~~"MOHABBAT KE ADHOORE RANG"~~

by k.shael on August 21, 2008, 08:22:16 AM
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Author  (Read 3859 times)
pankshivam
Guest
«Reply #30 on: December 24, 2008, 09:50:15 AM »
Shally and Pank

Bahut khoob Applause

Keep going Thumbs UP
Shukriya Rajbirji
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~"AASHIK KO MOHABBAT ME KUCH MILTA NAHI"~~ by k.shael in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 5 »
""Mohabbat Oss Ki Surat"" by angel4u in Shayri-E-Dard
"Khwaish" Ko Mohabbat Hai Mohabbat Se.... by khwahish in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
rahe hum adhoore adhoore (nam) by poonamA in Shayri-E-Dard
k.shael
Guest
«Reply #31 on: December 24, 2008, 09:52:31 AM »
Shally ji Aapne bhi khoob likha Keep It Up

Isq aur gamo ka gehra nata hai,
Jo chahta hai dur jana isse ye uski hi zindagi me aata hai...

Na do shay is isq ke surur ko,
Dil pe asar karta hai aur aankho ko rulata hai...

Daman jab bhi thamta hai mera pyar kisi parchayi ka,
Askho se har daman bhig jata hai...

Kar leta hain khamoshi se har gunah ka ijhar ham,
Jab bhi kisika pyar khud ko begunah batata hai....

~Pank~


Shukriya Pank Ji,

Aur aapne bhi kya khoob reply kiya hai,

Ye Ishq hai jo aankhon ko rulaata hai,
Kisi ki yaadon me din raat dil ko sulaata hai,

Karke pyaar aab kaise choot jaaye ham isse,
suna hai ye wo rog hai jo mout tak saath nibhata hai,

Chand taare bhi bhar dete gawahi iski,
Ye apna banakar sase begana kar jaata hai,

Kaise keh do mein ruswayi-e-ishq duniya waalo se,
Kehte hai ishq bina kuch kahe hi badnaam kar jaata hai.

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #32 on: December 24, 2008, 09:53:25 AM »
Shally and Pank

Bahut khoob Applause

Keep going Thumbs UP

Shukriya Rajbir Ji,

Shally.
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #33 on: December 24, 2008, 09:55:13 AM »
Kaise keh do mein ruswayi-e-ishq duniya waalo se,
Kehte hai ishq bina kuch kahe hi badnaam kar jaata hai.

Shally.

Excellent Applause Applause Applause
Logged
k.shael
Guest
«Reply #34 on: December 24, 2008, 09:56:02 AM »
Excellent Applause Applause Applause

Shukriya... Shukriya... Meharbaani...

Rajbir ji,

Shally.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #35 on: December 30, 2008, 09:47:34 PM »
Nice One,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #36 on: December 30, 2008, 09:56:31 PM »
ZakhM-E-Dil Ko Gulab Kya Likhun,
Chahaton Ke Azab Kya Likhun,

Apni Aukaat Se To Waaqif Hoon,
Khud Ko Mehtaab Kya Likhun,

Kis Ke Hisse Mein Ayein Tabeerein,
Kis Ke Ujde Hain Khwab Kya Likhun,

Jisne Likha Hai Zindagi Mujhko,
Uske Khat Ka Jawab Kya Likhun,

SadMe Pehle Bhi Seh Liye Hai Magar,
Ab To Toota Hai Ataab Kya Likhun,

Tishnagi To Na Bujh Saki,
Kitne Aaye Saarab Kya Likhun...


Nm
Logged
Pooja
Guest
«Reply #37 on: December 30, 2008, 10:02:47 PM »
nice sharing lil bro
Logged
Pooja
Guest
«Reply #38 on: December 31, 2008, 06:08:02 AM »
 Applause Applause Applause

bahoot khoob shally... kamal ka likha hai

Logged
Pooja
Guest
«Reply #39 on: December 31, 2008, 06:09:08 AM »
K "ya Kahein ? Waah
K "yahee badhiya alfaaz Istemaal kiye hai
K "shael Ji Ya Fir
K "rishna Ji
K "amaal kiya hai aapne Fir se Taweel b'Tarteeb Nazm Likhi Hai aapne
K "hoob hai bahdiya hai
K "hudaa aap ki
K "alum ko aur
K "alaam ki
K "aari ko yaa'ne Rang-o-saazi ko Bar Karaar Rakhe

K "HUDA JAANE MOHABBAT KE KYA RANG HOTE HAI..........


 


apke K ne to Shahrukh khan ki k..k...k..kiran ki yaad dila di
Logged
k.shael
Guest
«Reply #40 on: December 31, 2008, 06:18:54 AM »
Applause Applause Applause

bahoot khoob shally... kamal ka likha hai



Shukriya Pooja Didi,

Shally.

Logged
pankshivam
Guest
«Reply #41 on: December 31, 2008, 06:19:54 AM »

Shukriya Pank Ji,

Aur aapne bhi kya khoob reply kiya hai,

Ye Ishq hai jo aankhon ko rulaata hai,
Kisi ki yaadon me din raat dil ko sulaata hai,

Karke pyaar aab kaise choot jaaye ham isse,
suna hai ye wo rog hai jo mout tak saath nibhata hai,

Chand taare bhi bhar dete gawahi iski,
Ye apna banakar sase begana kar jaata hai,

Kaise keh do mein ruswayi-e-ishq duniya waalo se,
Kehte hai ishq bina kuch kahe hi badnaam kar jaata hai.

Shally.

Bahoot Khoob SHallyji


Ishq ki pehchan khuda ne banayi hai,
Jitani khushiya hai iske daman me,utane hi gam aur rusvayi hai...

Chaand taaro ki zindagi hasil hai ishq aur mohabbat ko,
Jisne bhi ki usane apni dastan tarikh pe banayi hai...

Kisi ne likhi nazme ishq pe, kisi ne likhi rubayi hai,
Naam to mit gaye waqt ke sath, fir bhi unki dastan ne sadiyo ki zindagi payi hai...

Leke kisi ka khayal dil me, jab ehsaso ki dhup gungunayi hai,
Huyi fir shuruaat jasbaato ki, pyar ki roshani jagmagayi hai...

Rote rahe vo jinhe pyar ka jaha na mila,
Jise mohhabbat mili uski zindagi me bhi gamo ki ghata chhayi hai...

Ishq chiz hi aaisi hai
Jitani khushiya hai iske daman me,utane hi gam aur rusvayi hai...

~Pank~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #42 on: December 31, 2008, 06:23:20 AM »
 Applause Applause Applause

wah wah kaya baat hai Pank ji, bahoot khoob.. humare ek yo sathi Rishi hua karte the.. apki is kavita ne unki yaad dila di.... apki he tarah simple shabdo main bahoot gahri baat kiya karte the wo bhi..

bahoot khoob... Clapping Smiley
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #43 on: December 31, 2008, 06:24:20 AM »
Applause Applause Applause

wah wah kaya baat hai Pank ji, bahoot khoob.. humare ek yo sathi Rishi hua karte the.. apki is kavita ne unki yaad dila di.... apki he tarah simple shabdo main bahoot gahri baat kiya karte the wo bhi..

bahoot khoob... Clapping Smiley

Shukriya Poojaji
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #44 on: January 01, 2009, 05:19:34 PM »
Shukriya Majid Bhai,.

Logged
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 02, 2024, 09:49:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer