Banne chale hain woh bhi shayr

by Abul Asad on December 11, 2011, 12:55:58 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1414 times)
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 8 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011

View Profile
Reply with quote
Yeh main apne aap par aik tanzya sawal kar raha hoon, aur iss ka jawab bhi dosray tukday mein hai.Is ke kuch mushkil alfaazon ke ma-ine neeche darz hain.

Sawal:
 
Jisse na tameez o farq, ghazl-o nazm ke beech ka
 Na fan-e sukhan ka, Na kafiya-o radeef ke wazn ka,

Banne chale hain woh bhi shayar,
Reeqhta ke haseen bayan ka
 
Woh farsi ki methi adab-o adaab ke
Woh farzand-e arabi ki saaf zuban ke
 
Woh mashriqi tehzeeb ki mithas ke
 woh shireen si guftagu ki khuraq ke
 
Woh nafasat si bayaani-e urdu ke
Woh jageer-Mir o Ghalib-o Iqbal ke
 
Woh azmat Faiz ke kalaam ke
Woh bulundi zauq ke naam ke
 
Kanhaan se aate hain yeh ahmaq bekhayal?
 Ke millat nahi hai urdu aise bekhayal ki
 
Jawaab:
 
Na hote hum bhi aashiq reeqhta zuban ke
 Na hote zakhmi dil hum kalaam e urdu ke
 
Na tadapti yeh qalam purasraar lahu-e dil se
 To koshish bhi na karte hum aise khayal ki
 
Isse ghazl samjho ya nazm, khayal hai yeh ek mera
Urdu ki shugufta bayaani mein.
 
Baitha tha tanha sa aik din
Likhta gaya kissi bekhayali mein.
 
Reeqhta : Urdu ka sab se pehla naam
Kafiya/radeef: The rhyming words
 Farzand: aulaad, beta, son
 Farzand e Arabi: Urdu is a derivative of Persian and Arabic,Hence son of Arabic.
 Adab-o Adaab: manners and culture
 Purasraar: jis se asar hota ho, something that affects you deeply or emotionally
 Qalam: pen
 Taghafil: ghaflat mein jo rehta ho, one who is not in his right mind, disturbed, unattentive
jageer: property
 Millat: property, ownership by inheritance
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 8 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011

View Profile
«Reply #1 on: December 11, 2011, 01:26:46 PM »
Reply with quote
Shihab saheb,

Meri nadani ko sarahaya aapne, behad shukr guzar hoon aapka
harwaqt ki tarha, aap ki hausla afzai se hai dil raushan.

Aap ki umdah ghazl ke muntazir rahenge hum

Dua goo

Abul Asad
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #2 on: December 11, 2011, 01:29:11 PM »
Reply with quote
Yeh main apne aap par aik tanzya sawal kar raha hoon, aur iss ka jawab bhi dosray tukday mein hai.Is ke kuch mushkil alfaazon ke ma-ine neeche darz hain.

Sawal:
 
Jisse na tameez o farq, ghazl-o nazm ke beech ka
 Na fan-e sukhan ka, Na kafiya-o radeef ke wazn ka,

Banne chale hain woh bhi shayar,
Reeqhta ke haseen bayan ka
 
Woh farsi ki methi adab-o adaab ke
Woh farzand-e arabi ki saaf zuban ke
 
Woh mashriqi tehzeeb ki mithas ke
 woh shireen si guftagu ki khuraq ke
 
Woh nafasat si bayaani-e urdu ke
Woh jageer-Mir o Ghalib-o Iqbal ke
 
Woh azmat Faiz ke kalaam ke
Woh bulundi zauq ke naam ke
 
Kanhaan se aate hain yeh ahmaq bekhayal?
 Ke millat nahi hai urdu aise bekhayal ki
 
Jawaab:
 
Na hote hum bhi aashiq reeqhta zuban ke
 Na hote zakhmi dil hum kalaam e urdu ke
 
Na tadapti yeh qalam purasraar lahu-e dil se
 To koshish bhi na karte hum aise khayal ki
 
Isse ghazl samjho ya nazm, khayal hai yeh ek mera
Urdu ki shugufta bayaani mein.
 
Baitha tha tanha sa aik din
Likhta gaya kissi bekhayali mein.
 
Reeqhta : Urdu ka sab se pehla naam
Kafiya/radeef: The rhyming words
 Farzand: aulaad, beta, son
 Farzand e Arabi: Urdu is a derivative of Persian and Arabic,Hence son of Arabic.
 Adab-o Adaab: manners and culture
 Purasraar: jis se asar hota ho, something that affects you deeply or emotionally
 Qalam: pen
 Taghafil: ghaflat mein jo rehta ho, one who is not in his right mind, disturbed, unattentive
jageer: property
 Millat: property, ownership by inheritance

Bahut Bahut Khoob Abdul Asad Ji Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: December 13, 2011, 08:01:53 AM »
Reply with quote
AsadSahaab Aadaab!

Janab aap meiN itni sari shayari ki salaahiyateN hai
aap waqai aik achche aur uNche muqaam ko chhu leNge
shayari meiN.. Usual Smile

Bahut achchi kalaam pesh ki hai janab.. sabhi ahsaas
O khayaal ko behad sahiN lafzi jamaa diya hai aapne.. Usual Smile

Is khub sawaal aur jawaab par humari dili daad O mubarakbad
kabul kijieye...

Likhate rahiye.. aate rahiye... Khush O aabaad rahiye..
Khufa Hafez.. Usual Smile
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 8 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011

View Profile
«Reply #4 on: December 13, 2011, 09:06:37 AM »
Reply with quote
Parwaaz Saheb,

Behad mamnun aapka, itne unche alfaaz mujh jaise ke liye?
Aap ki dili daad bahut hi dilraushan kari hamen.

Iss ka yaqeenan mustaheq nahi tha main, yeh sirf ap ki inayat hai
ab aap jaise unchi choti aur namvaron saheb-e fahem o sukhan se,
bahut seekhna hai.

Bahut door hai sahab woh muqaam ham se janhaan aap jaise hain. Iss ka bhi
andaaza hai.

Faiz Ahmed Faiz marhoom ka aik sher lago shayad hota hai yanhaan.

"Aise waise kaise kaise hogaye
kaise kaise aise waise hogaye"

Iss mein mere jaise "aise waise" abhi aap jaise nahi hovay hain.

Dua goo
Abul Asad
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #5 on: December 13, 2011, 09:39:07 AM »

Aadaab Janab!

Janab aapki kalaam se saaf zahir hai ke aap kis darja umda sukhanwar
haiN... jis shaks ho shayari ka itna ilm hokar bhi khudko kam kah raha
hai woH waqai sukhan fahem hai.. Usual Smile

Aur janab agar maiN kahuN ke mujhe sach meiN shayari ka koi ilm nahi
hai to aap meri baat ka ahtmaad nahi kareNge.. par yehi haqikhat hai..
maiN jyada kuch nahi janta shayari ke bare meiN bus aise hi forume par
achche sukhanwaroN ke bich huyi ilm bahs se sikhta raha.. jo kuch hasil
kiya bus use bhulaa naih.. so yehi mera zarra barabar ilm hi shayari ka..

Aur janab maiN "aisa" kabhi waisa banna bhi nahi chahata.. aur ban bhi
nahi pauNga.. Usual Smile
Khair apni kalaamoN se apne khayaaloN se nawaazte rahiye.. Bazm ko roshan
karte rahiye.. aate rahiye.. Khush O aabaad rahiye..
Khuda Hafez... Usual Smile

Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 8 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011

View Profile
«Reply #6 on: December 13, 2011, 11:16:21 AM »
Reply with quote
Tasleem Parwaz Saheb,

Surkh gal sharm se hain hamare,
kuch alfazon ki muhabat ne kiya
aur kuch aapke sarhane se hovay.

Aapse bhi kam kuch iss tarha hain ham
Apni zindagi mein tanha se hain ham

yeh qata'a hamara hal bakhobi bayan karti hai,

"Kabhii aa.Nsuu kabhii Khushii bechii
ham Gariibo.n ne bekasii bechii
chand saa.Nse Khariidane ke liye
roz tho.Dii sii zindagii bechii"
(Abu Talib)

Chand ashar padhlene se mujh-se log shayar nahi bante
aapne to yanha arsa guzara hai aur raushan khayal hove.
Main harwaqt yehi koshish mein laga hon ke kuch seekhon.

Parwaz saheb, main waqey aapke saaf dilli ki qadar karta hun
aur aap jaise naik dilon ki dosti ko apni khushqismati samjhta hoon.
isse meri dosti ka paigham samjhiye. InshAllah aap mujhe aik
seedha aur inkesar dost payenge.

Apki khidmat ka muntazir
Abul Asad
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #7 on: December 13, 2011, 11:41:26 AM »
Reply with quote
Yeh main apne aap par aik tanzya sawal kar raha hoon, aur iss ka jawab bhi dosray tukday mein hai.Is ke kuch mushkil alfaazon ke ma-ine neeche darz hain.

Sawal:
 
Jisse na tameez o farq, ghazl-o nazm ke beech ka
 Na fan-e sukhan ka, Na kafiya-o radeef ke wazn ka,

Banne chale hain woh bhi shayar,
Reeqhta ke haseen bayan ka
 
Woh farsi ki methi adab-o adaab ke
Woh farzand-e arabi ki saaf zuban ke
 
Woh mashriqi tehzeeb ki mithas ke
 woh shireen si guftagu ki khuraq ke
 
Woh nafasat si bayaani-e urdu ke
Woh jageer-Mir o Ghalib-o Iqbal ke
 
Woh azmat Faiz ke kalaam ke
Woh bulundi zauq ke naam ke
 
Kanhaan se aate hain yeh ahmaq bekhayal?
 Ke millat nahi hai urdu aise bekhayal ki
 
Jawaab:
 
Na hote hum bhi aashiq reeqhta zuban ke
 Na hote zakhmi dil hum kalaam e urdu ke
 
Na tadapti yeh qalam purasraar lahu-e dil se
 To koshish bhi na karte hum aise khayal ki
 
Isse ghazl samjho ya nazm, khayal hai yeh ek mera
Urdu ki shugufta bayaani mein.
 
Baitha tha tanha sa aik din
Likhta gaya kissi bekhayali mein.
 
Reeqhta : Urdu ka sab se pehla naam
Kafiya/radeef: The rhyming words
 Farzand: aulaad, beta, son
 Farzand e Arabi: Urdu is a derivative of Persian and Arabic,Hence son of Arabic.
 Adab-o Adaab: manners and culture
 Purasraar: jis se asar hota ho, something that affects you deeply or emotionally
 Qalam: pen
 Taghafil: ghaflat mein jo rehta ho, one who is not in his right mind, disturbed, unattentive
jageer: property
 Millat: property, ownership by inheritance

bahut khoob AA, ACHA TANZ HAI HUM JAISE NAUSIKHIYE PER. PER BURA NA MAANE HUM HI BEHIS HAIN SEEKHTE KUCH NAHIN BUSS UTPATAANG SA LIKHTE RAHTE HAIN. ALLAH SE DOA KAREIN HAMEIN AAP JAISE SHORA SE  KUCH SEEKH SAKEIN AUR YAAD BHI RAKH SAKEIN.

                 HUM BHI RINDO.N MEIN AB SHAMIL HO GAYE KHAMOSH.
                 SHARBAT HI SAHI PEE KAR JHOOM LETE HAIN
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 8 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011

View Profile
«Reply #8 on: December 13, 2011, 06:07:21 PM »
Reply with quote
khwaish saheb,

Aap ki nazr padhna hi hum jaison ke liye baiz-e faqr ki bat hai
aap ka yeh badhpan hai ke meri nadani ko ap izzat baqsh rahe hain

Allah Se Dua hai meri ke hum sab ko abad rakhen
Tahe zindagi woh jab tak rakhe sahet o kamiyab rakhe
Hamari mehfil Uske chahne walon ke saath rakhe
Akhirat bhi hamari phir woh kamiyaab kare

Iss Tifl-e sukhan ki kuch bekhayali ko aap shora ka darjah na de
Ta umr yunhi talib-e ilm hi behtar hai meri naseeb mein

Aap ki muhabbat ka dil se shukriya

Dua goo
Abul Asad
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 03:27:33 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer