Mohabbat ....mitaane chale hain.... !!!!

by Talat on August 03, 2005, 01:47:37 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5
Print
Author  (Read 4101 times)
Talat
Guest
«Reply #30 on: August 09, 2005, 02:22:22 PM »
Quote from: "Tosha"
bahut acche Talat !!!
...

bhula do aaj jo bhulana chate to
humse to bhul jane ko na kaho
mita do jo har raz mitana chate ho
humse to zakham chumane ko na kaho

thukra do jo thokhar hame dena chate ho
humse to palat ke waar karne ko na kaho
chale jao door jitna jana chate ho
hum se to na intezzar karne ko na kaho


Thanks Tosha..... and very nice... !!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #31 on: August 09, 2005, 02:24:29 PM »
Quote from: "waheed_rose2004"

wow  wow  beautifull  lines  Talat.................nice  work  all  ........Tosha....Nikki............bharat......... ......everybody..........  

dekha  jo  aaj  unki  aankhon  mein  halki  see  nami
mujhe  laga ki  jaise  samunder  udaas  hai
poocha jo  in hawaon   se  is  baat ka sabab
maloom  hua  aaj  fiza  bhi  udaas  hai.....................


Thanks Waheed.... aur tumne bhi bohot achcha likha hai.... !!!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #32 on: August 09, 2005, 02:25:51 PM »
Quote from: "Bharat_Desai"

Talat,
Shukriya,

Waise maine jo likha hai wo aapki shayari se to likha hai........
Since my shayari is the creation from your lovely shayari, the credit goes to you.

Also your reply is wonderful...................!!!

Quote from: "Bharat_Desai"

Thanks a lot Waheed,
Aapne bhi bohot achcha likha hai......!!!
Also everybody has written very very good...........

soch rahe the dil me chhaye udaasi ka sabab
bin bulaye yeh baichaini kahan se aayee hai

Khushbuon ke zonkho se hume khayal aaya
hawayen aapne saath teri yaadein layee hai!!!


Thanks Bharat for your appreciation..... and a very nice one from you... !!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #33 on: August 09, 2005, 02:29:54 PM »
Kahan gayi wo titliyaan wo bulbul ke taraane
Kyun maut ki si khamoshi taraf hai chaayee
Na aankhon main jugnu hi chamakte hain ab
Labon pe jaane kab se muskaan nahin aayi
Ek baar tu apni dunya se bahar aa ke dekh
Zindaa laash bana gayi hai hume teri judaai !!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #34 on: August 09, 2005, 03:02:05 PM »
Wah Talat Bohat khoob...

Mere Sabr Ka Na Le Imtihaan
Meri Khamoshi Ko Sada Na De
Jo Tere Baghair Na Jee Sake
Usey Jeene Ki Tu Dua Na De
 
Tu Azeez Dil-o-nazar Se Hai
Tu Qareeb Rag-o-jaan Se Hai
Mere Jism-o-jaan Ka Yeh Faasla
Kahin WaQt Aur Barha Na De
 
Tujhe Bhool Ke Na Bhula Sakoon
Tujhe Chah Ke Bhi Na Pa Sakoon
Meri Hasraton Ko Shumaar Kar
Meri Chahaton Ka Sila Na De
 
Woh Tarap Jo Shola-e-jaan Mein Thi
Mere Tan Badan Se Lipat Gayi
Jo Bujha Sake To Bujha ise
Na Bujha Sake Tau Hawaa Na De
 
Tujhe Agar Milein Kabhi Fursatein
Meri Shaam Phir Se Sanwaar De
Agar Qatl Karna Hai Tau Qatll Kar
Yun Judaaiyon Ki Saza Na De



nm
Logged
Talat
Guest
«Reply #35 on: August 09, 2005, 03:11:36 PM »
Thanks Aryaan..... Usual Smile and its a very very nice and touching poem...too good... !!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #36 on: August 09, 2005, 03:24:56 PM »
Quote from: "Talat"
Thanks Aryaan..... Usual Smile and its a very very nice and touching poem...too good... !!

Bohat shukriya Talat.....
Logged
Bharat
Guest
«Reply #37 on: August 09, 2005, 04:10:55 PM »
Aryaan,

Bohot achchi poem hai..................
What can I say.....just superb !!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #38 on: August 09, 2005, 04:27:21 PM »
Quote from: "Bharat_Desai"
Aryaan,
Bohot achchi poem hai..................
What can I say.....just superb !!!

Shukriya Bharat....
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #39 on: August 09, 2005, 05:25:44 PM »
Quote from: "Talat"
Kahan gayi wo titliyaan wo bulbul ke taraane
Kyun maut ki si khamoshi taraf hai chaayee
Na aankhon main jugnu hi chamakte hain ab
Labon pe jaane kab se muskaan nahin aayi
Ek baar tu apni dunya se bahar aa ke dekh
Zindaa laash bana gayi hai hume teri judaai !!!


thanxxxxxxxx  Talat...........Bharat..................very  nice  again  Talat............Aryan.........

tujhse  juda hokar  hum    kisi  ke  bhi  na  hue
jab  jab  teri  yaad  aaye  hum  ro  diye
ai  yaar  kaise  sunaye  tumhein  kisse  judai  ke
ab  to  mere ghar saare  diye  hain bujhe hue...........
Logged
Talat
Guest
«Reply #40 on: August 10, 2005, 02:40:55 PM »
Thanks Waheed...... and very nice ............ !!!!!!!!
Logged
natural
Guest
«Reply #41 on: August 11, 2005, 09:15:53 AM »
Quote from: "Talat"
Kahan gayi wo titliyaan wo bulbul ke taraane
Kyun maut ki si khamoshi taraf hai chaayee
Na aankhon main jugnu hi chamakte hain ab
Labon pe jaane kab se muskaan nahin aayi
Ek baar tu apni dunya se bahar aa ke dekh
Zindaa laash bana gayi hai hume teri judaai !!!

Wow..............Bahut Achha Likha hai...............
Waakai Dil ko chho lene waala..............
Sis hamein to pata bhi nahi tha ki aap shaayar bhi hain.................. Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #42 on: August 11, 2005, 10:43:48 AM »
Thanks so much Natural......!!!! Usual Smile Usual Smile  bas kabhi kabhi lafz apne aap jud jaate hain.......... !!!!!!
Logged
jochahohojayein
Guest
«Reply #43 on: August 11, 2005, 11:32:22 AM »
Quote from: "Talat"
Ehsaas apne aaj hum bhulaane chale hain
Mohabbat ko dil se apne mitaane chale hain
Aansoo jo beh rahe hain behne do aaj inhe
Ehsaas apne aaj hum bhulaane chale hain

Taumr yaad aayoge bhulaane ke bawajood
Na aana paas ab kabhi rehna tum humse door
Kabhi lagta hai ki humne khoya hi nahin kuch
Phir chubhan dilaati hai yaad kho diya sab kuch

Ehsaas apne aaj hum bhulaane chale hain
Khoobsurat yaadain dil se mitane chale hain
Askhon ka darya le chuka hai rang lahu ka
Dil ki deewaron pe likha naam mitaane chale hain
Ehsaas apne aaj hum bhulaane chale hain !!!!





tum yu hume bhula nahi sakte
meri yaad ko dil se nikal nahi sakte
itna aasan nahi hamere pyar ko bhulana
aanasu bana kar pyar ko baha nahi sakte

pas hum nahi aayenge agar tum yahi chahte ho
par dooe bhi kese rahe kyuki tum meri jaroorat ho
khoya humne hai sab kuchh tumko pane
abh tumhe kho nahi sakte tum hi sab kuch ho
Logged
Talat
Guest
«Reply #44 on: August 11, 2005, 02:33:14 PM »
Very nice Jochahohojayein...... !!!!

Bhulaa dena itna asaan to nahin hai
Yaad kar ke dil aur tadap uthtaa hai

Aansoo na bahayen jo rok len inhe
Jalte sholon ka sa gumaan hotaa hai

In labon ko tarasna hai hansi ke liye
Muskurate hue bhi dard sa hotaa hai !!!
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 03:08:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer