Mila wo bhi nahi kerte,

by sweet suh on March 20, 2008, 04:13:03 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1584 times)
sweet suh
Guest
Mila wo bhi nahi kerte, mila hum bhi nahi kerte
Bewafai wo bhi nahi kerte, bewafai hum bhi nahi kerte

UnhAin ruswai ka dukh hai, humain tanhai ka dukh hai
gila wo bhi nahi kerte, gila hum bhi nahi kerte

Gali k kisi morr pe akser takrao ho hi jata hai
ruka wo bhi nahi kerte, ruka hum bhi nahi kerte

Unhain jab dekhte hain sochte hain kuch kahain un se
suna wo bhi nahi kerte, kaha hum bhi nahi kerte

Humain wo dekhte hain, unhain hum dekhte hain
raha wo bhi nahi kerte, raha hum bhi nahi kerte......{n/m}
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
JISE CHAAHA WO MILA NAHI by srikant in Shayri for Khumar -e- Ishq
~~~~mila he nahi~~~~ by tanha dil tanha safar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Chaha tu bohut tha .....Wo mila hi nahi.... by farhanandu in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Mila hi nahi... by maya01 in Shayri-E-Dard
SHIKAYAT HUM NAHI KERTE by fakhar sheikh in Share:Poetry of Betrayel
ckjha71
Guest
«Reply #1 on: March 21, 2008, 05:38:58 AM »
Very nice. It's really a good poem. Keep it up. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
natural
Guest
«Reply #2 on: March 21, 2008, 06:52:56 AM »

Nice Sharing Sweet Suh.... Really nice reading... Usual Smile
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #3 on: March 21, 2008, 08:00:53 AM »


Suh ji adaab...bahoot hi achhi sharing hai...poori tehreer hi khoobsurat hai....our iss sharing per dhero'n daad-o-mubaarak-baad haazir hain

Khamosh hui haiN nigaheiN, dil bechain ho uthha
swaal woh bhi nahiN kerte, swaal hum bhi nahiN kerte.

Ik-ik lafz unka hameiN, reh reh ker yaad ata hai,
Aah woh bhi nahiN karte ,aah hum bhi nahiN karte.

Mohabbat ne rulaya aise, haalat se mazboor hue,
Shikwa woh bhi nahiN kerte, shikwa hum bhi nahi kerte.

Gam-e-Dard barh gaya itna, sammander aankh maiN utra
Dawa ab woh bhi nahi kerte, dawa ab hum bhi nahiN kerte


Harash
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: March 21, 2008, 12:56:29 PM »
Bahoot Khoob,.
Sweet Suh Ji,.
And Harsh Ji,.
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #5 on: March 22, 2008, 05:04:50 AM »
sweet suh jee and harsh jee,

laajawab.

Saans teji se he chalti,dil dhadkata zor se
pur jiya woh bhee nahi karte,jiya hum bhee nahi karte!

Prateek.
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #6 on: March 22, 2008, 06:19:08 PM »
Sweet suh jee and harsh jee,

hurdum chalakte ashk unke,khaali mere paimane pade ab
piya woh bhee mahi karte,piya hum bhee nahi karte!

Prateek.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: March 23, 2008, 10:30:45 AM »
Nice One Prateek Ji,.
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #8 on: March 23, 2008, 03:14:49 PM »
Shukriya jaanshen ji,

Bilkul shishu samaan hein is mahaarath mein. Har galti par kshama ki guzaarish hein. Aap sabhi bahubaliyon ki tarah to swapan mein bhee nahi soch sakte,pur jo prayas kiya hein upar likhi kavita mein tukbandi jorne ka use fir se kram se theek karna chaahunga.

andhiyaare mein doobi unki mohabbat,dard mera mujhme daba
diya* woh bhee nahi karte,diya hum bhee nahi karte!

diya=deepak
diya=dena(dard ka)

hurdum chalakte ashq unke,paimane mere khaali sabhi ab
piya(aansuon ko) woh bhee nahi karte,piya hum bhee nahi karte!


saanse chalti teezi se aur dil dhadkata zor se,
jiya woh bhee nahi karte,jiya hum bhee nahi karte!


PS: kuch shankaye hein,kuch sawaal hein site ko behtar dhang se samajhne ke liye,kaise shankanivaran kiya jaaye,bataaye,qurries kise mail karni hongi?

Regards
Prateek
Logged
Roja
Guest
«Reply #9 on: March 23, 2008, 04:14:05 PM »


Suh ji adaab...bahoot hi achhi sharing hai...poori tehreer hi khoobsurat hai....our iss sharing per dhero'n daad-o-mubaarak-baad haazir hain

Khamosh hui haiN nigaheiN, dil bechain ho uthha
swaal woh bhi nahiN kerte, swaal hum bhi nahiN kerte.

Ik-ik lafz unka hameiN, reh reh ker yaad ata hai,
Aah woh bhi nahiN karte ,aah hum bhi nahiN karte.

Mohabbat ne rulaya aise, haalat se mazboor hue,
Shikwa woh bhi nahiN kerte, shikwa hum bhi nahi kerte.

Gam-e-Dard barh gaya itna, sammander aankh maiN utra
Dawa ab woh bhi nahi kerte, dawa ab hum bhi nahiN kerte


Harash

Wah wah Harash ji...
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #10 on: March 23, 2008, 04:26:11 PM »
Adaab our Shukriyaa^h Roja ji.....ke aapne ye tehreer pasaNd kii....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: March 24, 2008, 01:47:44 PM »
Nice One Prateek Ji Again,. Applause
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #12 on: March 24, 2008, 06:03:05 PM »
jaansheen ji,

shukriya fir se janaab.

Prateek.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: March 29, 2008, 04:05:33 PM »
U Are Always Welcome Prateek Ji,. Clapping Smiley
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: March 29, 2008, 04:08:30 PM »
Mere Saath Tum Bhi Dua Karo,
Yun Kisi Ke Haq Mein Buraa Na Ho.

Kahi Aur Na Ho Ye Haadsa,
Koi Raaste Mein Jooda Na Ho.

Sar-e-Sham Thaheri Huyi Zameen,
Jaha Aasmaan Hai Jhooka Hua,
Usii Mod Par Mere Waaste,
Wo Chiragh Le Kar Khada Na Ho.

Meri Chatt Se  Raat Ki Sej Tak,
Koi Aansuon Ki Lakeer Hai,
Zara Barh Ke Chand Se Poochna,
Wo Isi Tarf Se Gaya Na Ho..

Mujhe Yun Laga Ke Khamosh,
Khusboo Ke Haath Titli Chu Liye,
Inhi Zard Patto Ki Oatt Mein,
Koi Phool Soya Hua Na Ho....

Isii Ahtiyaat Mein Wo Raha,
Isii Ahtiyaat Mein Main Raha,
Wo Kaha Kaha Mere Saath Hai,
Kisi Aur Ko Ye Pata Nahi...
Wo Firaagh Ho Ke Wisaal Ho,

Teri Aag Mahekegi Ek Din,
Wo Gulaab Ban Ke Khilega Kya,
Jo Chiraagh Ban Ke Jala Na Ho...

________________________-NM-
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 05:44:50 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.138 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer