Meri Sabse Acchi ...Poetry Shayad (Tanhayee ki mehfil )

by clicksahil on May 16, 2005, 06:11:23 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 870 times)
clicksahil
Guest
yun bhi kabhi gamon ka pyala chalak pade
ras ban ke phool phool se khushbu tapak pade
kitna he main chupaun ghazal ke libas mein
tera wajood kahi na kahi se jhalak pade
iss roshni ko qaid kare bhi to koi kya,
jis roshni ke deep bahot dur tak pade
main chup khada raha jo khyalon ki gunj mein
meri taraf sadaaon ke patthar lapak pade
kis ped se tha rishta ab zikr kya karein
andhi chali to phool gire phal tapak pade
Samait lei humne umeed ki jhoothi yaadein
Jaante hai takdeer ke haatho majboor hai!
Gham sirf is baat ka hai ki
Kaash is dil ko samjhana humare bas mei hota!
Uljhaa hai dil uljhe hue sawaloon mei
Ki bankar reh gayee har shaam e zindagi
Tanhayee ki mehfil!
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #1 on: May 16, 2005, 06:13:06 AM »
Quote from: "clicksahil"
yun bhi kabhi gamon ka pyala chalak pade
ras ban ke phool phool se khushbu tapak pade
kitna he main chupaun ghazal ke libas mein
tera wajood kahi na kahi se jhalak pade
iss roshni ko qaid kare bhi to koi kya,
jis roshni ke deep bahot dur tak pade
main chup khada raha jo khyalon ki gunj mein
meri taraf sadaaon ke patthar lapak pade
kis ped se tha rishta ab zikr kya karein
andhi chali to phool gire phal tapak pade
Samait lei humne umeed ki jhoothi yaadein
Jaante hai takdeer ke haatho majboor hai!
Gham sirf is baat ka hai ki
Kaash is dil ko samjhana humare bas mei hota!
Uljhaa hai dil uljhe hue sawaloon mei
Ki bankar reh gayee har shaam e zindagi
Tanhayee ki mehfil!
wah sahil,bohat acche se tanhaiyon ka aalam pesh kiya hai appne,likhte rahiyega.
Logged
clicksahil
Guest
«Reply #2 on: May 16, 2005, 06:36:10 AM »
thnx nidhi

ab naza ka alam hai tum apni muhabbat wapas lo
jab kashti doobne lagti hai to bhoj utara karte hain

kabhi to aisi bhi rut bhej mosmon ke khuda
ke mere ghar ka pata bhool jaye tanhayi

Kitna chaha hai tujhe, soch kabhi gor to kar
ham to apne bhi kabhi itne talabgar na the
Logged
tajinder
Guest
«Reply #3 on: May 16, 2005, 06:42:21 AM »
Kuch din to baso meri ankhon mein
fir khwaab agar ho jao to kya,
koi rang to do mere chehre ko
fir zakhm agar mehkao to kya,
ik aaina tha so toot gaya
ab khud se agar sharmao to kya,
main tanha tha main tanha hoon
tum aao to kya, na aao to kya,
jab hum hi na mehke fir sahib
tum *baad-e-saba kehlao to kya,
jab dekhne wala koi nahin
jal jaao to kya, bujh jaao to kya.

*baad-e-saba  = khusboo ka jhonka
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #4 on: May 16, 2005, 06:44:06 AM »
Quote from: "tajinder"
Kuch dino to baso meri ankhon
fir khwaab agar ho jao to kya,
koi rang to do mere chehre ko
fir zakhm agar mehkao to kya,
ik aina tha so toot gaya
ab khud se agar sharmao to kya,
main tanha tha main tanha hoon
tum aao to kya na aoo to kya,
jab hum hi na mehke fir sahib
tu *baad-e-saba kehlao to kya,
jab dekhne wala koi nahin
jal jaao to kya, bujh jaao to kya.

*baad-e-saba  = khusboo ka jhonka
wah sahil..........bohat khoob tajinder.
Logged
clicksahil
Guest
«Reply #5 on: May 16, 2005, 06:46:52 AM »
waah tajinder ... bahot khooob

Khaak bhi udaai hai iski gali ki
Mili hai saza ye haan dosti ki
Andhera maut ka hai mere saamne
Talash mein nikla tha zindagi ki
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #6 on: May 17, 2005, 08:21:03 AM »
tumhari tuh har poetry achi hoti hai Shail
ye bhi bahut hi khoob

uske lafzo main mujhe ek kasish nazar aati hai
sunke awaaj uski meri kismat sawar si jati hai

kya hai aisa usme vo dikhai nahi deta mujhe
par usko dekhne ko ek pal ke liye ankhen taras jati hai

nahi samaj pate hum kabhi bhi uska mijaj
kabhi hasata hai humko tuh kabhi sunke baatein uski aankhen baras jati hai
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #7 on: May 17, 2005, 08:30:34 AM »
excellent  work.........shahil...............sandhaya....... ..
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #8 on: May 17, 2005, 09:04:42 AM »
Quote from: "waheed_rose2004"
excellent  work.........shahil...............sandhaya....... ..
sukhriya waheed Ji..............
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 10:16:23 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.16 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer