Mein Aur Meri Qaid-e-Tanhai Ki "Pukaar"

by Zamir Ka Qaidi on October 12, 2006, 09:01:58 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 4250 times)
Zamir Ka Qaidi
Guest
Mainey kaha kitna kartey ho mujh se payar
Uss ne kaha aankhain meri par liya karo

Mainey kaha yun kab talak milain ge istara jana
uss ne kaha ghoor na itna kiyya karo

Mainey kaha mujh ko chahiyee tumhara saath
Uss ne kaha apney KHUDA se dua karoo

Maine kaha zehan-o-dil pe bara hai boojh
Uss ne kaha tanhayee main ro liya karo

Mainey kaha aankhoon main barhney lagi nami
Uss ne kaha jhootey se hi hans liya karo

Mainey kaha mausam be maza sa hai
Uss ne kaha ghazal koi sun liya karo

Mainey kaha kahaan rehtey ho aaj kal
Uss ne kaha jaan shaq na itna kiyya karo

Mainey kaha meri wafaoon ka sila kahaan
Uss ne kaha apni hadoo main raha karo
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
""Tanhayi Ke Aalam Mein"" by angel4u in Share: Poetry of Pain « 1 2  All »
"meri zindagi mein aaye" by aaina in Ghazals « 1 2  All »
Mujhse Meri Tanhai Naa Cheeno "Khwaish" by khwahish in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Ek Hi Darja Hai Sab Ka..'Ek Pukaar'...."Khwaish" by khwahish in Miscellaneous Shayri
Main Aur Meri Tanhai.!!-----------"Sagar" by Advo.RavinderaRavi in Ghazals
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #1 on: October 13, 2006, 04:45:04 AM »
Kuck Log Badal Gaye Hain...."

Is Raat Ki...Tanhayeeon K
Sab Rang Badal Gaye Hain
Chand Nikla Hai Waisay He
Andharay Badal Gaye Hain..

Jin K Bharosay Theen Khushian
Woh Badal Thahar Gaye Hain
Manzilain To Ab Bhi Woh He Hain
Kuch Rastay Badal Gaye Hain..

Jin Pe Kiya Tha Bharosa Hum Nay
Woh Dost Bichar Gaye Hain
Dekhay Thay Jo Hum Nay
Woh Khwab Badal Gay Hain..

Jo Banay Thay Kabhi Humsafar
Aaj Woh He Mukar Gaye Hain
Iss Tutay Huay Dil K Saray
Jazbaat Badal Gaye Hain..

Na Badlay Kabhi Hum
Na Badlay Humaray Khayalat
Bas Rona Hai Yehi~Qaidi
KUCH LOG BADAL GAYE HAIN
Logged
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #2 on: October 13, 2006, 07:47:18 PM »
Dard Woh Hai Jiska Koi Humdard Bhi Nahee
Manzil Woh Hai Jiska Koi Saathi Bhi Nahee

Sapnay Woh Hai Jismey Koi Apnay Bhi Nahee
Dil Woh Hai Jismey Koi Dhadkan Bhi Nahee

Aankhey Woh Hai Jismey Koi Hya Bhi Nahee
Sumander Woh Hai Hey JisMey Koi Lehreyn Bhi Nahee

Mohabat Woh Hai Hey JisMey Koi Manjil Bhi Nahee
Payar Woh Hai JisMey Koi Hya Bhi Nahee

Dil Woh Hai JisMey Koi Rah Bhi Nahee
Phool Woh Hai Jismey Koi Kushbo Bhi Nahee

Mahek Woh Hai Jis Mey Taazgi Bhi Nahee
Bhook Woh Hai Jiski Ko Payas Bhi Nahee

Payas Woh Hai Jiski Koi Aas Bhi Nahee
Zindagi Won Hai Jismey Koi Maza Bhi Nahee

Moot Woh Hai ~ QaidiJiska Koi Pata Bhi Nahee
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #3 on: October 13, 2006, 08:36:52 PM »
  din sab kat hi gae kaam bahut
raat taaren hai jo saathi apne
inko hai sab hi hai pata
inse chhupa kuchh bhi nahi
sare sapne bhi hain toote
inhone dekhe
saare vo phool mohbbat ke
inhone dekhe
inke saath raat basar hoti hai
inaki bhi dastaan hamsi hai
toote taron ki kahani
jo maine inase suni
apna gham halka laga
inaki daastaan jo suni
ab yehi dost hain apne
apni har raat bas
inke naam hoti hai
 
Logged
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #4 on: October 13, 2006, 09:05:27 PM »
Well Done
Quote from: "tabassum shakeel"
  din sab kat hi gae kaam bahut
raat taaren hai jo saathi apne
inko hai sab hi hai pata
inse chhupa kuchh bhi nahi
sare sapne bhi hain toote
inhone dekhe
saare vo phool mohbbat ke
inhone dekhe
inke saath raat basar hoti hai
inaki bhi dastaan hamsi hai
toote taron ki kahani
jo maine inase suni
apna gham halka laga
inaki daastaan jo suni
ab yehi dost hain apne
apni har raat bas
inke naam hoti hai
 
Logged
angel4u
Guest
«Reply #5 on: October 14, 2006, 05:24:30 PM »
bahut khoob...


Sar Jhukaoge To Pathar Bhi Devta Ho Jayega,
Itna Mat Chaho Use Wo Bewafa Ho Jayega,

HuM Dariya Hain HaMein Apna Hunar MaluM Hai,
Jis Taraf Bhi Chal Padeinge Raasta Ho Jayega,

Main Khuda Ka NaaM Le Ke Pee Raha Hoon Doston,
Zeher Bhi Hoga Agar IsMe Dawa Ho Jayega...(NM)
* * * * *
Logged
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #6 on: October 14, 2006, 10:43:24 PM »
Thank You  Angel ji



yaadon ke sab rang ura kar tanha hoon
apni basti se duur aakar tanha hoon
koi nahin hai meray jaisa charoon taraf
apne gird aik bheer saja kar tanha hoon
jitne loog hian utni hi aawazein hain
lehjoon ka toofan urra kar tanha hoon
rooshniyon ke aadi kaise janain gay
ankhoon main do deep jala kar tanha hoon
jis manzar se main guzra tha us ke saath
aaj usi manzar main aakar tanha hoon
pani ki lehroon par behti aankoon main
kitne bhoolay khwab jaga kar tanha hoon
apne aap ko kho denay ki khwahish main
us ka bhi ik naam bhula kar tanha hoon
Logged
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #7 on: October 15, 2006, 01:35:12 PM »
kase kahoon apna bana lou muje
bahoon main apni sama lou muje

bin tumharey aik pal bhi ab katta nahi
tum aa ker muji se chura lou muje

zindagi tou woh hai sang tumharey jo guzrey
dunya kay gamoon say ab chura lou muje

meri sab say gehri khuwahish hou puri
tum agar pass apnay bula lou muje

yeh kaisa nasha hai jou behka raha hai
tumhara hoon main tou sambhalo muje

najanay phir kaisay guzrey gi zindagi~Qaidi
agar apnay dil say kabhi tum nikalo muje
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #8 on: October 15, 2006, 04:33:32 PM »
Quote from: "Zamir Ka Qaidi"
kase kahoon apna bana lou muje
bahoon main apni sama lou muje

bin tumharey aik pal bhi ab katta nahi
tum aa ker muji se chura lou muje

zindagi tou woh hai sang tumharey jo guzrey
dunya kay gamoon say ab chura lou muje

meri sab say gehri khuwahish hou puri
tum agar pass apnay bula lou muje

yeh kaisa nasha hai jou behka raha hai
tumhara hoon main tou sambhalo muje

najanay phir kaisay guzrey gi zindagi~Qaidi
agar apnay dil say kabhi tum nikalo muje


apna banana na mujhe
ghale se laghana na mujhe

zindagi hai woh jo muskurate huwe guzrey
duniya hai aik dariya isse mein dhobne na dena mujhe

ishq kiya hai tujhse
app marne ke liye chor na dena mujhe :D:D:D:D
Logged
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #9 on: October 15, 2006, 05:44:47 PM »
Again Wonderful

Kaisa Raha yeh Jawab

Tum juda ho ker humhe aur pyare hogaye
they kareeb tu dur they Ab humhare ho gaye

Ek ek saans mai yaad ban ke mehktey ho tum
Ho gaye ho khafa fir bhi mujh mai dharakte ho tum

Dhoondta hai humhe piar ka rasta aaj bhi
Aa rhi hia yehi dharkano se sada aaj bhi


Dur ho to laga meri ankhon ke tum rastey
Tha pata ye kaha tum mere is qadr paas they

Dar nahi raat ka meri palkoo ke jugno tu hai
Saath ab tum nahi mere sathi ye anso tu hain

Tum juda ho ker humhe aur pyare ho gaye
They kareeb tu dur they ab humhare ho gaye
Logged
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #10 on: October 15, 2006, 07:17:43 PM »
Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Nay
Eik , Eik Phool Bohat Yaad Aaya
Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Nay
Aaj Tak Jis Pay Woh Shermatay Hain
Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Nay
Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Hua
Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay
Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh
Aaj Phir Us Ko Dua Di Hum Nay
Koi To Baat Hia Us Main~Qaidi
Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay
Logged
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #11 on: October 16, 2006, 03:45:15 AM »
khubsoorat hain woh lafZ
ju dosroon ko samjhade
khubsoorat hai woh muskurahat
jo dosaroon kay chehroon per bhi muskan saja day
khubsoorat hain wo jazbat
jo kisi ka ehsaas karain
khubsoorat hain woh batain
jo kisi kaa dil na dukhaein
khubsoorat hain woh aansu
jo kisi kay dard ko
mehsoos ker kay beh jaein
khubsoorat hain woh qadam
jo kisi ki madad kay liye
aagay barhein !!!!! khubsoorat hai woh insaan
jis ko "KHUDA" ne yeh
khubsoorati ataa ki
Logged
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #12 on: October 16, 2006, 01:41:05 PM »
Kisi ko mohabbat ki sachai mar dalegi
kisi ko mohabbat ki gehrai mar dalegi
karke mohabbat koi nahi bachega
jo bach gaya usey tanhai mar dalegi.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 12 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: October 16, 2006, 02:31:47 PM »
Bahoot Khoob Zameer Husena And Tabassum Didi,.

Lage Raho,m..
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #14 on: October 16, 2006, 02:33:23 PM »
Quote from: "Zamir Ka Qaidi"
Kisi ko mohabbat ki sachai mar dalegi
kisi ko mohabbat ki gehrai mar dalegi
karke mohabbat koi nahi bachega
jo bach gaya usey tanhai mar dalegi.



Nice one ZKQ.... :D



Just a try from my side:

Maut ke dar par le aayi humey tanhaayi...
Humney gale phir lagaayi yehi tanhaayi....
Tu ney diya kya mujhey fakat is ke siwa,
Har kadam par hai paayii humney tanhaayi...

Haath chuda kar chaley tum mera jab ghar se,
Deewaar aur har kona sehem gaya is darr se...
Tere jaaney sey yeh ghar veeran sa ho jaata hai,
Har kamrey mey hastii payii humney tanhaayi....

Subah sey hum ney kiya tera intezaar phir se,
Ek baar umeed laga li apney pyaar se phir se...
Chaukhat par khadey ho kar guzaara har lamha,
Dhalti Shaam hai ley aayii phir wohi tanhaayi....

[/b]
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 07:47:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.303 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer