~~~~ Meri Qabr Bikharti Hai ~~~~ {Angel}

by angel4u on May 04, 2009, 04:59:05 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1322 times)
angel4u
Guest

Soyi Aaj Is Jagah Main Lagta Hai Ek Pal Jaise Baras Beete,
Tanhaayi Meri Qabr Mein Itni Shiddat Se Gunjti Hai,

Dhoondti Hai Meri Aankhein AshQon Ke Sailaab Ko,
Mitti Mere Qabr Ki Har Ek Boond Yun Sametti Hai,

Aake Aaj Wo Meri Qabr Par Roya Be-Intehaan,
Dekh Ke Usko Aise Haal Mein Meri Rooh Tadapti Hai,

Aye Khuda Baksh De Mujhe Bas Ek Pal Ki Zindagi,
Keh Sakun Usse, Mat Rowo Ke Meri Qabr Bikharti Hai,

Geeli Hai Abhi Mere Qabr Ki Mitti Zara Dhyan Rakho,
Teri Ye Namm Aankehin Meri Rooh Tak Ko Bhigoti Hai,

Zindagi Ne Bahut Dukh Diye The Hoon Yahan Sukoon Se,
Na Udaas Ho Sanam, Teri Deewani Yahan Sukoon Se Rehti Hai,

Jiski Aankh Mein Tha Tera Sapna Wo Aankhein Ab Na Khulegi Kabhi,
Jo Thi Teri Jaan Kabhi Aaj Is Qabr Ke Seene Mein Dhadakti Hai,

Bahut Mann Karta Hai Tere Seene Se Lagne Ka Jaanam,
Tere Us Ehsaas Se Ye Qabr Ki Mitti Bhi Mehekti Hai,

Hai Pata Tujhe Tera Har Ek AshQ Dega Takleef Mujhe,
Phir Kyon Teri Aankhon Se Ye Barsaat Nahi Thamti Hai,

Ya Allah Meri Har Neki Ka Hisaab Itna Sa Kar De,
Khush Rahe Wo Sada, Ye Nachiz Bas Itni Si Dua Mangti Hai,

Kyon Rakh Rahe Ho Ye Gulaab Ke Phool Meri Qabr Par,
Hamein Inki Narmahat Bhi Na Jaane Ab Bahut Chubhti Hai,

Ghar Jao Kyon Khudko Ruswa Yun Karate Ho, Duniya Zalim Hai,
Wo To Qabrastan Mein Aane Tak Ka Jawab Maangti Hai,

Ab To Hai Janmon Ke Faasle Tere Aur Mere Darmiyaan,
Zindagi Ki Zanjeeron Se Meri Rooh Rihayi Maangti Hai,

Teri Judayi Ne Diya Hai Jo Ranj-o-Gam Mere Humnasheen,
Nass Nass Meri Ab Tere Chhuan Ki Shifa Maangti Hai,

Milenge Kabhi Khwabon Mein, Kabhi Khayalon Mein Hum Phir Se,
Keh Do Ab KHUDA HAFIZ Sanam, Mujhe Neend Bahut Aati Hai...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
woh aaye qabr par meri aur kehne lage..... by jianrangrej in Shayeri for Dard -e- Bewafai
{{Meri Tamanna}}........... {Angel} by angel4u in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
Qabr Ke Sannate _______________ {Angel} by angel4u in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
...... Qabr Ki Mitti Meri ...... by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
~~~Tu Meri Qabr Se ~~~ by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #1 on: May 04, 2009, 05:02:58 PM »
Very nice Angel Ji
SARVESH RASTOGI
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2 on: May 04, 2009, 05:04:58 PM »
Thanks Sarvesh Ji
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 46 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: May 04, 2009, 05:43:07 PM »
Angel,Dard aur maauyusi se bhari nazm hai yeh..Padhte-Padhte aankhein Nam ho gayi..
Bahut Bahut Khoob!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4 on: May 05, 2009, 02:45:43 AM »
Bahut shukriya Khwaish Ji, YOur comments are always valuable for me...

mujhe lagta hia kuch zyada hi lambi hogayi poem sad5
khair. aage se dhyan rakhungi.
Logged
Roja
Guest
«Reply #5 on: May 05, 2009, 02:51:54 AM »
Quote
Aake Aaj Wo Meri Qabr Par Roya Be-Intehaan,
Dekh Ke Usko Aise Haal Mein Meri Rooh Tadapti Hai,

Aye Khuda Baksh De Mujhe Bas Ek Pal Ki Zindagi,
Keh Sakun Usse, Mat Rowo Ke Meri Qabr Bikharti Hai,

Geeli Hai Abhi Mere Qabr Ki Mitti Zara Dhyan Rakho,
Teri Ye Namm Aankehin Meri Rooh Tak Ko Bhigoti Hai,

Zindagi Ne Bahut Dukh Diye The Hoon Yahan Sukoon Se,
Na Udaas Ho Sanam, Teri Deewani Yahan Sukoon Se Rehti Hai,

Angel...... Applause Applause Applause
Bahut bahut accha likha hai tumne yaar... her ek wordings dil mein gehra asar kar gaya ... sabhash yaar Thumbs UP

Logged
angel4u
Guest
«Reply #6 on: May 05, 2009, 02:53:16 AM »
Thanks re Roja. You always appreciate my poems, bhale kaisa bhi likha ho, ye poem lamba laga, par thank you so much for sparing so much time for me. Usual Smile
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #7 on: May 05, 2009, 06:11:50 AM »
very very nice angel ji.
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #8 on: May 05, 2009, 06:15:24 AM »
Mind blowing Angel Kya kamal ka likha hai.. Dard ke ehsaas ko bakhudbhi bayaan kiya hai.. Aur Tum sach mea bahoot bahoot acha likhi ho. keep writing... dear
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #9 on: May 05, 2009, 09:17:44 AM »
Bahut bahut achhe Angel ji....kamal ka likha hai aapne Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: May 05, 2009, 12:17:00 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohot khoob Angel ..... Dil ko dukha si gayi ye nazm...itni dard se bhari itni maayoosi se ghiri.....Shayari-e-Dard main isse behtar ghazal kya ho sakti hai !!

Keep writing dear...May Allah always bless you !
Logged
angel4u
Guest
«Reply #11 on: May 05, 2009, 03:37:06 PM »
very very nice angel ji.

Thanks Madhuwesh Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #12 on: May 05, 2009, 03:38:12 PM »
Mind blowing Angel Kya kamal ka likha hai.. Dard ke ehsaas ko bakhudbhi bayaan kiya hai.. Aur Tum sach mea bahoot bahoot acha likhi ho. keep writing... dear

Oh thank you so much sweety Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #13 on: May 05, 2009, 03:38:57 PM »
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohot khoob Angel ..... Dil ko dukha si gayi ye nazm...itni dard se bhari itni maayoosi se ghiri.....Shayari-e-Dard main isse behtar ghazal kya ho sakti hai !!

Keep writing dear...May Allah always bless you !

Thanks Talat. Bas kahin kahin laga tha ke kuch zyada likh diya hia, thank you so much for always appreciating my work Usual Smile
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 08:28:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.213 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer