Meri qismat ko wo ay kaash! badaltaa dekhe

by Ghulam Haider on November 05, 2014, 10:59:21 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 916 times)
Ghulam Haider
Guest
Meri qismat ko wo ay kaash! badalta dekhe.
Zindagaani ki naie raah pe chalta dekhe.

Apne jis husn pe rahta tha wo har dam maghroor,
Waqt ke saath wo us husn ko dhalta dekhe.

Ishq hai mujh ko jo har waqt jawaaN rehta hai,
Shama' ki tarh se wo khud ko pighalta dekhe.

Mera dushman hai jo be dard ba-sad hasrat o yaas,
Mere dil ka har ek armaan nikalta dekhe.

Us ne jo aag lagaaie thi a'daavat me meri,
Khud ko be dil wo usi aag meN jalta dekhe.

Chaahta tha ke wo dekhe mujhe barbaad magar,
Mujh ko Haider wo sadaa phoolta phalta dekhe.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #1 on: November 05, 2014, 05:04:20 PM »
waaaaaaaaaaaaaaaaaah bahut khoob Ghulam Haider saaheb, achhi ghazal kahi hai, dheroN daad.
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #2 on: November 05, 2014, 09:19:09 PM »
waah waah waaaaaaaaaH, dheron daad Rau ke saath.
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
laaiba
Guest
«Reply #3 on: November 06, 2014, 09:25:14 AM »
waah laajawab, bohat c daad
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #4 on: November 20, 2014, 03:40:35 AM »
waaaaaaaaaaaaaaaaaah bahut khoob Ghulam Haider saaheb, achhi ghazal kahi hai, dheroN daad.

Mohtaram Iftakhar Ahmad Sahib aap ki zarrah nawaazi ke liye tah e dil se shukr guzaar hooN. Allah aap ko shaad o aabaad rakhe.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #5 on: November 20, 2014, 03:44:13 AM »
waah waah waaaaaaaaaH, dheron daad Rau ke saath.
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Biraadaram surindarn Saahib aap ki pur khuloos daad aur khusoosan rau ke liye be had shukr guzaar hooN. Sadaa khush raheN.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #6 on: November 20, 2014, 03:50:40 AM »
waah laajawab, bohat c daad
Mohtaramah laaiba Saahibah tahiyyah tayyebah!
Aap ki tavajjoh haqeer ke kalaam par huie ye mere liye baRi khushi ki baat hai.
Daad o sitaaish ke ke liye intihaayi tashakkur.
 Hameeshe khush o khurram basheed.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 07:56:04 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer