NAHEEN HOON MAIN - ZARRAA

by zarraa on November 15, 2013, 01:26:32 AM
Pages: [1] 2 3 4
Print
Author  (Read 2893 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 21 minutes.
Posts: 2242
Member Since: May 2012


View Profile
kis kis azaab* se kaho guzraa naheeN hooN maiN
ab tak teree panaah meiN aayaa naheeN hooN maiN


apnee zubaaN se kya kahooN kyaa-kyaa naheeN hooN maiN
tujh ko n ho khabar to kaheeN kaa naheeN hooN maiN


chaltaa hooN le ke rakht*-e-safar toote waayde
manzil pe is liye kabhi pauNhchaa naheeN hooN maiN


yaaroN n phir saleeb se aaooNgaa laut kar
badlegaa bhi n kuchh ke maseehaa naheeN hooN maiN


aaeenaa dekh letaa jab aateeN ubaal par
aisaa naheeN ke nafrateiN rakhtaa naheeN hooN maiN


ambar hai teree zulf to mahtaab rukh teraa
jaane n kitni raat se soyaa naheeN hooN maiN


kehte haiN mujh ko ishq hai bas be-hayaaoN se
naadaaN hooN maiN ishaare samajhtaa naheeN hooN maiN


khaamoshiyaaN theeN baais*-e-tarq*-e-wafaa magar
shikwe bhi hoN n hoNth pe aisaa naheeN hooN maiN


thukraa diyaa wo jaam taras khaa ke jo diyaa
aur wo samajh rahe haiN ke tishnaa* naheeN hooN maiN


“zarraa” ghuroor-o-zid haiN tamaashaayee ban kharhe
kehte the kis gumaaN se tamsaashaa naheeN hooN maiN


- ZARRAA



*
azaab = punishment
rakht = bag & baggage
baais = cause
tarq = relinquish
tishnaa = thirsty


jaisa ki ahl-e-sukhan samajh gaye hoNge, is ghazal ka radeef ghalib ki ghazal “daayam parhaa huwa tere dar par naheeN hooN maiN” par hai. ghalib ke is azeem qalaam se mutaasir ho kar, ye ek naaqaabil shikastah si koshish ki gayee hai.
Logged
jeet jainam
Khaas Shayar
**

Rau: 237
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
60 days, 12 hours and 13 minutes.

my rule no type no life and ,i m happy single

Posts: 10150
Member Since: Dec 2012


View Profile WWW
«Reply #1 on: November 15, 2013, 01:32:59 AM »
 Applause Applause Applause Applause  Applause
bohut hi umda
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #2 on: November 15, 2013, 01:45:08 AM »
Zarra saheb , waah waah aur sirf waah .
Kya khubsurat ashaar diye hain . Classical
shairy ki jiti jagti misaal hai ye ghazal .
Ghalib ki zameen ke sath poora insaaf kiya hai .
Tah e dil se daad aur mubarakbaad .Hasan
Logged
Ram Saraswat
Khususi Shayar
*****

Rau: 26
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 6 hours and 36 minutes.

Posts: 999
Member Since: Apr 2008


View Profile
«Reply #3 on: November 15, 2013, 02:34:57 AM »
aaeenaa dekh letaa jab aateeN ubaal par
aisaa naheeN ke nafrateiN rakhtaa naheeN hooN maiN

 Applause Applause Applause Applause


thukraa diyaa wo jaam taras khaa ke jo diyaa
aur wo samajh rahe haiN ke tishnaa* naheeN hooN maiN
 Applause Applause Applause
Waah zarraa saheb Bahut khoob
Logged
nashwani
Guest
«Reply #4 on: November 15, 2013, 02:47:38 AM »
kis kis azaab* se kaho guzraa naheeN hooN maiN
ab tak teree panaah meiN aayaa naheeN hooN maiN

aaeenaa dekh letaa jab aateeN ubaal par
aisaa naheeN ke nafrateiN rakhtaa naheeN hooN maiN

ambar hai teree zulf to mahtaab rukh teraa
jaane n kitni raat se soyaa naheeN hooN maiN

thukraa diyaa wo jaam taras khaa ke jo diyaa
aur wo samajh rahe haiN ke tishnaa* naheeN hooN maiN


- ZARRAA


waah waah zarra jee..beinteha umda ghazal rahi..
Sabhi aashar ek se badh kar ek par ye quoted aasahr bahut pasand aaye..
Dhero dhero daad..happy9
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #5 on: November 15, 2013, 08:11:36 AM »
bahut khoob ek rau ke saath daad
Logged
srishti raj chintak
Maqbool Shayar
****

Rau: 6
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 11 hours and 19 minutes.
Posts: 595
Member Since: Feb 2013


View Profile
«Reply #6 on: November 15, 2013, 08:53:15 AM »
Bahut khoob.
Logged
srishti raj chintak
Maqbool Shayar
****

Rau: 6
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 11 hours and 19 minutes.
Posts: 595
Member Since: Feb 2013


View Profile
«Reply #7 on: November 15, 2013, 09:12:26 AM »
kis kis azaab* se kaho guzraa naheeN hooN maiN
ab tak teree panaah meiN aayaa naheeN hooN maiN


apnee zubaaN se kya kahooN kyaa-kyaa naheeN hooN maiN
tujh ko n ho khabar to kaheeN kaa naheeN hooN maiN


chaltaa hooN le ke rakht*-e-safar toote waayde
manzil pe is liye kabhi pauNhchaa naheeN hooN maiN


yaaroN n phir saleeb se aaooNgaa laut kar
badlegaa bhi n kuchh ke maseehaa naheeN hooN maiN


aaeenaa dekh letaa jab aateeN ubaal par
aisaa naheeN ke nafrateiN rakhtaa naheeN hooN maiN


ambar hai teree zulf to mahtaab rukh teraa
jaane n kitni raat se soyaa naheeN hooN maiN


kehte haiN mujh ko ishq hai bas be-hayaaoN se
naadaan hooN ishaare samajhtaa naheeN hooN maiN


khaamoshiyaaN theeN baais*-e-tarq*-e-wafaa magar
shikwe bhi hoN n hoNth pe aisaa naheeN hooN maiN


thukraa diyaa wo jaam taras khaa ke jo diyaa
aur wo samajh rahe haiN ke tishnaa* naheeN hooN maiN


“zarraa” ghuroor-o-zid haiN tamaashaayee ban kharhe
kehte the kis gumaaN se tamsaashaa naheeN hooN maiN


- ZARRAA



*
azaab = punishment
rakht = bag & baggage
baais = cause
tarq = relinquish
tishnaa = thirsty


jaisa ki ahl-e-sukhan samajh gaye hoNge, is ghazal ka radeef ghalib ki ghazal “daayam parhaa huwa tere dar par naheeN hooN maiN” par hai. ghalib ke is azeem qalaam se mutaasir ho kar, ye ek naaqaabil shikastah si koshish ki gayee hai.







Bahut khoob.
Logged
Zaif
Guest
«Reply #8 on: November 15, 2013, 11:48:19 AM »
Jabardast zarra ji, har ashar ek se badhkr ek. Saawan.
Logged
amit_prakash_meet
Guest
«Reply #9 on: November 15, 2013, 12:35:49 PM »
बहुत खूब ज़र्रा जी...बहुत खूब.....

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 21 minutes.
Posts: 2242
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #10 on: November 15, 2013, 03:52:20 PM »
Applause Applause Applause Applause  Applause
bohut hi umda

Aap ka bahaut bahaut shukriya Jeet ji ....
Logged
premdeep
Guest
«Reply #11 on: November 15, 2013, 06:26:43 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP just excellent
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 21 minutes.
Posts: 2242
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #12 on: November 15, 2013, 09:34:06 PM »
Zarra saheb , waah waah aur sirf waah .
Kya khubsurat ashaar diye hain . Classical
shairy ki jiti jagti misaal hai ye ghazal .
Ghalib ki zameen ke sath poora insaaf kiya hai .
Tah e dil se daad aur mubarakbaad .Hasan

Aap ki pur khuloos pur khirad daad se behad hauslafzaayee huwee aur iske liye aap ka yah e dil se shukrguzaar hoon
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 21 minutes.
Posts: 2242
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #13 on: November 16, 2013, 12:09:51 AM »
aaeenaa dekh letaa jab aateeN ubaal par
aisaa naheeN ke nafrateiN rakhtaa naheeN hooN maiN

 Applause Applause Applause Applause

thukraa diyaa wo jaam taras khaa ke jo diyaa
aur wo samajh rahe haiN ke tishnaa* naheeN hooN maiN

 Applause Applause Applause
Waah zarraa saheb Bahut khoob


Saraswat sahab .... Bahaut bahaut shukriya is ghazal ko tawajjoh dene ka ... aap ki daad ka tah e dil se shukrguzaar hooN ...
Logged
Saman Firdaus
Guest
«Reply #14 on: November 16, 2013, 12:13:27 AM »
Clapping Smiley ;clapping: Clapping Smiley

Mai kya kahuN Zarraa Jii... Just Awesome...
Logged
Pages: [1] 2 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 19, 2024, 11:15:22 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]

[March 15, 2024, 11:35:58 AM]

[March 11, 2024, 08:59:40 AM]

[March 10, 2024, 12:12:34 PM]

[March 09, 2024, 07:45:27 PM]

[March 08, 2024, 07:01:53 PM]

[March 07, 2024, 08:07:55 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.177 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer