mann ambar se..... manjum

by manjum on April 02, 2011, 08:15:18 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1653 times)
manjum
Guest
Mann ambar se jab aansu ka baadal jharta hai.
Tum kya jano mann ke andar kya bikharta hai.

Banana chahte hain kab ham bandh nayano par,
Inhin aansu main dhulke ye mann aur nikharta hai.

Giri bijli jo sapnon par to ghabarane se kya hoga,
Inhin kuchh awasaron par hontho par ek geet tirta hai.

Wo jab aayi thi ik aandhi wo parawar aaya tha,
Usi main bhiga hai ye mann aur ab tak nitarta hai.

Subah patton pe jab dikhti hain nanhin oss ki bunde,,
Karo viswas suna "mann" fir se sanwarta hai.

manju "mann"





Logged
nirala
Guest
«Reply #1 on: April 02, 2011, 08:21:17 AM »
uff…
bht umda ghazal.
jada kuch bolne ko shabd nahi mere pass.
be happy
Logged
manjum
Guest
«Reply #2 on: April 02, 2011, 08:23:52 AM »
bahut bahut shukriya niralaji.... aapne pasand kiya....

sath rahiega.....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: April 02, 2011, 08:24:13 AM »
Mann ambar se jab aansu ka baadal jharta hai.
Tum kya jano mann ke andar kya bikharta hai.

Banana chahte hain kab ham bandh nayano par,
Inhin aansu main dhulke ye mann aur nikharta hai.

Giri bijli jo sapnon par to ghabarane se kya hoga,
Inhin kuchh awasaron par hontho par ek geet tirta hai.

Wo jab aayi thi ik aandhi wo parawar aaya tha,
Usi main bhiga hai ye mann aur ab tak nitarta hai.

Subah patton pe jab dikhti hain nanhin oss ki bunde,,
Karo viswas suna "mann" fir se sanwarta hai.

manju "mann"







Waah Waah Waah!!!!

Bahut Bahut Aur bahut Khoob Anju ji..

Lajawaab!!! Hauslo Ko Buland Karti Hui Yeh peshkash Mann Ko Lubha Gayi..


Bahut Hi khoobsurat Ehsaas

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Logged
manjum
Guest
«Reply #4 on: April 02, 2011, 08:27:08 AM »
bahut bahut shukriya khwaishji....... aapne pasand kiya....

duaye dete rahie... sath rahie........
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #5 on: April 02, 2011, 10:10:36 AM »
bht bht khoob manju ji...
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #6 on: April 02, 2011, 03:49:10 PM »
Manjum Jee Aadaab!

Aapki kalaam ho to aur bhi dilchhaspi badh jati hai padhne meiN humari... KyuN ke aapke ahsaas O khayaal to khoob hai hi aur aapki bayaani bhi behad khoob rahti isliye... Usual Smile

Chaliye aapki kalaam par aate haiN.... Usual Smile

           



Mann ambar se jab aansu ka baadal jharta hai.
Tum kya jano mann ke andar kya bikharta hai.

Behad sahiN farmaya Manjum jee daad Usual Smile
Waqai koi kia jaane kise ke dil ka haal Usual Smile         


Banana chahte hain kab ham bandh nayano par,
Inhin aansu main dhulke ye mann aur nikharta hai.

Muaf kijiyeNga Manjum jee hume aapki paheli line samajh nahi aayi... Means hume aapka yeH sher hi samjh nahi aaya icon_scratch         

Giri bijli jo sapnon par to ghabarane se kya hoga,
Inhin kuchh awasaron par hontho par ek geet tirta hai.

Waah yeH behad khoo kaha hai daad daad Usual Smile         

Wo jab aayi thi ik aandhi wo parawar aaya tha,
Usi main bhiga hai ye mann aur ab tak nitarta hai.

Hmmm kafi achcha sher hai daad Usual Smile         

Subah patton pe jab dikhti hain nanhin oss ki bunde,,
Karo viswas suna "mann" fir se sanwarta hai.

Maqta bhi bahut achcha raha Manjum jee daad Usual Smile         

manju "mann"



Aise hi likhate rahiye..
Koshish Jari rakhiye...
Khush O aabaad rahiye...
Khuda Hafez Usual Smile         

Logged
ANAAM
Guest
«Reply #7 on: April 02, 2011, 03:57:15 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
MAST Poem Manju.....khoob achhe shabdon ka upyog aur behtareen bhaav....

Kaise naapoge mere mann kee peer
Rehte ho tum dost nadiya kay teer

Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 41 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #8 on: April 02, 2011, 06:21:41 PM »
BAHUT KHUB

Mann ambar se jab aansu ka baadal jharta hai.
Tum kya jano mann ke andar kya bikharta hai.

Banana chahte hain kab ham bandh nayano par,
Inhin aansu main dhulke ye mann aur nikharta hai.

Giri bijli jo sapnon par to ghabarane se kya hoga,
Inhin kuchh awasaron par hontho par ek geet tirta hai.

Wo jab aayi thi ik aandhi wo parawar aaya tha,
Usi main bhiga hai ye mann aur ab tak nitarta hai.

Subah patton pe jab dikhti hain nanhin oss ki bunde,,
Karo viswas suna "mann" fir se sanwarta hai.

manju "mann"






Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #9 on: April 02, 2011, 07:42:27 PM »
Bahut hi taazgi bhara kalaam raha manju mann ji..
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #10 on: April 03, 2011, 03:55:33 AM »
Mann ambar se jab aansu ka baadal jharta hai.
Tum kya jano mann ke andar kya bikharta hai.

Banana chahte hain kab ham bandh nayano par,
Inhin aansu main dhulke ye mann aur nikharta hai.

Giri bijli jo sapnon par to ghabarane se kya hoga,
Inhin kuchh awasaron par hontho par ek geet tirta hai.

Wo jab aayi thi ik aandhi wo parawar aaya tha,
Usi main bhiga hai ye mann aur ab tak nitarta hai.

Subah patton pe jab dikhti hain nanhin oss ki bunde,,
Karo viswas suna "mann" fir se sanwarta hai.

manju "mann"


Very Impressive Creation ..... Manjum Ji !

Tahe dil se daad hazir hai ... qubuul farmaayeN ... !!!!
Logged
manjum
Guest
«Reply #11 on: April 04, 2011, 03:39:46 AM »
bahut bahut shukriya manzilji....... sath dene ke lie...

sath rahiega......
Logged
manjum
Guest
«Reply #12 on: April 04, 2011, 03:45:25 AM »
bahut bahut shukriya parwazji.....

hame bhi jab bhi kuchh likhte hain to aapke coment ka intzar hota hai...

parwazji  aapne jo dusre sher ki baat kahi to ham kahna chah rahe the ki... jaise nadi ke pani ko rokne ke lie bandh (dam) banaya jata hai pani bahar na aa sake... to ham aapne aankho main koi dam nahin banana chahte matlab aansuo ko rikna nahin chahte.... pata nahin bata pae ki nahin ki ham kya kahna chah rahe the......

yahi wajh hai ki aapke comment ka intzar rahta hai ki aap ek ek baat ko samjhte aur samjhate hain..

sath rahiyega.....
Logged
manjum
Guest
«Reply #13 on: April 04, 2011, 03:47:24 AM »
bahut bahut shukriya annamji.... bas kuchh hindi shabdo ka prayog kiya hai... pasand karne ke lie thanks... aapki line bhi sundar aur bahut badiya hain..

sath rahie.....
Logged
manjum
Guest
«Reply #14 on: April 04, 2011, 03:49:41 AM »
bahut bahut shukriya shihabji.......

pasand karne ke lie...

sath rahie.......
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 10:40:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.148 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer