My Shayari Collection ~~Kuch Khaamosh AshQ~~ (NM)

by angel4u on May 22, 2008, 02:45:04 AM
Pages: [1] 2 3 4
Print
Author  (Read 4122 times)
angel4u
Guest
hi dear friends,

I will be posting here shayris which are not my CREATION but my COLLECTION.

Hope you will like them Usual Smile

Aaj Phir Der Talak
Aaj Phir Badbaharan Ne Mere Kaano Mein,
Chupke Chupke Se Tere Aane Ka Puchha Mujhse,
Puchha, Sandesa Koi, Chitthi Koi Aayi Hai?
Gungunate Hue Jharno Ne Zara Tham Tham Ke,
Puchha Sajan Ki Khabar Bolo Kahin Paaye Hai,
Aaj Phir Ratjaga Aangan Mein Mere Utrega,
Aaj Phir Neend Ki Devi Mera Ghar Bhulegi,
Aaj Phir Barkha Ki Mari Hui Badli Koi,
Meri Aankhon Mein Jo Jhankegi Thithak Jayegi,
Aaj Phir Der Talak, Der Talak, Der Talak,
Tu Na Aayega,
Teri Yaad Chali Aayegi...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
[/color]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kuch Meethi si Shayari by Kumkum in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3 4 »
AshQ..AshQ..likhi...Kahaani...!!! by badnaam_shayar in Shayri-E-Dard
Kuch ashq hi to hai.... by manzil-e-ishq in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
angel4u
Guest
«Reply #1 on: May 22, 2008, 02:45:31 AM »



Aaj Udaas Hoon To Zamana Mujhe Puchhne Aaya,
Magar Jispe Tha Sadiyon Ka Bharam Wo Nahi Aaya,

Wo To Ek Khwaab Tha Toot Gaya Bikhar Gaya Hai,
Aaj Udaas Lamhon Mein Phir Kyon Mujhe Wo Yaad Aaya,

Zindagi Ki Musafit Ke Wo Chand Din Jo Guzar Chuke Hai,
Na Hi Unpe Urooj Aaya, Aur Na Hi Unpe Zawaal Aaya,

Bhoolna Chahta Hoon Har Lamha, Har WaQt Jo Guzar Gaya Hai,
Jitna Bhi Roka Wo WaQt Utha Mere Sath Chala Aaya,

Guzra Hua Kal Na Tha Mera, Na Hai Mera Aur Na Hoga Kabhi,
Ye Main Janta Hoon Magar Phir Bhi Na Dil Ko Qaraar Aaya,

Wo Waade Tere Wo Kasmein Wo Sab Yaad Hai Mujhe,
Magar Phir Bhi Kabhi Tumko Mera Dil Na Bhula Paaya,

Aa Na Paaye The Tum To Khuddaar Tha Main Bhi,
Ye Rishta Hi Hamare Darmiyaan Na Raas Aaya,

Uski Muskurahat Tere Liye Ek Fareb Thi,
Tu Tha Nadan, Dil Tera Usse Na Samajh Paya...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~


NM
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2 on: May 22, 2008, 02:45:52 AM »



Tune Jo Zakham Diya Hai Use Bhool Paana Aasan Nahi,
Zakhm Ki Buniyaad Pe Ye Zindagi Guzarna Ab Aasan Nahi,

Teri Baaton Ka Maine Bharosa Kiya Ye Meri Bhool Thi,
Ab Ye Sach Ko Jhutlana Aasan Nahi,

Teri Wo Chehre Pe Jo Parda Gira Hua Tha,
Wo Aayina Logonko Dikhana Ab Aasan Nahi,

Aaj Tu Magroor Hai Teri Duniya Basane Mein,
Mujhe Apni Hi Duniya Mein Ab Laut Kar Aana Aasan Nahi,

Tu Aaj Jo Bach Ke Nikal Raha Hai Mere Saaye Se,
Ab Yehi Baat Dilko Samjhana Aasan Nahi...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3 on: May 22, 2008, 02:46:24 AM »



Ye Dooriyan Ab Hum Seh Nahi Sakte,
Dil Mein Ye Dhadkan Rehti Hai,
Us Dhadkan Ki Kasam Tujhe,
Aa Jaa Sanam Rooth Na Humse,
Ke Hum Bhi Tere Bina Reh Nahi Sakte,
Ke Hum Bhi Tere Bina Reh Nahi Sakte...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4 on: May 22, 2008, 02:46:46 AM »



Tumhari Zulf Ke Saaye Mein Sar Chhupane Ki,
Tamanna Jaag Uthi Phir Se Muskurane Ki,

Kitni Qaatil Ada Wo Lagti Thi,
Nazar Mila Ke Phri Se Nazar Churane Ki,

Abhi Bhi Yaad Hai Mujhko Wo Ruthna Tera,
Alag Hi Baat Thi Uspe Tujhe Manane Ki,

Wo Zulf Khich Kar Teri, Rulana Tujhko,
Banake Chehre Kayi, Phir Tujhe Hasane Ki,

Lagake Baazi Hamesha Wo Khelna Tujhse,
Churake Goti Teri Aur Tujhe Harane Ki...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Logged
sandip4u
Guest
«Reply #5 on: May 22, 2008, 04:46:07 AM »
jaamtutne ka bahana na kar ham to tare aankho sa pee lange
tu na aa par aane ka wada to kar. ham tare intazaar main gee lange
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #6 on: May 22, 2008, 09:26:58 AM »
Nice sharing angel4..Usual Smile
Logged
diya_barsat
Guest
«Reply #7 on: May 22, 2008, 09:31:11 AM »
amazing poetry angel can you please post some more?Huh? I cant wait to read
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: May 22, 2008, 01:49:22 PM »
jaamtutne ka bahana na kar ham to tare aankho sa pee lange
tu na aa par aane ka wada to kar. ham tare intazaar main gee lange

This one is really good Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #9 on: May 22, 2008, 01:50:08 PM »
Nice sharing angel4..Usual Smile
Thanks  dear Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #10 on: May 22, 2008, 01:50:59 PM »
amazing poetry angel can you please post some more?Huh? I cant wait to read

Thanks for liking, sure i m posting here some more for YOU...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #11 on: May 22, 2008, 01:51:22 PM »


Ummid-O-Naummidi Ki Kashmakash Mein Ghirta Jaa Raha Hoon Main,
Zindagi Ke Raaston Par Girta Aur Sambhalta Jaa Raha Hoon Main,

Main Kabhi Nafrat Hoon To Kabhi Chahat Ka Izhaar,
Na Jane Kab Kahan Aise Rang Badalta Jaa Raha Hoon Main,

Dosti Nibhane Ki Koshish Mein,
Dostonse Fareb Khata Jaa Raha Hoon Main,

Doston Se Dosti Mein Kha Ke Yun Fareb,
Dosti Ke Liye Ek Misaal Banta Jaa Raha Hoon Main,

Kadi Dhoop Mein Jeewan Ki Paidal Hoon Aur,
Ek Be-Aab Sehra Ki Maanind Sulagta Jaa Raha Hoon Main,

Safar-E-Zeest Mein Mile Hai Mujhe Gam Bhi Khushi Bhi,
Apne Har Aml Ka Goya Sila Pata Jaa Raha Hoon Main,

Na Jane Kaunsa Pal Maut Ki Amanat Ho,
Zindagi Ka Saath Nibhata Jaa Raha Hoon Main...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Logged
angel4u
Guest
«Reply #12 on: May 22, 2008, 01:51:46 PM »

Har Ek Pal Ek Khayal Hai Humdam Tera Khayal,
Dil Mein Mere Rehta Har Dam Tera Khayal,

Chahoon To Bhi Jise Main Bhula Nahi Sakta,
Nahi Aur Koi Wo Hai Saman Mera Khayal,

Raaton Ki Neend Chhhini Hai Dinka Qaraar Loota,
Jeena Kare Hai Mushkil Har Dam Tera Khayal,

Kehte Ho Tum Ke Mujhko Ab Yaad Nahi Karte,
Mitta Nahi Hai Dilse Ek Dam Tera Khayal,

Jo Jeevan Ki Raahon Mein Tu Sand Nahi Aaj,
Rehta Hai Par Mere Qadam-Ba-Qadam Tera Khayal...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #13 on: May 22, 2008, 01:52:21 PM »



Karta Use BeQaraar Kuch Der,
Hota Agar Ikhtiyaar Kuch Der,

Kya Royein Fareb-E-Aasman Ko,
Apna Nahi Aitbaar Kuch Der,

Aankhon Mein Kati Pahaad Si Raat,
So Jaa Dil=E=BeQaraar Kuch Der,

Aye Sheher-E-Tarab Ko Jaane Walon,
Karna Mera Intezaar Kuch Der,

Bekaifi-E-Roz-O-Shab Musalsal,
Sarmasti-E-Intezaar Kuch Der,

Takleef-E-Gam-E-FiraaQ Mein,
TaQreeb-E-Wisaal-E-Yaar Kuch Der,

Ye Guncha-O-Gul Hai Sab Musafir,
Hai Kaafila-E-Bahaar Kuch Der,

Duniya To Sada Rahegi Nasir,
Hum Log Hai Yaadgaar Kuch Der...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #14 on: May 22, 2008, 01:52:43 PM »



Tum Is Tarah Meri Aadaton Mein Shaamil Ho,
Jis Tarah Khuda Ibadaton Mein Shaamil Ho,

Teri Yaad Nahi Hai To Bahut Khush Hoon,
Tujhe Bhoolna Bhi Jaise Rahaton Mein Shaamil Ho,

Wo Tanha Mujhe Chhdo Kar Chala Gaya Aise,
Bichhad Jana Bhi Jaise Chahaton Mein Shaamil Ho...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Logged
Pages: [1] 2 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 05, 2024, 04:16:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8500 Real Poets and poetry admirer