Gale Se Na Lagaata To Aur Kya Karta.

Lad To Sakta Tha Main Bhi Zamaane Se.e.Dost
Magar Sanam Hi Saath Na De To Aur Kya Karta.!!!


wowwwwwwwwww bahot khoob shihab ji..bahut khoobsurat andaaz hai dard bayan karne ka ...bahot acha laga...
Logged
punam
Guest
«Reply #12 on: July 10, 2008, 06:03:44 AM »
Bahot khoob  kaushikbhawna ji ...Muhammed ji...Prateek ji...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #13 on: July 10, 2008, 07:57:31 AM »
Aankhon Main Udaasi Ke Baadal Chhaye Hain.
Aise Main Na Muskuraata To Aur Kya Karta.

Aksar Apno Ko Dedi Khushiyan Apne Hissey Ki
Apni Tamannaon Ko Na Mitaata To Aur Kya Karta.

Andheron Ne Aksar Aake Maangi Roshini Mujhse
Main Apne Ghar Ko Na Jalaata To Aur Kya Karta.

Meri Tarha Woh Bhi Besahara Thi Is Duniya Main
Tanhaai Ko Gale Se Na Lagaata To Aur Kya Karta.

Lad To Sakta Tha Main Bhi Zamaane Se.e.Dost
Magar Sanam Hi Saath Na De To Aur Kya Karta.!!!

..

Bohat khoob likha hai shihab ... Thumbs UP
Logged
syednaami
Guest
«Reply #14 on: July 10, 2008, 08:25:00 PM »
sihaab bhai,

zabardast kavita padhne ko mil gayi.lutf aa gaya aapki shaayri pudh kur!

khushnaseeb hein woh
jinhe tanhai ne hi sahi
pur gale to lagaaya
apna kandha diya
jis pur sur rakh kur
tumne ashru bahaaya
kuch shaksh aise bhee he
is jahaan mein
jinhe apno ne sataaya
aur tanhai ne bhee
nahi apnaaya
mehaz bunkar reh gaya jo
ek shunya
aur sochta raha
woh is jahaan mein
kyon aaya..kyon aaya!

Prateek


Prateek Mitr,,,

Wah ,,, Kya andaaz-e-jawaab hai,,, jis tarz se diya khoob diya aur khoob munfarid laga... buhat pasand aaya...
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 01:55:12 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.163 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer