My Shayari Collection ~~Kuch Khaamosh AshQ~~ (NM)

by angel4u on May 22, 2008, 02:45:04 AM
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Author  (Read 4120 times)
angel4u
Guest
«Reply #15 on: May 22, 2008, 01:53:19 PM »


Jo Log Jaan Bujhke Nadan Ban Gaye,
Mera Khayal Hai Ke Wo Insaan Ban Gaye,

Hum Hashr Mein Gaye Magar Kuch Na Puchhiye,
Wo Jaan Bujh Kar Wahan Anjaan Ban Gaye,

Hanste Hai Humko Dekhke Arbaab-E-Agahi,
Hum Aapke Mizaaj Ki Pehchaan Ban Gaye,

Majhdhaar Tak Pahuchna To Himmat Ki Baat Thi,
Saahil Ke Aas Paas Hi Toofan Ban Gaye,

Insaaniyat Ki Baat To Itni Hai Shaikh Ji,
Badkismati Se Aap Bhi Insaan Ban Gaye,

Kaante Bahut The Daaman-E-Fitrat Mein Aye Adam,
Kuch Phool Aur Kuch Mere Armaan Ban Gaye...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kuch Meethi si Shayari by Kumkum in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3 4 »
AshQ..AshQ..likhi...Kahaani...!!! by badnaam_shayar in Shayri-E-Dard
Kuch ashq hi to hai.... by manzil-e-ishq in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
angel4u
Guest
«Reply #16 on: May 22, 2008, 01:53:47 PM »



Kam Nahi Meri Zindagi Ke Liye,
Chain Mil Jaye Do Ghadi Ke Liye,

Aye Dil-E-Zaar Kaun Hai Tera,
Kyon Tadapta Hai Yun Kisike Liye,

Kitne Saman Kar Liye Paida,
Itni Chhoti Si Zindagi Ke Liye,

Aisa 'Faiyyaz' Gam Ne Ghera Hai,
Lab Taras Hi Gaye Hansi Ke Liye...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #17 on: May 22, 2008, 01:54:23 PM »



Chhodiye Chhodiye Ye Baatein To Afsane Hai,
Hum Bhi Deewane Hai Jo Aapke Deewane Hai,

Mar Ke Bhi Aapko Ruswa Nahi Hone Denge,
Jal Ke Badnaam Jo Karte Hai Wo Parwane Hai,

Aaj Insaan Ne Bhula Daale Hai Yazadaan Ke Karam,
Humne To Zulm Bhi Ehsaan Tere Jaane Hai,

Yun To Saaye Ki Tarah Saath Wo Rehte Hai Mere,
Phir Bhi Mehsoos Ye Hota Hai Wo Begaane Hai,

Mera Izhaar-E-Mohabbat Na Samajh Paaye Aap,
Ye Mera Dukh Ye Mera Dard To Anjaane Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #18 on: May 22, 2008, 01:54:56 PM »



Jab Meri HaQeeQat Jaa Jaa Kar Unko Sunayi Logone,
Kuch Sach Bhi Kaha Kuch Jhooth Kaha Kuch Baat Banayi Logone,

Dhaaye Hai Hamesha Zulm-O-Sitam Duniya Ne Mohabbat Walon Par,
Do Dilko Kabhi Milne Na Diya, Deewar Uthayi Logone,

Aankhonse Na Aansu Ponchh Sake Honthon Pe Khushi Dekhi Na Gayi,
Aabad Jo Dekha Ghar Mera To Aag Lagayi Logone,

Tanhayi Ka Saathi Mil Na Saka Ruswayi Mein Shaamil Sheher Hua,
Pehle To Mera Dil Tod Diya Phir Eid Manayi Logone,

Is Daur Mein Jeena Mushkil Hai Aye 'AshQ' Koi Aasaan Nahi,
Har Ek Qadam Par Marne Ki Ab Rasm Chalayi Logone...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #19 on: May 22, 2008, 01:55:47 PM »



Barabar Se Bachkar Guzar Jaane Wale,
Ye Naale Nahi Be-Asar Jaane Wale,

Mohabbat Mein Hum To Jiye Hai Jiyenge,
Wo Honge Koi Aur Mar Jaane Wale,

Mere Dilki Betabiyan Bhi Liye Jaa,
Dabe Paanv Munh Pher Ke Jaane Wale,

Nahi Jante Kuch Ki Jaana Kahan Hai,
Chale Jaa Rahe Hai Magar Jaane Wale,

Tere Ek Ishaare Pe Saakit Khade Hai,
Nahi Keh Ke Sab Se Guzar Jaane Wale...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #20 on: May 22, 2008, 01:56:34 PM »



Bujhi Hui Shamma Ka Dhuwan Hoon Aur Apne Markaz Ko Jaa Raha Hoon,
Ke Dilki Hasti To Mit Chuki Hai Ab Apni Hasti Mita Raha Hoon,

Mohabbat Insanki Hai Fitrat Kaha Hai InQaa Ne Kar Ke Ulfat,
Wo Aur Bhi Yaad Aa Raha Hai Main Usko Jitna Bhula Raha Hoon,

Ye WaQt Mujhpe Bandagi Ka Jise Kaho Sajda Kar Lun Warna,
Azal Se Taa Be-Afrinat Mein Aap Apna Khuda Raha Hoon,

Zubaan Pe Labaik Har Nafas Mein Zameen Pe Sajde Hai Har Qadam Par,
Chala Hoon Yun Butakade Ko Naseeh, Ke Jaise Kaabe Ko Jaa Raha Hoon...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #21 on: May 22, 2008, 01:57:32 PM »



Dil Mein Kisi Ke Raah Kiye Jaa Raha Hoon Main,
Kitna Haseen Gunaah Kiye Jaa Raha Hoon Main,

Duniya-E-Dil Tabah Kiye Jaa Raha Hoon Main,
Sarf-E-Nigaah-O-Aah Kiye Jaa Raha Hoon Main,

Fard-E-Amal Siyaah Kiye Jaa Raha Hoon Main,
Rehmat Ko Bepanaah Kiye Jaa Raha Hoon Main,

Aisi Bhi Ek Nigaah Kiye Jaa Raha Hoon Main,
Zarron Ko Mahar-O-Maah Kiye Jaa Raha Hoon Main,

Mujhse Lage Hai IshQ Ki Azamat Ko Chaar Chaand,
Khud Husn Ko Gawah Kiye Jaa Raha Hoon Main,

Masoomi-E-Jamaal Ko Bhi Jis Pe RashQ Ho,
Aise Bhi Kuch Gunaah Kiye Jaa Raha Hoon Main,

Aage Qadam Badhayein Jinhe Sujhta Nahi,
Roshan Chirag-E-Raah Kiye Jaa Raha Hoon Main,

TanaQeed-E-Husn Maslahat-E-Khaas-E-IshQ Hai,
Ye Jurm Gaah-Gaah Kiye Jaa Raha Hoon Main,

Gulshan Parast Hoon Mujhe Gul Hi Nahi Azeez,
Kaanton Se Hi Nibaah Kiye Jaa Raha Hoon Main,

Yun Zindagi Guzar Raha Hoon Tere Bagair,
Jaise Koi Gunaah Kiye Jaa Raha Hoon Main,

Mujhse Ada Hua Hai 'Jigar' Justajoo Ka HaQ,
Har Zarre Ko Gawaah Kiye Jaa Raha Hoon Main...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Logged
angel4u
Guest
«Reply #22 on: May 22, 2008, 01:57:52 PM »


Behte Dariya Mein Utar Jaana Tha,
Khaak Tha Aur Bikhar Jaana Tha,

Usse Bichhde To Zamana Beeta,
Ab Talak Zakham To Bhar Jaana Tha,

Maan Leti Hoon Tujhe Hi Manzil,
Ab Kahan Yaad Kidhar Jaana Tha,

Hausle Humne Bacha Kar Rakhe,
Jab Hamein Hadd Se Guzar Jaana Tha,

Jaan! Is Hijr Pe Rona Kaisa,
Ek Din Yun Bhi To Mar Jaana Tha...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Logged
angel4u
Guest
«Reply #23 on: May 22, 2008, 01:58:23 PM »


Hum Jo Toote To Is Tarah Toote,
Jaise Honthon Se Girke Patthar Par,
Koi Shaffaaf Aayina Toote,
Jaise Palkon Se Tootta Aansu,
Jaise Seene Mein Ek Kamaan Toote,
Jaise Ummid Ki Nazuk Daali,
Barg Mausam Mein Na Gahaan Toote,
Jaise Aankhon Mein Khwaab Ki Dori,
WaQt-E-TaQmeel Se Ulajh Jaye,
Jaise Pairon Tale Zameen Nikle,
Jaise Sar Par Ye Aasman Toote,
Jaise Ek Shaakh Pe Bharosa Kiya,
Is Pe Jitne The Aashiyaan Toote,
Jaise Wehshat Se Hosh Aa Jaye,
Jaise Ta-Der Mein Dhyaan Toote,
Ab Jo Reza Hue To Sochte Hai,
Kisne Dekha Tha Tootna Apna,
Hum Jo Toote To Raayegaan Toote...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #24 on: May 22, 2008, 01:59:01 PM »



Mehfilein Lutt Gayi Hai Jazbaat Ne Dam Tod Diya,
Saaz Khamosh Hai Naghmaat Ne Dam Tod Diya,

Har Musarrat Gam-E-Derooz Ka Unwaan Bani,
WaQt Ki Godd Mein Lamhaat Ne Dam Tod Diya,

Anginat Mehfilein Mehroom-E-Chirghaan Hai Abhi,
Kaun Kehta Ke Zulmaat Ne Dam Tod Diya,

Aaj Phir Bujh Gaye Jal Jal Ke Ummidon Ke Chiraag,
Aaj Phir Taaron Bhari Raat Ne Dam Tod Diya,

Jinse Afsana-E-Hasti Mein Tasalsul Tha Kabhi,
Un Mohabbat Ki Riwayat Ne Dam Tod Diya,

Jhilmilate Hue AshQon Ki Ladi Toot Gayi,
Jagmagati Hui Barsaat Ne Dam Tod Diya,

Haay Adaab=E=Mohabbat Ke TaQaze Saghar,
Lab Hile Aur Shikayat Ne Dam Tod Diya...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Logged
angel4u
Guest
«Reply #25 on: May 22, 2008, 01:59:21 PM »


Maine Hamesha Hawaon Ko Apni Rooh Se Chhune Ki Khwahish Ki,
Parindon Aur Geeton Se Pyaar Kiya Hai,
Phoolonko Choom Kar Aankhon Se Lagaya Hai,
Khoobsoorat Nazmon Aur Udaas Kar Denewale Afsano Ke Sang,
Raatein Bitayi Hai,
Aur Sheron Ke Hajoom Mein Raha Hoon,
Lekin Iske Bawajood,
Mere Aur Inke Darmiyaan Hamesha Koi Na Koi Parda Hi Raha Hai,
Aur Jahan Bhi Ye Parda Zara Hata Hai,
Maine Shiddat Se Khudko Tanha Mehsoos Kiya Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #26 on: May 22, 2008, 01:59:39 PM »



Apne Maazi Ke Tasavvur Se Hiraasa Hoon Main,
Apne Guzre Hue Ayyaam Se Nafrat Hai Mujhe,
Apni Bekaar Tamannaon Pe Sharminda Hoon Main,
Apni Besud Ummidon Pe Nidaamat Hai Mujhe,

Mere Maazi Ko Andhere Mein Daba Rehne Do,
Mera Maazi Meri Zillat Ke Siwa Kuch Bhi Nahi,
Meri Ummidon Ka Haasil Meri Khwahish Ka Sila,
Ek Benaam Aziyat Ke Siwa Kuch Bhi Nahi,

Kitni Bekaar Ummidon Ka Sahara Lekar,
Maine Aiwaan Sajaye The Kisiki Khatir,
Kitni Berabt Tamannaon Ke Maabham Khaake,
Apne Khwabon Mein Basaye The Kisiki Khatir,

Mujhse Ab Meri Mohabbat Ke Fasane Na Puchho,
Mujhko Kehne Do Ke Maine Unhe Chaha Hi Nahi,
Aur Wo Mast Nigahein Jo Mujhe Bhool Gayi,
Maine Un Mast Nigahon Ko Saraha Hi Nahi,

Mujhko Kehne Do Ke Main Aaj Bhi Jee Sakta Hoon,
IshQ Nakaam Sahi Zindagi Nakaam Nahi,
Unko Paane Ki Khwahish Unhe Paaneki Talab,
ShauQ Bekaar Sahi Sai-Gam Anjaan Nahi,

Wahi Gesu Wahi Nazar Wahi Aarid Wahi Jism,
Main Jo Chahun Ke Mujhe Aur Bhi Mil Sakte Hai,
Wo Kanval Jinko Kabhi Munake Liye Khilna Tha,
Unki Nazron Se Bahut Door Bhi Khil Sakte Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #27 on: May 22, 2008, 02:00:06 PM »


Jab Se Hum Tabaah Hogaye,
Tum Jahanpanah Hogaye,

Husn Par Nikhaar Aa Gaya,
Aayine Siyaah Ho Gaye,

Aandhiyon Ko Kuch Pata Nahi,
Hum Bhi Gard-E-Raah Ho Gaye,

Dushmano Ko Chitthiyan Likho,
Dost Khair-Khwaah Ho Gaye...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #28 on: May 22, 2008, 02:00:27 PM »


Jab Tere Sheher Se Guzarta Hoon,
Dil Bhi Karta Hai Yaad Chhup Ke Tujhe,
Naam Leti Hai Zubaan Tera,
Ye Bhi Nahi Mujhe Malum,
Kis Mohalle Mein Hai Makaan Tera,
Kaun Si Shaakh-E-Gul Pe RaQsaan Hai,
RashQ-E-Firdaus Aashiyan Tera,
Jaane Kin Waadiyon Mein Thehra Hai,
Girat-E-Husn Kaarvaan Tera,
Kisse Puchhunga Main Khabar Teri,
Kaun Batlayega Nishaan Tera,
Teri Ruswaiyon Se Darta Hoon,
Jab Tere Sheher Se Guzarta Hoon,
Haal-E-Dil Bhi Na Keh Saka Garche,
Tu Rahi Muddaton Qareeb Mere,
Kuchh Teri Azmaton Ka Dar Bhi Tha,
Kuchh Khayalat The Ajeeb Mere,
Aakhir Kaar Wo Ghadi Aayi,
Baar-E-Dar Ho Gaye RaQeeb Mere,
Tu Mujhe Chhod Ke Chali Bhi Gayi,
Khair Qismat Meri Naseeb Mere,

Ab Main Kyon Tujhse Pyaar Karta Hoon,
Jab Tere Sheher Se Guzarta Hoon,

Wo Zamana Teri Mohabbat Ka,
Ek Bhooli Hui Kahani Ka,
Tere Kooche Mein Umar Bhar Na Gaye,
Saari Duniya Ki Khaak Chhani Hai,
Lazzat-E-Qarb Ho Ke Zakhm-E-FiraaQ
Jo Bhi Hai Teri Meherbaani Hai,
Kis Tamanna Se Tujhko Chaha Tha,
Kis Mohabbat Se Haar Maani Hai,

Apni Kismat Pe Naaz Karta Hoon,
Jab Tere Sheher Se Guzarta Hoon...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #29 on: May 22, 2008, 02:00:46 PM »

Kareeb Maut Khadi Hai Zara Theher Jao,
Qaza Se Aankh Ladi Hai Zara Theher Jao,

Thaki Thaki Si Fazayein Bujhe Bujhe Taare,
Badi Udaas Gahdi Hai Zara Theher Jao,

Nahi Ummid Ki Hum Aaj Ki Seher Dekhein,
Ye Raat Hum Pe Kadi Hai Zara Theher Jao,

Abhi Na Jao Ke Taaron Ka Dil Dhadakta Hai,
Tamaam Raat Padi Hai Zara Theher Jao,

Phir Iske Baad Kabhi Hum Na Tumko Rokenge,
Labon Pe Saans Adi Hai Zara Theher Jao,

Dam-E-FiraaQ Mein Jee Bhar Ke Tum Ko Dekh To Lun,
Ye Faisle Ki Ghadi Hai Zara Theher Jao...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 05, 2024, 02:23:08 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.137 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8500 Real Poets and poetry admirer