Neend poori karne do

by asma zehra on March 22, 2009, 12:27:14 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 985 times)
asma zehra
Guest


Loriyaaan gaa gaa kar – thapak-thapak kar sulaaya hai gam ko
Na jagaao ise---neend abhi kachchi hai

Hasraton ke jhoole mein paiband abhi lagaaya hai
Khwaabon ki oobad-khaabad galiyon ko abhi bichaaya hai
Dhool abhi tak ud rahi hai-tum barsaao na pani
Phir se keechad na ban jaaye apni yeh zindagaani

Armaanon ki doli mein dulhan ko phir baithaana hai
Kaanton ki shaakhon par gul ko phir se mehkaana hai
Aandhi aur toofaanon ko chilman ke paar hi rehne do
Dard so raha hai--------neend poori karne do.


Asma Zehra
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Poori hogi by lovely_amez in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tamanna unki poori ...... by Just_Hate_Love in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3 4 5 »
tamanna unki poori by sachin_9810****** in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
'Aas’ Poori Nahin Hui To ‘Devdas’ Ban Gaye by Devdas_online in Shayri-E-Dard
Kar Du Poori Har Aarzoo Teri......AnAAm by ANAAM in Shayri for Khumar -e- Ishq
angel4u
Guest
«Reply #1 on: March 22, 2009, 12:54:34 PM »
beautiful wordings by u asma...
keep it up
Logged
Roja
Guest
«Reply #2 on: March 22, 2009, 02:12:06 PM »


Loriyaaan gaa gaa kar – thapak-thapak kar sulaaya hai gam ko
Na jagaao ise---neend abhi kachchi hai

Hasraton ke jhoole mein paiband abhi lagaaya hai
Khwaabon ki oobad-khaabad galiyon ko abhi bichaaya hai
Dhool abhi tak ud rahi hai-tum barsaao na pani
Phir se keechad na ban jaaye apni yeh zindagaani

Armaanon ki doli mein dulhan ko phir baithaana hai
Kaanton ki shaakhon par gul ko phir se mehkaana hai
Aandhi aur toofaanon ko chilman ke paar hi rehne do
Dard so raha hai--------neend poori karne do.


Asma Zehra

Bahut khoobsurati se deard bayan kiya hai aapne Asmaji
Bahut accha laga padkar. Good work and very emotional. Keep up 
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3 on: March 22, 2009, 07:52:11 PM »
Bahut hi sundar dhang se pesh ki hai aap ne Zehra Ji
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #4 on: March 23, 2009, 06:50:31 AM »
bohut acha likha hai aasma ji
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #5 on: March 23, 2009, 07:01:45 AM »
Kasam us zaat ki jiske hatho me GHAYEL ki jaan hain Aasma tumhe shayed khud andaza nahi tumne kitni khoobsurat cheeze pesh ki hain. Mai is kabil bhi nahi ke koi dad du......khuda tumhe bohat khushiya de.
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #6 on: March 23, 2009, 07:29:21 AM »
Superb!. Really well written Asma. Keept writing..
Logged
asma zehra
Guest
«Reply #7 on: March 25, 2009, 12:57:46 PM »
Shukriya Angle, Roja, Rajesh Harish ji,Kaushik Bhawnaji, Ghayal ji and Sophie. Aap sab ki duaen aur hausla afzaai hai jo mujhe likhne mein madad karti hai.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 12:44:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer