Mera Hona Na Hona

by Sonia01 on July 06, 2008, 10:08:41 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 4171 times)
Sonia01
Guest
Mera Hona Na Hona...Ik Barabar hai
Tum Apnay Khal-o-Khad Ko Aiynay Main Phir Nikharnay Do
Tum Apni Ankh Ke Basti Main Phir Say Ik Naya Mosaam Utarnay Do!
Meray Khwaboon ko Mernay Do
Nai Tasweer Dekho
Phir Naya Maktoob Likhoo
Phir Naye Mosaam Naye Lafzoon say APna Silsila Joro
Meri Mazi Ke Chahat Raigaan Samjhoo
Meri Yadoon Say Kachay Rabtay Toro
Chalo Choro!!!
Mohabat Jhoot Hai!!
Ehd-e-Wafa Ik Shughal Hai Bekaar Logon ka
(NM)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
...Meri Hona Hi Hai... by Devdas_online in Shayri for Khumar -e- Ishq
****Mera Avatar Kaisa Hona Chahiye?**** by Devdas_online in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
tumhara gussa hona jayaz tha by BHONDU in Shayri-E-Dard
mera mauke par hona by jeet hindi shayar in Other Languages
woh jo hona tha wo to hona tha---Adeem Hashmi saahab by ghayal_shayar in Urdu Poets
Sonia01
Guest
«Reply #1 on: July 06, 2008, 10:10:15 AM »
Muhabbat kis terha hotee hai koi jaan na paayaa

Na koi jaan paaeygaa mager ye jaantey hain sub
Muhabbat ho hii jaatee hai
Kabhi dil me achanak ek bijlee see chamaktee hai
Kabhi taptey huway sehraa may do boonden barastee hain
kabhi kanton bharee daalee may chand kalaiyna chataktee hain
to phir ehsaas hotaa hai k aisai he
kise lamha kisee saaat muhabbat ho he jaatee hai
kabhi sanglaakh chotee say koi chashma ubalta hai
kabhi weeraan raaton may koi jugnu chamakta hai
kabhi sehmey huway bachchey ka aik aansoo jo girta hai
to phir ehsaas hotaa hai k aisai he
kise lamha kisee saaat muhabbat ho he jaatee hai
(NM)
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #2 on: July 07, 2008, 07:16:13 AM »
Mohabat Jhoot Hai!!
Ehd-e-Wafa Ik Shughal Hai Bekaar Logon ka..


Kya baat hai sonia Ji,
Bahot Hi Badhiya aakhri Do Line Hai

Aur Muhabbat Kis Tarha Hoti Hai..??

Bahot Hi Pyare andaaj Me Sonia Ji Pesh Kiya Hai

Nice Sharing
Logged
kiiller_1
Guest
«Reply #3 on: July 07, 2008, 07:45:33 AM »
 AAP KA HONA DUS KE BARABAR HE
TUMHE HAKIQAT HO KHAWAB NAHI HO
TUM APNI ANKHON MEIN MERE SIVA KISI KI TASVIR MAT AANE DENA
MEIN APNI AANKHO MEIN KOI MAUSAAM BADAL NE NA DUNGA
TUM JINDA HO MERE KHAWABO MEIN USE MARNE NAHI DUNGA
MEIN TUMHARE MaRzi Ke Chahat KO BAUGH BANA DUNGA
TUMHARI YAAHO KO CHORUNDA NAHI
ISHQ KYA HE  JAB HOGA TAB ZINDGI KITNI PYARI HE PATA CHAL JAYEGA sunny
Logged
syednaami
Guest
«Reply #4 on: July 07, 2008, 09:09:06 AM »
Quote from: sonia01
Na koi jaan paaeygaa mager ye jaantey hain sub
Muhabbat ho hii jaatee hai
Kabhi dil me achanak ek bijlee see chamaktee hai
Kabhi taptey huway sehraa may do boonden barastee hain
kabhi kanton bharee daalee may chand kalaiyna chataktee hain

Yeh lines buhat achhi lageen,,,
Sonia01 Jee badhiya shayiri paish ki aap ne...
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #5 on: July 07, 2008, 09:45:54 AM »
Mera Hona Na Hona...Ik Barabar hai
Tum Apnay Khal-o-Khad Ko Aiynay Main Phir Nikharnay Do
Tum Apni Ankh Ke Basti Main Phir Say Ik Naya Mosaam Utarnay Do!
Meray Khwaboon ko Mernay Do
Nai Tasweer Dekho
Phir Naya Maktoob Likhoo
Phir Naye Mosaam Naye Lafzoon say APna Silsila Joro
Meri Mazi Ke Chahat Raigaan Samjhoo
Meri Yadoon Say Kachay Rabtay Toro
Chalo Choro!!!
Mohabat Jhoot Hai!!
Ehd-e-Wafa Ik Shughal Hai Bekaar Logon ka
(NM)

Muhabbat kis terha hotee hai koi jaan na paayaa

Na koi jaan paaeygaa mager ye jaantey hain sub
Muhabbat ho hii jaatee hai
Kabhi dil me achanak ek bijlee see chamaktee hai
Kabhi taptey huway sehraa may do boonden barastee hain
kabhi kanton bharee daalee may chand kalaiyna chataktee hain
to phir ehsaas hotaa hai k aisai he
kise lamha kisee saaat muhabbat ho he jaatee hai
kabhi sanglaakh chotee say koi chashma ubalta hai
kabhi weeraan raaton may koi jugnu chamakta hai
kabhi sehmey huway bachchey ka aik aansoo jo girta hai
to phir ehsaas hotaa hai k aisai he
kise lamha kisee saaat muhabbat ho he jaatee hai
(NM)


 Applause Applause bahoot khoobsurat likha hai...sis
Logged
gulzargul
Guest
«Reply #6 on: July 08, 2008, 02:40:14 PM »
 Applause nice very nice

gulzar Clapping Smiley
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: July 08, 2008, 02:57:27 PM »
bahoot khoob sonia
Logged
Satya.patel
Guest
«Reply #8 on: December 18, 2008, 05:35:42 PM »
kya baat kahi hai sonia ji bahoot khub,

Wafa ka naam faqat kaagazoN pe dikhta hai
    Miley heiN logh bahut yaar ka chehra lekar..
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #9 on: December 18, 2008, 05:41:47 PM »
Nice sharing Sonia Ji
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 04:59:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer