PARDAAH...!!!

by superspawn10 on May 03, 2009, 02:23:36 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1311 times)
superspawn10
Guest
Dekh use har subah meri aankhon ko thandak milti thi,
Pehen ke naqaab wo jab bhi apni dost ke saath nikalti thi...

Kayi dino tak isi tarah Rab ne chalaya ye silsila,
Door se hi dekhta raha mein use,phir ek din uska ishara mila...

Wo na aayi kabhi mere paas,bus paighaam hi bhejti rahi,
Sahi waqt par uthega yeh pardaah mujhse har baar kehti rahi...

Isse pehle ke wo sahi waqt aata,ek alag sa anjaam aaya,
Tha jiska intezaar,wo to na aayi,khuda ka mujhko paighaam aaya...

Tadap raha tha mein uski ek jhalak ke liye,wo kehti rahi mujhse aur thoda intezaar kar,
Ek din aayi meri qabr par aur kaha,'Le Ruqsat-E-Naqaab hata diya jee bhar ke mera dedaar kar'...

Ye kaisa insaaf hai tera Aye mere Maula,pooch raha ye shabaab hai,
Aaj tune mujhe is pardeh mein rakha hai,aur wo benaqaab hai...


-->Shakeeb Ahmad<---

Shabaab = Youth (young man)
Logged
sanya310
Guest
«Reply #1 on: May 03, 2009, 02:27:38 PM »
bohot hi acha likha hai shakeeb ji.. very touching!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2 on: May 03, 2009, 02:28:52 PM »
Lovely lines Ahmed ji...

Applause
Logged
superspawn10
Guest
«Reply #3 on: May 03, 2009, 02:36:45 PM »
bohot hi acha likha hai shakeeb ji.. very touching!!
Shukriya sanya ji...bohot shukriya...
Logged
superspawn10
Guest
«Reply #4 on: May 03, 2009, 02:37:08 PM »
Lovely lines Ahmed ji...

Applause

Thank u angel ji...
Logged
syednaami
Guest
«Reply #5 on: May 03, 2009, 02:41:07 PM »
Khoobsurat andaaze-bayaan hai...
Nice Shakeeb...
Logged
superspawn10
Guest
«Reply #6 on: May 03, 2009, 02:45:36 PM »
Khoobsurat andaaze-bayaan hai...
Nice Shakeeb...
shukriya syed ji..aap sab ki dua ki zaroorat hai...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: May 03, 2009, 03:08:50 PM »
Bahaut khoob... Applause
Logged
Sadia Raja
Guest
«Reply #8 on: May 03, 2009, 03:16:02 PM »
boht khoob likha hai ap ne Ahmed g..!!!
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #9 on: May 03, 2009, 03:18:55 PM »
Wah ustaad kya keh diya yaar seena cheer ke nikal gaya Makhta to Bohat khoob Shakeeb dil se dad kabool ho.. Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
superspawn10
Guest
«Reply #10 on: May 03, 2009, 03:36:41 PM »
Bahaut khoob... Applause
boht khoob likha hai ap ne Ahmed g..!!!
shukriya aap sab ka...
Logged
superspawn10
Guest
«Reply #11 on: May 03, 2009, 03:39:08 PM »
Wah ustaad kya keh diya yaar seena cheer ke nikal gaya Makhta to Bohat khoob Shakeeb dil se dad kabool ho.. Clapping Smiley Clapping Smiley
Are sajid bhai...aap to mujhe sharminda kar rahein hain...ustaad to yahan aap sabh log hain...ye to hamari khushnaseebi hai jo hume aap sab ke saath likhna ka mauka mil raha hai...aur haan..aap sab se hi to mein inspire ho raha hoon...
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #12 on: May 04, 2009, 01:49:45 AM »
SP ji,great work,excellent,
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #13 on: May 04, 2009, 03:55:25 AM »
Bahut Khoooooooooob SHAKEEB Mere dost.. Kamaal Likha hai..!! Really A Great Poem.. Applause Applause


**~** Mann **~**
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #14 on: May 04, 2009, 05:14:39 AM »
Dekh use har subah meri aankhon ko thandak milti thi,
Pehen ke naqaab wo jab bhi apni dost ke saath nikalti thi...

Kayi dino tak isi tarah Rab ne chalaya ye silsila,
Door se hi dekhta raha mein use,phir ek din uska ishara mila...

Wo na aayi kabhi mere paas,bus paighaam hi bhejti rahi,
Sahi waqt par uthega yeh pardaah mujhse har baar kehti rahi...

Isse pehle ke wo sahi waqt aata,ek alag sa anjaam aaya,
Tha jiska intezaar,wo to na aayi,khuda ka mujhko paighaam aaya...

Tadap raha tha mein uski ek jhalak ke liye,wo kehti rahi mujhse aur thoda intezaar kar,
Ek din aayi meri qabr par aur kaha,'Le Ruqsat-E-Naqaab hata diya jee bhar ke mera dedaar kar'...

Ye kaisa insaaf hai tera Aye mere Maula,pooch raha ye shabaab hai,
Aaj tune mujhe is pardeh mein rakha hai,aur wo benaqaab hai...


-->Shakeeb Ahmad<---

Shabaab = Youth (young man)




waaah waah BAHAUT KHOOB   KYAAA LIKHAA HAI JANAB AAPNEY ....LAJAWAAB.. SS
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 05:04:23 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer