- Mujhe Tanha Chod Diya -

by Meena is back on March 13, 2006, 04:10:31 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 13407 times)
Meena is back
Guest
kabhi kabhi hum kisi ko apna samajhte hai aur woh hi dil ko gehra ghav de jate hai... bharosa tood dete hai...bas meri yehm poem kisi ke nam:

Kyu mere dil me rehe kar, tumne mera dil ka Mandir tood diya,
Apna samjha tha maine tujhe par tune to mujhe tanha chod diya,
Kya kami thi mere pyar me, kya thi nahin mai tere kabil,
Ke kisi aur ke katir ke tumne mera pyar bhara dil yuh tood diya!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
MUJHE TANHA CHODNE WAALE KAHIN TOO TANHA NA RAH JAAYE by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
~~~Chod Diya~~~ by Ravinder in Shayri-E-Dard
Chod do tanha mujhe by deepika_divya in Shayri-E-Dard
-----:::::chod diya:::::----- by aryan_mantri in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
mere halat pe mujhe marne ke liye chod diya by sunildehgawani in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Pooja
Guest
«Reply #1 on: March 13, 2006, 04:12:06 PM »
bahoot khoob Meena!!!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #2 on: March 13, 2006, 04:13:52 PM »
shukriya shukriya!  :D
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #3 on: March 13, 2006, 04:16:27 PM »
Sahi kha aap ne Meena -JI kabhi kabhi kissi chote se mazaak se bhi apne ruth jaya karte hai !!


Meiney pyaar kiya hai sirf tujh se aur karta rahunga
Yeh aur baat hai ke ab tum se koi naata toot gya
Choti si baat pe iss kadar nazar ho gaye the tum
na mani tum man-ne pe bhi aur dil ka bharam toot gyaa !!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #4 on: March 13, 2006, 04:28:09 PM »
hmmm....

mere ashiyane ko mere apne ne hi jalaya hai,
mazar me apni naya maine khud ko hi dubaya hai,
na karti vishwas na aaj bikri hoti "Meena",
kismat ne bhi aaj ek ajeeb tamasha dikahya hai!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #5 on: March 13, 2006, 04:32:59 PM »
Kismat ke khel kaun jaan paya hai
Isne to bade bado ko rulaya hai
Yeh teri baat nhi duniya mein sabhi ne
Kho diya hai sab kuch joi bhi paya hai !!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #6 on: March 13, 2006, 04:36:36 PM »
woh to hai par...

jante hai hum ke duniya me hum akhele nahin,
koi aisa yaha nahin jisne koi na koi dukh jele nahin,
par kasie samjahye hum ek nasamajh dil ko aye dost,
jisne dekhe apne jeevan me kabhi kushiyon ke mele nahin!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: March 13, 2006, 04:37:49 PM »
App dono ke daramo ne, kabhi dil bahlaya to kabhi rulaya hai
wah kaya andaaz se apne yoindia ko sajaaya hai
khumar-e-Ishaq mai, muobaat ka kaya roop dikhaya hai
yahan per larr ker, bahoot dil dukhaya hai!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #8 on: March 13, 2006, 04:40:10 PM »
very nice n sad ......Meena sis n Humtum

kuch log paa kar gawate hain
maine to bina paye hi gawaya hai

aaj woh bahut door hain mujhse
jo kabhi kehte the ki mera saaya hain
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #9 on: March 13, 2006, 04:40:50 PM »
Quote from: "Meena is back"
woh to hai par...

jante hai hum ke duniya me hum akhele nahin,
koi aisa yaha nahin jisne koi na koi dukh jele nahin,
par kasie samjahye hum ek nasamajh dil ko aye dost,
jisne dekhe apne jeevan me kabhi kushiyon ke mele nahin!


Apni halaat bhi kuch teri jassi hi hai dost
Jee to rhe hai lekin dil koi khuishi nhi
Phir bhi sab hasate rhete hai "Meena"
Kise pta ke meri zindgi zindgi nhi !!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #10 on: March 13, 2006, 04:42:48 PM »
Quote from: "Pooja"
App dono ke daramo ne, kabhi dil bahlaya to kabhi rulaya hai
wah kaya andaaz se apne yoindia ko sajaaya hai
khumar-e-Ishaq mai, muobaat ka kaya roop dikhaya hai
yahan per larr ker, bahoot dil dukhaya hai!!


Thanks a million pooja ji .. bahut khoob !!


yhi duniy ahai yhi zindgi har rang mein rang jana hai
kabhi pakar kuch khon ahai kabhi kho kar pana hai
yhi humey zindgi mein shikha hai yhi hota hai dost  
hai jeevan ka khel yhi kabhi aana aur kabhi jana hai
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #11 on: March 13, 2006, 04:44:14 PM »
Quote from: "nikki"
very nice n sad ......Meena sis n Humtum

kuch log paa kar gawate hain
maine to bina paye hi gawaya hai

aaj woh bahut door hain mujhse
jo kabhi kehte the ki mera saaya hain



Nice one Nikki !!

kya duur aur kya paas dost
jo bas gya dil mein whi sath hai
dhuki na hoi ke tu dekh nhi sakti
lekin tere dil mein to uska ehsaas hai !!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #12 on: March 13, 2006, 04:44:40 PM »
Quote from: "Pooja"
App dono ke daramo ne, kabhi dil bahlaya to kabhi rulaya hai
wah kaya andaaz se apne yoindia ko sajaaya hai
khumar-e-Ishaq mai, muobaat ka kaya roop dikhaya hai
yahan per larr ker, bahoot dil dukhaya hai!!


aab kya kahon ispe didi!!!

sorry didi menu tussi maaf kar do,
apka dil dúkhane ka mera ko iiradha na tha,
yeh humtum hi hai jo larta rehta hai,
warna ksi ise ladne ka maine kiya koi wada na tha!
 :D
chill na!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #13 on: March 13, 2006, 04:47:15 PM »
Quote from: "nikki"
very nice n sad ......Meena sis n Humtum

kuch log paa kar gawate hain
maine to bina paye hi gawaya hai

aaj woh bahut door hain mujhse
jo kabhi kehte the ki mera saaya hain


thanx kuddiye and a super duper one as well!!!

hum bhi kabhi nadan te aur sab ki baato me ate te,
koi bhi kuch kehe jata tha hum ussi ko apne dil me chupate te,
jab saya hi saath chod deta hai to insaan ka kya barosa,
hum bhi un logo se mile hai, jo har ek ka sirf dil dukhate te!
Logged
nikki
Guest
«Reply #14 on: March 13, 2006, 04:47:18 PM »
thanx....

akele zindagi bhojh se kum nahi
jo haar maan jayein woh hum nahi
maana aaj humse kaha nahi jaata
magar chup rehne walon mein se bhi hum nahi
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 07:05:49 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.173 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer