ojhal hai mere sapne meri ashq'Bhar Palko'n se

by jianrangrej on April 24, 2008, 06:55:16 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1302 times)
jianrangrej
Guest
ojhal hai mere sapne meri ashq'Bhar Palko'n se
jaise shams se roshni kabhi qhamaR se chaandni yun

palak jhabakte hi badal jaati hai meri taqdeer'oTaabir
jaise shakh'on se patte kabhi raaho'N se hum-raaahi yun

mujhe dar hai ki mera saaya bhi saath naa dega kabhii
jaise hawaa'o se nami kabhi sahil se Rawaani-e-Samandar yun

yaado'n ko teri yun bichhona banake sota hoon
jaise rooH se jaaN karib kabhi qaza se zindagi yun


shakil rangrej
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mere Khwaab Mere Sapne... by Aryaan in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Mere Sapne by Nino in Shayri-E-Dard
***Mere Sapne*** by AVTAR RAYAT in Share:Love Poetry
mere sapne by raajaindra in Shayri-E-Dard
Meri Palko May Kehi Chuban Si Rehti Hai by FARE in Shayari -e- Husn
syednaami
Guest
«Reply #1 on: April 25, 2008, 07:06:05 PM »
Kaanon men bas gaya hai tere gunjon ka tarannum, -
Ban ke Teri yaaden jo paivast hai mere andar, -

Har yaad men band hai beete lamhon ke nujoom, -
sahlaate hain khud ko uss yaad ke hi andar. -

(Syed Naami)
-==-==-==-==-==-==-==-==-==-==-==-==-==-==-==-


Yeh ashaar to kamaal ke kahen hain janab ne. Buhat dil khush hua.
Likhte rahen.
Logged
jianrangrej
Guest
«Reply #2 on: April 26, 2008, 05:33:25 AM »
koshish ki teri yaado'n ko bichhona banaya jaaye
ankho'n tale aahi jaate khud sulagte saaye

is anjuman me aap ko kabhi humaari yaad aaye
yaad rakhiye humaare saath gham ko bhi bulaya jaaye..



thnx mr.saiyed abhi aapse mujhe bahut kuchh haasil karna hai,..


Logged
syednaami
Guest
«Reply #3 on: April 26, 2008, 02:12:17 PM »
Berukhi pe unki humen tha bada malaal, -
Kaanton pe chalne ko maana humne karaar, -

Dilkash thi woh baaten ya uska jamaal, -
Qaid-e-muhabbat men paicheedgyaan hain beshumaar. -

(Seyd Naami)

Yeh kissi dost ke liye hai, jo abhi nasamajh hai.

To aap kya bas seekhte rahenge, humne kya school khola hai, janab.
Waise jitni achhi shayari karten hain aap aisa lagta hai ki zaroor koi baat hai?
Mashkoor o mamnoon
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #4 on: April 26, 2008, 02:17:26 PM »
ojhal hai mere sapne meri ashq'Bhar Palko'n se
jaise shams se roshni kabhi qhamaR se chaandni yun

palak jhabakte hi badal jaati hai meri taqdeer'oTaabir
jaise shakh'on se patte kabhi raaho'N se hum-raaahi yun

mujhe dar hai ki mera saaya bhi saath naa dega kabhii
jaise hawaa'o se nami kabhi sahil se Rawaani-e-Samandar yun

yaado'n ko teri yun bichhona banake sota hoon
jaise rooH se jaaN karib kabhi qaza se zindagi yun


shakil rangrej


Shakil Rangrej jee aapne bahut accha likha hai.
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #5 on: April 26, 2008, 02:19:22 PM »
Berukhi pe unki humen tha bada malaal, -
Kaanton pe chalne ko maana humne karaar, -

Dilkash thi woh baaten ya uska jamaal, -
Qaid-e-muhabbat men paicheedgyaan hain beshumaar. -

(Seyd Naami)

Yeh kissi dost ke liye hai, jo abhi nasamajh hai.

To aap kya bas seekhte rahenge, humne kya school khola hai, janab.
Waise jitni achhi shayari karten hain aap aisa lagta hai ki zaroor koi baat hai?
Mashkoor o mamnoon
nice 1 jee
Logged
jianrangrej
Guest
«Reply #6 on: April 26, 2008, 02:24:01 PM »
hahahaha. tumhaara mizaz bahut tez tarrar hai, achha lagta hai koi aise apna bankar baatein kare to..


"Berukhi pe unki humen tha bada malaal, -
Kaanton pe chalne ko maana humne karaar, -

Dilkash thi woh baaten ya uska jamaal, -
Qaid-e-muhabbat men paicheedgyaan hain beshumaar. "

nice quote saiyed sahab,
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: April 26, 2008, 04:44:41 PM »
Bohot khoob Shakeel and S. Naami
Logged
syednaami
Guest
«Reply #8 on: April 26, 2008, 04:50:23 PM »
Bohot khoob Shakeel and S. Naami
Thanks Bro, ...

nice 1 jee

Thanks pyari nanhi pari, so nice of you.

hahahaha. tumhaara mizaz bahut tez tarrar hai, achha lagta hai koi aise apna bankar baatein kare to..


"Berukhi pe unki humen tha bada malaal, -
Kaanton pe chalne ko maana humne karaar, -

Dilkash thi woh baaten ya uska jamaal, -
Qaid-e-muhabbat men paicheedgyaan hain beshumaar. "

nice quote saiyed sahab,

Mizaaj Itna bhi nahin tez ki kissi se ziyada der khafa rahen, bas chand ghadyon ka munh modna phir bhool jana ki kuchh ghalat hua ho.

Aap jaise buzrigon se choori chori seekhte hain hum, -
Kis cheez men hai ulfat woh nazar dhoondte hain hum. -


(Syed Naami)
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
October 10, 2024, 05:20:27 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[October 04, 2024, 08:02:47 AM]

[September 29, 2024, 02:17:44 PM]

[September 29, 2024, 02:15:31 PM]

[September 29, 2024, 02:13:54 PM]

[September 29, 2024, 02:12:46 PM]

by ASIF
[September 06, 2024, 07:19:37 PM]

[September 05, 2024, 02:50:37 AM]

[August 23, 2024, 06:35:34 AM]

[August 22, 2024, 06:28:13 AM]

[August 22, 2024, 06:27:09 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8503 Real Poets and poetry admirer